Weight Loss Exercises in Hindi: Vyayam Se Kam Kare Vajan

Badhta hua vajan aajkal kai logo ke liye pareshani ka karan ban chuka hai. Badha hua vajan naa keval bimariyo ko aamantrir karta hai balki kai bar sharminda hone ka karan bhi banta hai. Badhe hue vajan ke chalte man pasandida kapdo se bhi duri banana padti hai.

Ise kam karne ke liye log kai prayas karte hai jaise wo kai weight loss plan lete hai, Weight loss diet follow karte hai. Lekin kya aap jante hai iss badhe hue vajan ko kam karne ke liye aapko sabse jyada kisi chiz ki jarurt hai to wo hai vyayam.

Vyayam karne se na sirf vajan kam kiya ja sakta hai balki sharir ko bhi sudhol banaya jaa sakta hai. Isliye iss lekh mai ham aapko Weight Loss Exercises in Hindi ke bare mai bata rahe hai. Jiski madad se aap apne vajan ko kam kar sakte hai.
 

Weight Loss Exercises in Hindi: Inn Vyayamo Ko Apnaye

 
Weight Loss Exercises in Hindi
 

Cycling

Vajan ko kam karne ke liye cycling sabse acchi Weight Loss Exercises hai. Kya aap jante hai rojana 1 ghante ki cycling aapke sharir se 700 se lekar 1000 tak ki calorie ko nasht karne mai sahayak hoti hai. Iske sath hi cycling sharir ke metabolism ko bhi niyantrit karne mai sahayak hoti hai. Yadi aapke ghar se aapke school, collage ya fir office ki duri jyada na ho to cycling ko apni daily habit mai shamil jarur kare. Aesa karne se aap bina atirikt wakt ke apna vajan kam kar sakte hai.
 

Walking- Paidal Chalna

Agar aapse koi kadi exercise nahi ho pati hai to paidal chalna bhi aapke liye ek accha vikalp hai. Yeh vajan ghatane ka sabse aasan tarika mana jata hai. Ise karne ke liye aapko jim jakar paisa kharch karne ki bhi jarurat nahi hoti hai.

Rojana aap jitna jyada paidal chalte hai utni hi calorie aapke sharir se nasht hoti hai. Yeh exercise aapke dimak aur swasth ke liye bhi faydemand hoti hai. Kuch logo par kiye gaye adhyano mai paya gaya hai ki rojana 1 hour tak paidal chalne se sharir se 1 mahine mai 1 pound tak ka vajan ghataya jaa sakta hai.
 

Kettle bell

Iss vyayam ko karne se sharir ke sabhi ango ka vyayam ho jata hai. Ise karne se 20 minute mai 400 calorie tak ke vasa ko jalaya jaa sakta hai. Jo ki vajan kam karne mai sahayak hota hai. Iske sath hi ise karne se sharir ki sabhi maspeshiya majbut bhi banti hai.
 

Tairna –Swimming

Sharir ki charbi kam karne ke liye tairna sabse acchi Weight Loss Exercises hai. Rojana 1 ghante tak tairne par sharir se 400 se 700 tak ki calorie ko jala sakta hai. Rojana tairne se sirf hath, pair hi nahi sharir ke sare ango ka vyayam ho jata hai.
 

You May Also Like: Naturopathy for Weight Loss: Prakratik Tarike se Vajan Ghataye

 

Tennis Khelna

Agar aapko khelna pasand hai to tennis khelna shuru kare. Ise khelte khelte aap apna vajan bhi kam kar lenge. Ise rojana 1 ghante khelne se sharir ki 600 calorie ko jalaya ja sakta hai. Jisse vajan aasani se kam ho jata hai. Iske sath hi yeh exercise sharir mai lachilapan lane ke liye bahut acchi hai.
 

Kudna –Jumping

Kya aap jante hai ki chote bacche jyada mote kyu nahi hote. Kyoki wo din bhar kudte rehte hai. Agar aap vajan kam karna chahte hai to aap bhi jumping shuru kar de. Roj aadhe se 1 ghante kudane se sharir ki 800 calorie jalti hai. Jo ki vajan kam karne mai mahatvapurna hoti hai. Ise karne se mashpeshiya aur haddiya bhi majbut banti hai.

Ise karne ke liye rassi ka upyog kiya jata hai. Sabse pehle rassi ke dono kono ko apne dono hatho se pakad le. Fir dono hath ki sahayta se ise piche ki or le jaye. Iske bad samne ki taraf lakar kudate huye pairo ke niche se nikalkar piche ki or le jaye. Aur iss prakriya ko dohrate jaye. Shuruwat mai 1 ghanta naa kude. 15 minute se shuruwat karna behtar hai.
 

Aerobic

Aerobic se aap keval apne sharir ko lachila hi nahi bana sakte, balki isse vajan bhi kam kiya jaa sakta hai. Ise karne se sharir ki 550 calorie nasht kee ja sakti hai.
 

Exercise for Weight Loss: Anya Vyayam Inhe Bhi Apnaye

  1. Rojana dodne se bhi vajan ko kam kiya ja sakta hai. Dodte wakt gati jitani jyada adhik hoti hai utni jyada sharir ki calorie jalti hai.
  2. Pushup Exercise se bhi aasani se vajan ko kam kiya ja sakta hai. Ise karne ke liye dono hatho ki hatheliyo ko jamin par rakhkar apne sharir ko upper se niche ki tarah push kiya jata hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...