Weight Loss Juice Recipes in Hindi: Jaldi Se Vajan Kam Kare

Tyoharo ka mousam shuru ho chuka hai. Bus ek mahine ke bheetar diwali hai aur uske bad shadiyo ka bhi mousam shuru ho jayega. Inn dino mai har koi chahta hai wo aakarshak dikhe. Makeup karke aap chehre ko to badi hi aasani se khubsurat bana lete hai. lekin sharir ko aakarshak banane mai badi mehnat lagti hai.

Shayad yahi wajah hai ki tyoharo ke do mahine pehle log apne figure par kuch jyada dhyan dene lag jate hai. Iske liye kuch log gym jate hai to kuch log ghar par vyayam karna pasand karte hai. Lekin fir bhi bahut se logo ko manchaha parinaam nahi mil pata.

Darahsal vyayam ke sath sath aapko apne sharir ko detox karna bhi jaruri hai. Detox karne ki prakriya mai sharir se vishakt padarth nikal jate hai, jisse sharir par jami atirikt charbi nikal jati hai.

Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Weight Loss Juice Recipes in Hindi. Vyayam karne ke sath sath aap yadi inka sevan karte hai to aapko prabhavi parinaam dekhne ko milte hai. To chaliye jante hai yeh drinks koun koun se hai.
 

Weight Loss Juice Recipes in Hindi: Vajan Ghatane mai Sahayak

 
Weight Loss Juice Recipes in Hindi
 

Tasty aur Faydemand Mosambi Ka Juice

Aapne garmiyo mai mosambi ka juice bhale hi keval khud ko refresh karne ke liye piya hoga. Lekin iske fayde sirf itne hi nahi hai. Yeh aapke sharir se charbi ko ghatane mai bhi madad karta hai. Yeh swad mai kaafi accha lagta hai, isliye isko peene mai aapko kisi tarah ki pareshani bhi nahi hogi. Mosambi for Weight Loss ek prabhavi tarika hai.

  • Mosambi ke phalo ke ras mai calorie ki matra bahut kam hoti hai, isliye ise peene se vajan kaafi kam ho jata hai.
  • Yeh aapke cholesterol ko badhne nahi deta hai, jo ki vajan badhne ki mukhya wajaho mai se ek hai.
  • Jab bhi aap mosambi ka juice peete hai to aapke sharir se sare vishakt padarth bahar nikal jate hai, jisse aapka sharir acche se kaam karta hai aur aapka vajan nahi badta.
  • Shakarkandi mai bharpur matra mai vitamin A aur Vitamin E hota hai.

 
Vidhi:

1 vyakti ke liye iska juice banane ke liye, 2 mosambi ko chilkar badi beeje alag kar le. Ab iske tukdo ko juicer mai pees kar chhan le. Aap vajan ghatane ke liye ise pee rahe hai, isliye isme shakkar na milaye.
 

Chukandar aur Strawberry

Yadi aap vajan ghatana chahte hai to aapko apni diet mai chukandar ko shamil karna hoga. Isme uccha matra mai ghulansheel aur aghulansheel fiber moujud hota hai, jo vajan ghatane mai madad karta hai. Sath hi strawberry mai moujud Ellagic acid aur anthocyanins, weight loss hormone ko restore karne mai madad karte hai, jisse vajan ghatta hai.

  • Anthocyanins, adiponectin hormone ko banata hai, jo metabolism ki prakriya ko badhata hai.
  • Isse bukh kam lagti hai aur khaye hue khane ka digestion acche se hota hai.
  • Chukandar aapke vyayam karne ki kshamta ko badhata hai, jisse aap gym mai ghanto tak bina thake pasina baha sakte hai.

 
Vidhi:

2 chukandar, 1 cup strawberries aur 1 gajar

Chukandar ka chhilka utar le, aur fir use chhote chhote tukdo mai kat le. Isme gajar aur strawberry dalkar paste ki tarah bana le. Roj iske ek glass ko enjoy kare.
 

Kakdi aur Sevphal Se Bani Smoothie

Jab bhi aapne vajan kam karne ka nirnay le liya hai to aapko iss baat ka khayal rakhna hoga ki aap khane mai kam se kam calories le. Yadi aap vajan kam karne ke liye pey padharth ka sahara le rahe hai to aapko aesa pey chunna hoga jisme calories ki matra kam ho lekin poshak tatva jaise vitamin, potassium, fiber, folate bharpur matra mai ho.

  • Sevphal, kakdi aur ajwain se bana juice aapka vajan ghatane mai bahut prabhavkari hai.
  • Yeh pine mai bhi bahut swadhist lagta hai.

 
Vidhi:

  1. 3 ajwain ki dhantha le
  2. 1 kakdi
  3. 1 sevphal

Ajwain ki dhantal ko chhote chhote tukdo mai kar le. Sevphal aur kakdi ko bhi mash kar le. Fir inn sabhi samagri ko mixer mai dalkar pees le. Isme aadha cup pani bhi dale taki mishran smooth bane. Ise ek kanch ke glass mai dalkar serve kare.
 

Tarbuj – Sharir Ki Safai Kare

Aap sabhi ko tarbuj khana pasand hoga. Lekin kya aap jante hai yeh Best Body Cleansing Food bhi hai. Isliye yeh tasty hone ke sath sath aur bhi kai fayde deta hai. Yeh nutrients se bharpur to hai hi sath hi sath vajan kam karne mai bhi madad karta hai.

  • Yeh vajan ko kam karne ka sabse sasta tarika hai.
  • Isme calorie ki matra bahut kam hoti hai, jisse vajan jaldi ghatta hai.

 
Vidhi:

Tarbuj se chika hata do. Iske bad tarbooj ko tukdo mai kaat lo. Taki aap aasani se ise pees sake. Tarbuj ko mixer mai pees le, aap chahe to ise beej ke sath bhi pees sakte hai.  Ab juice banne tak ise peese. Ab kanch ke glass mai ise serve kare.
 
Upar aapne jana Weight Loss Juice Recipes in Hindi. Yadi aap bhi tyohar ke iss mousam mai charhara sharir chahte hai to inhe aaj se peena shuru kar de. Inhe aap badal badal ke pee sakte hai. Jaise yadi ek din aapne mosambi ka juice piya hai to agle din aap kakdi ka juice pee sakte hai.
 

Loading...

You may also like...