Gel Nails VS Acrylic Nails: Chune Nakhuno ke liye Behtar Style
Tyoharo aur shadiyo ka mosam shuru ho gaya hai. Aese mai har kisi ne apne liye naye kapde, naye jute aadi kharidna shuru kar diya hai. Har koi chahta hai ki wo taiyar hokar aakarshak lage. Chahe koi tyohar ho ya kisi saheli ki shadi ladkiyo ko to tyoharo ka kuch jyada hi craze rehta hai.
Wo sab kuch apne kapdo se match karta hua lena pasand karti hai. Fir chahe wo unki jewelry ho ya fir koi bhi accessory. Aajkal to matching nails rakhne ka bhi bahut trend badh chuka hai.
Pehle ke jamane mai ladkiya saadi si nail polish lagakar log apne nakhuno ko sajate sanwarte the. Lekin aajkal ke badalte hue fashion trend mai ke saadi si nail polish lagana kisi ko pasand nahi aata.
Aajkal ladkiyo ka rujhan nail art ki taraf badhta jaa raha hai. Iske liye acrylic nails aur jel nails dono hi behatar vikalp hai. Isliye tyoharo ko dhyan mai rakhte hue iss lekh mai ham aapko Gel Nails VS Acrylic Nails ke bare mai batayenge, jisse aap inhe lagakar tyoharo ke liye ready ho sakti hai.
Gel Nails or Acrylic Nails Se Badhaye Apne Hatho ki Khoobsurti
Acrylic Nails ek prakar ke artificial nakhun hote hai. Yeh kai prakar ke rango aur aakaro mai milte hai. Ise ethyl methacrylate, polymer powder aur monomer ke mishran se banaya jata hai. Fir iss mishran ko nakhuno par lagaya jata hai. Aap iss mishran ko beauty parlor ya ghar kahi bhi laga sakte hai.
Jin logo ke nakhun lambe nahi hote, unke liye yeh ek behad hi accha vikalp hai. Kyoki yeh aapko kai aakar aur rango mai mil jate hai. Jo apne nakhuno ko classic roop dena chahte hai, unke liye French manicure Acrylic Nail Designs bahut hi behtar vikalp hai.
Agar aapne apne hatho par acrylic finger nails lagae hai to bartano ko dhote wakt ya fir pani wala koi bhi kaam karte wakt gloves jarur pehne. Kyoki pani ke karan inme mojud rang jaa sakta hai aur nakhun kamjor bhi padh sakte hai.
Ham aapko yeh bhi batade ki Acrylic Nails ko nikalne ke liye inhe acetone mai dubaya jata hai. Isme aapko takriban aadhe ghante ke aaspas samay lag sakta hai.
Iss nail ki khasiyat yeh hoti hai ki jiske nakhun tute ho ya jinke nakhuno ka shape accha na ho, wo bhi inhe lagakar sundar nakhun paa sakte hai.
You May Also Like:- Best Lipstick Shades Se Apne Hontho Ko Banaye Khubsoorat
Acrylic Nails Lagane Ka Tarika
Ek baat ka hamesha khayal rahe ki acrylic nail paint hamesha clean nails par hi lagani chahiye. Isliye jab bhi aap acrylic nail paint lagane ka plan bana rahe ho to pehle apni purani nail polish ko acchi tarah se saaf kare. Iske liye aap koi bhi nail polish remover use kar sakti hai. lekin yadi aap purane acrylic nails ya gels remove kar rahi hai to unhe hatane ke liye nakhuno ko pure acetone mai duba ke rakhe.
- Acrylic nails ko lagane ke liye pehle apne nakhuno ko nail clippers ki madad se manageable length ka kare.
- Apne nakhuno ki surface ko khurdara banane ke liye nail file ka istemal kare. Taki acrylic nail aasani se inn par chipak jaye.
- Apne nakhuno ke anusar sahi size ki tip le. Agar aapke size ki tip nahi milti hai to aap ise file ki madad se barabar kar le. Fir glue ki madad se lagaiye. Dhayan rahe ki glue aapke nakhun ke aaspas ki chamdi par naa lage.
- Ab brush ki sahayata se acrylic liquid lagaiye. Dhayan rahe ki iss wakt aap ventilation wale area mai ho.
- Ab ise sukhen ke liye 10 minute tak rakhe. ab pasasndida nail paint se nakhuno ko sajaye.
Isi tarah Gel Nails bhi aapke liye ek accha option hai. Yeh aapke nakhuno ko simple aur natural look deta hai. Yeh acrylic nails se jyada mehnge hote hai. Yeh unn logo je liye accha vikalp hai jihe simple look jyada pasand aata hai.
Gel nails ko simple nail paint ki tarah nakhuno par lagaya jata hai. Ise aap acrylic nails ki tarah ghar par nahi laga sakte hai. Iske liye aapko beautician ki madad lena jaruri hai. Isme gel ke 2-3 coat lagaye jate hai. Har 1 coat ke baad ise UV, ultra violet lamp ke niche 2 min tak rakha jata hai, jab tak jel sukh naa jaye.
Acrylic aur Jail nails dono hi lagane mai safe hai. Aap dono mai se kisi ko bhi apne nakhuno ke anuroop chun sakti hai. Iske alawa iss bat ka bhi khayal rakhe ki jo bhi aap chun rahe ho wo aapki poshak aur moke ke anusar ho.
Healthy Nails Ke Liye Tips Inhe Bhi Jane
- Nails caratin protein se bane hote hai. Isliye apne nails ko sundar aur swasth banaye rakhne ke liye samay samay par manicure karna chahiye.
- Apne nails ko healthy banaye rakhne ke liye aapka bhojan ka poshtik hona jaruri hai. Isliye apne aahar mai phal aur sabjiyo ka samavesh kare. Aur bharpur matra mai pani piye.
- Nails ko nishchit lambai mai samay samay par katate rehna chahiye.
- Jin kamo ko karne se nails ke dagdar hone, tutne aur kharab hone ke sambhavana hoti hai. Unhe karne se pehle gloves pehan lena chahiye.
- Hafto mai do bar cream se hatho aur nakhuno ki malish karna chahiye.
- Jab kabhi bhi aap nail polish ka istemal karti hai to dhyan rahe ki nail polish nails ke kinaro ki twacha ko naa dhake. Kyoki yahi se nails tak oxygen pahuchti hai.
- Agar aapko nail polish jaldi sukhana ho to, to nail polish ke kuch sukhne ke baad, chilled water mai ungliya dip kare. Aapki nail polish sukhkar fix ho jayegi.