Skin Care after Diwali – Tyoharo Ke Bad Bhi Dikhe Khubsurat

Khubsurat chehra har kisi ko apni aur aakarshit kar leta hai. Aur khubsurti ki pehchan hoti hai swasth twacha se. Lekin jaisa ki ham jante hai diwali par phode jane wale phatake, puri raat jalne wali candles aadi se pura vatavaram dushit ho jata hai.

Inn sabhi ka prabhav hamari twacha par bhi padhta hai. Yadi aap apni twacha ka khayal nahi rakhte hai to isse aapke chehre par rukhapan, muhanse aadi pareshaniya chha jayegi.

Diwali ke baad twacha ke kharab hone ke piche ka karan keval pradushan hi nahi hai. Iske piche kai karan hai jaise inn dino bahut tala bhuna khane mai aata hai, mahilaye tyoharo ke douran makeup bhi bahut karti hai.

Yeh sabhi chize twacha ke kharab hone ka karan banati hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Skin Care after Diwali. Iski madad se aap apne chehre ki dekhbhal kar payengi aur aapka chehra khubsurat aur bedag bane rahega.
 

Skin Care after Diwali – Twacha Ki Dekhbhal Ke Liye

 
Skin Care after Diwali
 

Saaf Pani Se Chehra Dhoye

Yadi bahut jyada cosmetics ke istemal karne ya pradushan ke karan aapki twacha par muhanse ho gaye hai to apne chehre ko aap bar bar dhoye. Iske liye mild face wash ka istemal kare, aur chehre ko bahut halke hatho se dhoye. Har bar facewash istemal karna jaruri nahi hai, keval pani se chehra dho le.
 

Badam Tel Ki Malish

Tyoharo ke dino mai bahut kaam hota hai, jiske chalte bahut stress rehta hai. Isse aapka chehra murjhaya hua dikhai deta hai. Isliye kuch din tak lagatar badam ke tel se apne chehre ki malish kare.

  • Badam tel ki malish, sone se pehle kare.
  • Tel ki malish karne se pehle chehre ko acchi tarah dhokar, ponch le.
  • Face Skin Care ke liye yeh bahut hi faydemand hai.

 

Blackheads Hatane Ke Liye Tamatar

Jab ham lagatar makeup karte hai to kai bar yeh hamari twacha ke rom chhidra mai chala jata hai aur dhul mitti ke sath milkar blackheads jaisi samasya aati hai. Blackheads ke chalte chehra kala dikhai dene lagta hai.

  • Blackheads hatane ke liye tamatar ka ek tukda katkar blackheads wali jagah par ragde.
  • Ya to tamatar ke ras mai thoda sa nimbu ka ras dalkar ise chehre par lagaye. Kuch der baar chehra dho le.

 

Bharpur Pani Piye

Hamari twacha ke swasth rehne ke liye hame din mai kam se kam 8 se 10 glass pani jarur peena chahiye. Isse twacha mai nami aati hai aur dehydration ki samasya dur ho jati hai. Jab ham bahut pani pite hai to isse pasina aata hai aur rom chhidra khul jate ha. Isse aapki twacha saaf ho jati hai.
 

Phalo Ka Sevan

Yadi aap twacha ko swasth aur sundar banana chahte hai to phalo ka sevan kare. Isse aapki twacha andruni tour se theek hoti hai aur chehre par chamak aati hai. Fruits Benefits for Skin kai hai. Yadi aap chehre par gulabi chamak lana chahte hai to sevphal ka sevan kare.
 

Skin Care Post Diwali: Anya Tarike Inhe Bhi Jane

  1. Yadi kisi karavash aapke chehre par dane nikal gaye hai aur use bahut din ho gaye to bina der kiye skin doctor ko dikhaye.
  2. Rojana mosambi ka juice peena bhi hamari twacha ke liye faydemand hota hai. Isme moujud vitamin c skin cells ko repair karta hai.
  3. Yadi aapki twacha teliya hai to roj multani mitti ka facepack lagaye. Pani ki jagah isme gulab jal milaye.
  4. Diwali ke dino mai ham pehle se bahut saare cosmetics ka istemal karte hai. Isliye diwali ke bad facial ka upyog na kare. Gharelu upcharo se hi apni twacha ka khayal rakhe.
  5. Jab bhi aap ghar se bahar nikale sunscreen jarur lagaye. Isse aapki twacha dhup ke contact mai aakar aur kharab nahi hogi.
  6. Rojana kacche dudh se chehre ki malish kare aur phir cotton ki sahayata se saaf kar le. Isse twacha ki sari gandagi saaf ho jayegi.
  7. Hafte mai do se teen bar apne chehre ko exfoliate kare. Iske liye aap ghar par bane scrubber ka istemal kar sakte hai.
  8. Jyada tension ke chalte bhi chehre ki ronak khatam ho jati hai. Isliye rojana meditation kare. Isse aap stress free feel karenge.

 
Upar aapne jana Skin Care after Diwali. Di gayi tips ki madad se aap apne chehre ki khubsurti ko barkarar rakh sakte hai. Aur yadi aapke paas wakt nahi hai aur aap parlor ka treatment lena chahte hai to le, lekin kuch naya na try kare.

Loading...

You may also like...