Vitamin E se Banaye Apni Sehat ko Faydemand
Sharir ko kisi na kisi rup me vitamin ki avashyakata padti hai kyunki vitamin ki kami se sharir me kai bimariya panap sakti hai. Body ko healthy banaye rakhne me vitamin E kafi gunkari hota hai. Iske sevan se sharir me bimariya nahi hoti aur skin me bhi glow bana rahta hai.
Vitamin E vanaspati tel, gehuun, hari saag, chana, khajur, chawal ka maand, cream, butter, sprout and fruit me paya jata hai. Esi dher sari baate hum sabhi vitamin E ke bare me jante hai aur aage bhi janna chahenge.
You may also like:- Boiled Vegetables Benefits: Ubali Sabji Hoti Hai Healthy
Janiye Vitamin E ke Anokhe Fayde
Antioxidantes
Vitamin E yukt falo ko khane se ya fir bajar me uplabdh capsules ka sevan karne se bhi body me antioxidant ko badaya ja sakta hai, lekin jyada se jyada natural khadhya padartho ka istemal karne ki soche.
Lal Rakt koshikao ka Nirman
Vitamin E, sharir me khoon ko banane wali red blood cells yani lal rakta koshikao ka niraman karti hai. Agar pregnancy ke dauran garbhavati stri Vitamin E ka sevan nahi karti hai to uske bacche ko anaemia yani khoon ki kami ki shikayat rahegi.
Skin Banti Hai Chamakadar
Twacha ko kasavdar aur damakata banaye rakhne ke liye Vitamin E behad labhkari hota hai. Is ke sevan se twacha par aai jhurriya or kale dhabbe bhi dur ho jate hai.
Thyroid aur Pituitary Gland ki Karyasheli me Sahayak
Agar sharir me vitamin E ki kami ho jaye to sharir me sabse jayda asar thyroid aur pituitary gland ki working activity par padta hai. Iski kami se yeh dono hi glandula dheere dheere kam karne lagti hai jisse sharir me kafi thakan aur bharipan mehasus hai.
Cell Membren ka Banna
Sharir me cell membrane hoti hai yani wah parat ko blood cells ko banaye rakhne me unke upar chadi hoti hai. Agar sharir me vitamin E ki kami ho jayegi to yeh parat dheere dheere kamjoor padegi aur bad me blood cells ke banane me madad nahi karegi, jisse sharir me khoon ki kami ho jayegi.
Mansik Samasya Bhagye Dur
Sharir me vitamin E ki paryapt matra hone par vyakti ko mansik tanav aur samasya kam hoti hai. Doctors dwara research ke bad yeh output nikla hai ki Vitamin E ki kami se mansik samasaye bhi ho sakti hai.
Get more update about Vitamin E from Food.