Benefits of Peppermint Oil: Pudina Tel Ke Bemisaal Fayde
Sare aromatic oils mai se pudina ka tel sabse jyada upyogi aur gunkari hai. Is tel me Vitamin A aur C ke saath Manganese, Iron, Magnesium, Calcium, Potassium and Copper jese minerals paye jate hai. Is me omega 3 aur fatty acid ki matra bhi bharpur matar me hoti hai.
Yeh gunkari tel bahut swasthvardhak hota hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai Benefits of Peppermint Oil. Jisse app janyange ki kis tarah pudina tel ka use karke aap rogmukt ho sakte hai.
Benefits of Peppermint Oil: Pudina Tel Ke Gunkari Laabh
Increases Digestion
• Pudine ka tel, indigestion ki probelm se rahat dilaata hai. Khane ko swadish banane ke liye, thoda sa pudine ka tel khana me dale ya bhojan ke baad is tel ki kuch bunde ko ek cup garm pani me dal kar piye.
• Aushadhi ke guno se bharpur yeh tel gas ki problem ko bhi dur karta hai. Pet me uthne vale marod aur pet ki anye problem se bhi chutkara dilvaata hai.
You may also like:-Frankincense Oil Benefits: Loban Tel ke Behatrin Swasth Laabh
Respiratory System
• Pudina balgam se rahat deta hai. Sardiyo me chhati par jame balgum se nijat pane ke liye pudina ke tel ka upyog kare.
• Pudina ka tel breath se related bimariyo jese Sinusitis, Asthma aur Bronchitis se rahat dilata hai.
• Agar sardiyo me aapki naak band ho gai hai, to pudhina ke tel ko aapni chhati par laye ya pani me daal kar iski bhaap le.
Headache Se Chutkara
• Peppermint Oil ke istemaal se aapka sardard dur bhagat hai. Agar aap sardard ki probelm se lambe samay se pareshan hai. To peppermint oil ki kuch bunde apne rumal par ya kalai par daal kar sunghe.
• Yeh tel aapko tanav se bhi mukt karega.
Badan Dard Me Laabhdayak
• Pudhine ke tel ka use badan dard aur tanav se mukti dilvata hai.
• Dinbhar ki thakan ko mitane ke liye is tel ki malish apne sharir par kare. Iski taazgi aapko trotajaa karke thandak degi.
Baalo Ke Liye Faydemand
• Pudine ka tel ko baalo me bhi lagya ja sakta hai.Yeh natural antiseptic hai isliye jab aap apne sar me is tel se malish karenge to aapko thandak milegi.
• Saath hi baalo ki dandruff aur lice bhi khatam ho jayegi.
Dental Protector
• Peppermint Oil Use se usme moujud antiseptic gun, isse ek dental protector bhi banate hai.
• Yeh hamare muh ki smell ko khatam karke danto aur masudo ko swasth rakhate hai. Dant dard ki problem me bhi araam pahuchate hai.
Swasth Twacha
• Pudina ka tel chehre par lagane se aapke chehre ke sare daag dabbhe gayab ho jate hai.
• Saath hi aapke chehre ko ek nai chamak milti hai.
Urinary Tract Infections
• Peppermint oil ko urinary tract infections ke ilaaj ke liye use kiya jata hai.
• Halaki is baat ke conformation ke liye bahut sare scientist ki study karna abhi bhi baki hai.
Upar aapne jane Benefits of Peppermint Oil. To bas aaj se hi is oil ka use start kar do aur swasth raho.
Get more details about Peppermint Oil from Diet And Fitness.