Benefits of Muskmelon: Kharbooza Khane se Swasth Laabh
Cantaloupe jise Muskmelon aur Kharbooza ke naam se bhi jana jata hai, to vahi duniya ke kai log isse rock melon ya sweet melon ke naam se bhi jante hai. Kai prakaar ke color aur aakar wala kharbooza, khira, kakdi ki tarah hi hota hai. Aaiye jante hai Benefits of Muskmelon.
Kharbooza India, Iran, aur Afrecia me jyada paya jata hai. Khaastor par garmiyo ke mousam me April se lekar August tak iski growth jyada hoti hai. Mithe swad ke saath garmiyo me kharooze ka sevan sharir ko thandak pahuchahta hai. Saath hi isme mojud pani, minerals aur Vitamins sharir me Jaruri poshak tatvo ki kami puri karti hai.
Musk Melon Health Benefits: Cantaloupe (Kharbooza) ke Fayde
Garmiyo ke season me pani ki kami ho jati hai jise ko Muskmelon khane ke baad kam kiya ja sakta hai. Aaiye jante hai Musk Melon Health Benefits, Jisko khakar aap swasth ho jayge.
Benefits of Muskmelon for Digestive System
• Provides Relief from Constipation: Isme kafi matra me pani aur fiber paya jata hai jo khane ko aasani se pachakar constipation jesi bimariyo se door rakhta hai.
• Provides Relief from Acidity: Kharbooza khane se aapko acidity jesi problem nahi hoti hai. Garmiyo me bhojan ke baad roz iska sevan karna chaiye.
• Provides Relief from Diarrhea: Yadi aap diarrhea ki samasya se pareshan hai to kharbooze ka sevan senda namak ke saath jauru kare. Isse aapki iss samasya se nijat milega.
You may also like: Watermelon Benefits in Hindi: Tarbuj ke Mithas Bhare Fayde
Benefits of Muskmelon for Skin
• Contains all Essential Nutrients: Kharbooze me mojud alpha aur beta-carotene, folates, folic acid, potassium, Vitamin C, E, K and A ka khajana twacha ko healthy rakhne ke saath hi use komal aur chamakdar bhi banate hai. Kharbooze ke niyamit sevan se iske faydo ko turant dekha bhi ja sakta hai.
• Maintains Skin Texture: Kharnooze me paye jana wala collagen twacha ke natural glow ko banaye rakhta hai. Saath hi ye choti moti choto ko bharne me bhi kafi faydemand hota hai.
• Removes all Spots: Acne, black spots aur bhi kai prakar ki skin problems ko kharbooze ki sahayta se dur kiya ja sakta hai.
• Hydrates Skin: Isme mojud pani aur Vitamin K,B, aur E ki matra twacha ki khoi hui name ko lotakar use healthy aur fresh banati hai.
Benefits of Muskmelon for Women
• Induce Breast Milk Production: Aaiye jante hai Benefits of Muskmelon, khaaskar mahilao ke liye. Delivery ke baad iske sevan se paryapt matra me dudh banta hai jo ki sharir ke vikaas me bahud Jaruri hota hai.
• Regulates Blood Flow during Menstruation: Isme mojud potassium ki matra sharir ke extra sodium ko bahar nikalkar blood pressure ko control karti hai. Iske saath hi periods ke douran jyada bleeding aur blood clotting ke banana ki samasya ko bhi khatam karti hai.
Benefits of Muskmelon for Weight Loss
• Contains Low Calorie: Calorie ki bahut kam matra aur fiber ki acchi-khasi matra samete hue kharbooze me pani, minerals, Vitamin aur kai prakar avashyak poshak tatva paye jate hai. Isse khane se pehle khana chaiye jisse apka motapa kam kiya ja sakta hai.
• Manages Weight: Rozana thoda-thoda kharbooza khakr bhi vajan ko niyantrit kiya ja sakta hai. Khane se pehle iske sevan se bhuk shant ho jati hai. Iske chalet aap jarurat se jyada aahar nahi lete hai.
Benefits of Muskmelon during Pregnancy
• Rich in Folic Acid and Iron: Yeh garbhavati mahila ko bahut fayda pahuchta hai. Iski bacche ke vikaas me bhi aham bhumika rahti hai.
• Prevents Baby from Birth Defects: Kharbooza khane se na keval bacche ka sahi vikaas hota hai, balki janam ke saath hi hone wali kai prakar ki samasyao se bhi bachata hai.
• Provides Reliefs from Morning Sickness: Garbhavastha ke pahale mahine me hi jii machalne aur ulti ki samasya ko kharbooze ke sevan se kafi had tak kam kiya ja sakta hai.
Nutritional Benefits of Muskmelon per 100 gm
(Source: USDA Nutrient database)
• Energy: 34 Kcal
• Carbohydrate: 8.6 g
• Protein: 0.84 g
• Fat: 0.19 g
• Dietary Fibers: 0.9 g
• Sugar: 7.86 g
Vitamins
• Thiamin (B1): 0.017 mg
• Riboflavin (B2): 0.026 mg
• Niacin (B3): 0.734 mg
• Pantothenic acid (B5): 0.105 mg
• Pyridoxine (B6): 0.072 mg
• Folates: 21 µg
• Choline: 7.6 mg
• Vitamin A: 3382 IU
• Vitamin E: 0.05 mg
• Vitamin C: 36.7 mg
• Vitamin K: 2.5 mcg
Electrolytes
• Sodium: 1 mg
• Potassium: 267 mg
Minerals
• Calcium: 9 mg
• Copper: 41 µg
• Iron: 0.21 mg
• Phosphorus: 15 mg
• Magnesium: 12 mg
• Manganese: 0.041 mg
• Zinc: 0.18 mg
Phyto-nutrients
• Alpha-carotene: 2020 µg
• Beta-cryptoxanthin: 1 µg
• Lutein-zeaxanthin: 26 µg
Upar aapne jane Benefits of Muskmelon, jo aapke liye kafi faydemand sabit hoge. To aaj se hi Kharbooza ka sevan kare aur swasth rahe.
Get more update about Muskmelon from Food.