Homemade Skin Bleach, Twacha ko Naturally Sundar Banaye

Aaj kal gora banane ki chah har kisi ko hoti hai. Agar chehra saaf suthra aur chamkdar hai to andar se confidence aata hai aur mann khush rahta hai. Bazar me milne wali bleach cream chehre ke liye kafi hanikarak hoti hai. Inme tarah tarah ke rasayan ke alawa aise tatva hote hai, jo baad me twacha par galat prabhav dalte hai. Agar aapke paas thoda sa time ho to kyo na ghar me hi bleach taiyar kar liya jaye.

Prakritik bleach lagane par aapka chehre to nikhrega aur saath me koi skin allergy bhi nahi hogi. Ghar me milne wale prakritik padarth jese dahi santra, papita, shahad, tamator aadi bleach banane ke kaam laye ja sakte hai. To Aaiye hum aapko batate hai, Homemade Skin Bleach.

Homemade Skin Bleach

Homemade Skin Bleach se Paiye Akarshak aur Khubsoorat Twacha

Dahi

• Dahi ko nahane se pahle apne chehre aur gardan par ragdiye.
• Isse dead skin hategi aur gandagi bhi dur ho jayegi.

You may also like:- Janiye Kuch Lajawaab Benefits of Baking Soda

Santra

• Santra me bahut sare Vitamin C aur bleach ke gun paye jate hai. Isse chehre par pade kale daag dhabbe bhi khatam ho jate hai.
• Isliye santre ke ras aur dahi ko apne face pack me daal kar lagana na bhule.

Papita

• Thoda sa paka hua papita masal kar dudh ke saath mix kar paste banaiye.
• Phir ise chehre aur gardan par lagaye tatha 10 se 12 minutes ke liye sukhne de phir thodider baad pani se apne muh ko dho lijiye.

Shahad

• Agar aapko chamakdar twacha chahiye, to shahad ko seedhe chehre par lagaiye.
• Ya phir aap ise nimbu ke ras ke saath mix karke bhi laga sakte hai.

Kheera Aur Aloe Vera

• Kheere aur aloe vera ke ras ko mix kar lijiye.
• Phir is ras ko 20 minutes ke liye apne chehre par lagaiye phir sade pani se muh dho lijiye. Isse apki skin fresh dikhai degi tatha twacha ki puri gandgi bhi khatam ho jayegi.

Tamator

• Tamator ek bahut accha Homemade Skin Bleach me se ek hai. Pakka hua tamator le, usme thoda sa dahi dale. Is paste ko chehre par 15 minutes ke liye lagaye.
• Yeh ek accha acidic hota hai, jo twacha ke liye bleach ka kaam karta hai.

Besan

• Besan thoda sa pani milaiye aur paste bnaiye.
• Ise chehre par lagaiye aur sukh jaye tab ise dho lijiye.
Aalu
• Ek aalu ghis kar usme kuch bunde gulab jal ki milaiye.
• Phir 20 minutes ke baad chehre ko dho lijiye. Isse dark circle bhi dur ho jate hai.

Oatmeal

• Oatmeal ka powder baniye aur isme tamator ka ras daliye. Tamator bleach ka kaam karta hai. aur oatmeal scrubber ka kaam karta hai.
• Isliye is pack ko skin par lagane se aapke chehre ki scrubbing ke saath aapki skin par bleach bhi hoga. Saath hi iske regular use kare ne se aap apni skin me ek naya badlaav dekhenge.

Badam

• 2 Badam ko raatbhar pani me bhigo do. Subah uth kar iska paste baniye aur ise apne chehre par 10 minutes ke liye lagaiye. Isse aapki skin gori aur saaf dikhai degi.
• Aur saath hi aapko skin whitening bhi milengi.

Jaitun ka Tel aur Chini

• Vese to aap olive oil aur sugar ke fayde ko bare jante hi hoge lekin aapko ptaa hai ki ye dono saath milakar ek bahut accha scrub aur bleach banate hai.
• Isko banane ke liye chini aur olive oil ko acche se mix kar lijiye. Phir ise apne chehre par lagaiye aur thodi der baad ise scrb ki tarah use kare. Isse aapke chehre me nai chamak aayegi.

Orange Peel aur Cream

• Kisi bhi prakaar ka fruits ya sabji ka prayog aapke liye prakritik roop se bleach ka kaam karte hai.
• Santre ke chilke ko dhup me sukha kar mixi me pis lijiye aur is powder me thodi si malai mila kar paste bana lijiye. Ab is paste ko apne chehre aur gardan par 10 minutes lagaiye. Phir saade pani se apne face ko dho lijiye.

Nimbu, Cucumber aur Gehu

• Homemade Skin Bleach ki bat kare ti nimbu ka naam sabse pahle aata hai. Ek mixer me cucumber ko acchi tarike se pis lijiye aur usme nimbu ka ras mila de. Ab is paste ko katori me dale. Aur isme thoda sa besan ya gehu ka aata ko milakar apni twach par lagaiye. Sukhne par ragdke hata dijiye.

Haldi aur Nimbu ka Paste

• Haldi powder me thoda sa nimbu ka ras mila lijiye. Ab is mishran ko pani skin par lagaiye.
• Par dhyan rahe ki bazar me milne vale haldi powder ko na kharide kyoki isse chehre par lagane se rash ho jate hai. Ta accha hoga ki aap khadi haldi ko lekar use pise phir uska powder banaye.

Safed Sirka

• Apne safed sirka ka use pimple ko hatne ke liye jarur kiya hoga. Par agar aapko sunburn ya chehre bujha bujha sa lage to vitamin C se bhara yeh safed sirka bemisaal upay hai is pareshani se bachne ke liye.
• Isko ek toner ke roop me istemaal kare. Yani ek cotton le aur sirke me bhigo kar use chehre saaf kare. To hum bol sakte hai ki, safed sirka ek accha Skin Bleach hai.

Naturally Bleach Hair: Baalo Par Sundar aur Chamkdaar Banaye

Naturally Bleach Hair

Baal Kisi ki khubsoorti me char chand lga dete hai, sabhi chahte hai ki unke baal khusoorat aur akrshak ho. Bleach baalo ko nikharne ko tarika hai. Bleach ke liye bajar me kai chemical utpadan moujud hai lekin inke prayog se aapko bahut se nuksaan bhi hote hai. Saath hi aapke baalo ki natural beauty bhi chali jati hai.

To agar aap apne balao ko praktit roop se bleach karenge to aapke baalo ko koi nuksaan bhi nahi hoga tatha aapke baalo ki khubsoorti bhi bani rahegi. To chaliye hum aapko batate hai Naturally Bleach Hair.

Shahad Aur Sirka

• Shahad baalo ko praktika roop se nikharne me help karta hai, yeh baalo ko me nai chamk lata hai. Shahad aur sirke ka mishran bna kar aap apne baalo me lagane se. Aap apne baalo ko ko natural roop se bleach kar sakte hai.
• Iske liye 2 cup sirka, 1 cup shahad , 1 chammach olive oil le, 1 chammach daalchini aur ilaichi lijiye.
• In sab ko acche se mila lijiye, is mishran ko sone se pahle baalo me lagaiye phir subah pani se pane baalo ko dho lijiye.

Chamomile Tea

• Yeh baalo ko natural tarike se nikharta hai. Agar aapko chamomile tea nahi mila rahi hai to isko jagah aap aap black tea ka use kar sakti hai.
• Chamomile ko hair conditioner ke saath acche se milakar use kare. Kisi bartan me chamomile chai ko adhe ghate tak acche se pakaye phir ise thanda hone de iske baad 5 se 6 chammach chamomile tea ko apne hair conditioner me daliye. Isse 10 minutes ke liye chhod de isse aap ke baal natural tarike se bleach ho jayenge.

Daal Chini

• Daal chini bhi ek tarike bleach powder hai. Lagbhag ek mutti daal chini ka powder hair conditioner me mila lijiye.
• Ise pure baalo me acche tarah se lagaiye, ise sahi tarike se lagane ke liye aap khanghi ka prayog bhi kar sakte hai. Is mishran ko puri raat baalo me laga rahne de, phir subah ise saaf kar lijiye.

Mehandi

• Mehandi ka prayog haatho ke liye hi nahi balki aapke baalo ko bleach karne ke liye bhi kiya jata hai.
• Mehandi powder aur chamomile powder barabar matra me lekar pani ke saath ubaale ke uar iska gada paste bna le.
• Ab ise pane baalo me 1 ghante ke liye laga kar chhod dijiye, agar aap iska behtra result chahte ho to 2 ghante ke baad baalo ko dhoye.

Nimbu

Naturally Bleach Hair ki baate kare to to nimbu ek bahut hi accha bleach hai. Taja nimbu baalo ki chamak ko barkraar rakhta hai. Nimbu ko pani ke saath milakar bleach karne se baalo ka natural roop se nikhara ja sakta hai.
• 2 nimbu ka ras nikal kar, jitna ras hai usse kam matra me pani milakar ek mishran bna lijiye.
• Ise baalo par lgakar 3 ghante ke liye chhod de. Phir subah pani se baalo ko dhole aur agle din shampoo kare isse aap apne balao me ek nai chamak dekhnge.

Dekhiye Video Yaha Par aur Nikhariye Apna Chehra

Upar aapne jane Homemade Bleach for skin and hair. To bas der kis baat ki aaj hi in tariko se apne baalo aur skin ko khubsoorat banaiye.

Get more details about Homemade Bleach from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...