Achyranthes Aspera: Swasth ke Liye Gunkari hai Apamarga
Apamarga (Achyranthes Aspera) ka poudha sardi ke mousam mai khuli jagah par hota hai. Iske guno se log aamtour par anjaan rehte hai. Aaiye jante hai Apamarga Benefits.
Isme potassium, soda, iron, gandhak aur salt paya jata hai. Apamarga tikha, kadwa tatha prakrati mai garam hota hai. Yeh pachan shakti ko badata hai. Yeh kai rogo ke liye bahut hi faydemand hota hai
Iss aushadhi ke sevan se bukhar, pathri, garbhavastha mai hone wala dard, vish ke prabhav ko kam karne wala raktshodhak aushadhi hai. Saans rog jese dama hone par iss poudhe ka sevan karna chahiye.
Vibhinn Bhashao mai Apamarga ka Naam:-
• Sanskrit: Aghata, Khara-manjari, Apamarga
• Hindi: Chirchira, Latjira, Onga
• Bengali: Apang
• Gujarati: Safed Aghedo, Anghadi, Andhedi, Agado
• Kannada: Uttaranee
• Malayalam: Kadaladi, Katalati
• Malagasy: Mahabaka
• Marathi: Aghada, Pandhara-aghada
• Punjabi: Kutri
• Tamil: Nayuruvi, Shiru-kadaladi
• Telugu: Antisha, Apamargamu, Uttaraene
• Sinhala: Karal heba
• Indonesia: Jarong
You may also like:- Amaltas Benefits: Sehat aur Twacha ke Liye Faydemand
Apamarga (Achyranthes Aspera) Benefits: Anmol Aushadhi ke Aneko Guno
Apamarga aasani se sabhi jagah uplabdh hota hai aur ye aapke sharir ke liye bahut faydemand aushadhi hai. Aaiye jante hai iske guno ke bare mai adhik jankari:
- Achyranthes Aspera khane se sharer tandaroost hota hai. Pachan shakti badane ke liye ye poudha bahut faydemand hai. Iss poudhe ka sevan karne se apach ki samasya dur hoti hai.
- Adhik bhojan karne ke karan jinka vajan bad raha ho, unhe bhukh kam karne ke liye apamarga ke beejo ko chawal ke bhaat ya kheer banakar niyamit sevan karna chahiye.
- Sharir mai hone wale dard ko dur karne ke liye iss poudhe ka istemaal kijiye. Jodo mai dard hone par iski beejo ko piskar garam kar lijiye, phir use dard hone wali jagah par lagaiye. Isse dard mai aaram milega.
- Apamarga Benefits ki baat kare to iska sevan bukhar hone par karna chahiye. Bukhar hone par iss ras ko shahad ke saath milakar khane se fayda hota hai.
- Apamarga mul churna 6 gm raat mai sone se pahale lagatar 3 din pani ke saath pine se night blindness mai laabh hota hai.
- Jalodar (Pet fulne ki samasya) mai apamarga churna ke sevan karne se iss samasya mai laabh hota hai.
- Saap (Snake) ke katne par isko pani ke saath piskar pilaiye, isse jahar ka asar kam ho jata hai.
- Apamarga ko dudh ke saath sevan karne se garbhdharan karne ki sambhavna bad jati hai.
- Isske 10 gm churna ko pani mai piss kar chhankar 3 gm shahad aur 250 ml dudh ke saath pine se shigrapatan nahi hota hai.
- Apamarga beej, punarva mul, suddh hartaal ko swaras mai piskar lep karne se granthi shigra baith jati hai.
- Iske beejo ki kheer banakar khane se kai dino tak bhukh nahi lagti aur sharer kamjor nahi hota hai. Isko niyamit roop se sevan karne se sharer mai urja bani rehti hai.
- Apamarga churna, kali mirch ko madhu ke saathh piskar chawal ke mand ke saath khane se safed pradar dhire-dhire samapt ho jate hai.
- Bad ki dadi, khajoor ki pattiya aur apamarga ke kwath se kulla karne par sabhi prakar ki daant ki samasyaye samapt ho jati hai.
- Apamarga ko piskar stan (Breast) par lep karne se dudh adhik utarta hai.
- Khujali hone par apamarga ka kadha banakar usse nahaiye, isse aapko khujali ki samasya nhi hoti hai.
- Sar dard hone par apamarga ko pani mai ghiskar lep karne se sar mai hone wale dard samapt hota hai.
- Pathari hone par iske kshar ko thande pani ke saath sevan karne par pathri nikal jati hai.
Upar aapne jane Apamarga Benefits. To aaj se hi iss gunkari aushadhi ka sevan kare aur dur kare inn sab bimariyo ko. Ye aapke sharir ke liye bahut hi faydemand hoti hai.
Achyranthes Aspera se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.