Ghar Mai Positive Vibes Badhane ke Aasan Tips

Aapke ghar ki acchi aur sakaratmak urja na sirf aapka mood banaye rakhti hai balki aapko prerit karti rehti hai. Isliye ghar mai sakaratmak urja ko badhaye. Iss urja ko badhane ke liye inn aasan tips ko apnaiye aur swasth rahe.

Kuch jagah aapko apne jaado mai iss tarah bandh leti hai ki unhe choddne ka mann hi nahi karta hai. Iska karan hota hai uss jagah par moujud Positive Vibes yani sakaratmak urja dete hai.

Aapke ghar ki acchi aur sakaratmak urja na sirf aapka mood banaye rakhti hai balki aapko prerit karti rehti hai. Isko banaye rakhne ke liye aapko jyada kuch nahi karna hoga. Aur yeh aapko bahut hi accha ahsaas dege.

Agar aap din bhar ki thakan aur bhagdoud ke baad aise ghar mai aaye jaha pahuchahte hi wo halka mahsoos karne lage to aap apne jivan ko bahut hi acchi tarah se bita sakege. To aaiye jante hai Positive Vibes badhane ke liye kuch khaas tips.

You may also like:- Stress Relief Tips in Hindi, Tanav se Bachne ke Upay

Positive Vibes: Sakaratmak Urja ko Badhane ke Liye Best Tips

  • Khushboo:

    Feng shui aur jen mai, ghar mai sakaratmak urja ko badhane ke liye khushboo ka bahut adhik mahatva hai. Khushboo wali candles aur agarbatti jalane se ghar ka mahool khushnuma ban jata hai. Yeh khushboo kisi ke bhi Depression (Tanav) ko kam karke uska mood halka karne mai kafi madad karti hai. Isse dhyan kendrit hone mai shayata milti hai.

  • Bahar ki Taazagi Laye Ghar ke Andar:

    Apne aur prakriti ke bich ki deewar ko daha dena sehat aur mood ke liye bahut accha hota hai. Subah uthate hi pehla kaam yeh kare ki khidkiyo ko khol de. Thoda sa waqt nikalkar chidiyo ko apni khidki par aate dekhe. Suraj ki kirano se apne room ko roshan hone de. Isse ghar mai sakaratmak urja aayegi.

  • Ghar Mai Color Kare:

    Aapke dressing style ke saath-saath aapke ghar ko bhi color code ki jarurat hoti hai. Apne ghar ke har room ke hisab se rang chune. Aap organic rang bhi choose kar sakti hai. Iske alawa wall sticker aur papers ka rookh bhi kar sakte hai. Jab ghar maid her saare rang dikhege to aap apne andar urja mahsoos karne lagege.

Positive Vibes Tips

  • Hara Bhara Ghar:

    Apne ghar ke andar plot aur water fountain lagaye. Hare bhare poudhe aapko oxygen aur taazagi to denge hi, isse aapko alag prakar ki sakaratmak urja bhi mahsoos hongi. Isse yeh bhi mana jata hai ki pani dhan aur sakriyata badhata hai. Koshish kare ki aap eco friendly home decor laye.

  • Bekar Saaman Bahar Nikale:

    Aksar log apne ghar mai aisa bahut saara saaman bhare rehte hai jinka koi istemaal hi nahi hota. Furniture, almirah mai saalo se pade purane kapde, purane jute aur na jane aisi kitni aur chizo ko bahar kare. Yeh na sirf aapke ghar ki jagah gherte hai balki nakaratmak aur baasipan ki nishani bhi hote hai. Apne ghar ko inn sab bekar saman se aajad kare.

  • Wind Chimes:

    Ghar mai lakdi ya baans ki bani wind chimes lagaye. Isse ghar ka mahool mai halka sangeet ghulta hai. Dikhne mai bhi yeh khubsoorat hoti hai. Khidki aur door ke paas wind chimes laga de aur phir dekhe ki isse kitni sakaratmak urja milti hai.

  • CFL Apnaye:

    CFL ka prakash kudrati nazar aata hai. Yeh paramparagat bulb ka shandaar vikalp hai. Yeh aam bulbo se das guna jyada chalta hai aur saath hi inme bijali ki khapat bhi adhik hoti hai. Safed roshani wale CFL ghar ke andar bhi surya ka prakash hone ka abhas karate hai, isse aapka mood badhiya rehta hai.

Upar aapne jane ghar mai kese Positive Vibes ko badha sakte hai. To agar aap bhi din bhar ki thakan se pareshan hone ke baad ghar aate hai aur ghar mai sukun chahte hai to inn tips ko apnakar apne ghar mai sakaratmak urja failaye. Isse aap tarotaaza mahsoos karege.

Sakaratmak Urja se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...