Ararot Benefits in Hindi – Sehat Ke Liye Behad Faydemand

 

Arrowroot ke bare mai bahut kam log jante hai. Yeh ek tarah ka powder hai jo ki Arrowroot ke ped se banta hai. Arrowroot ko log hindi mai ararot ke naam se jante hai. Yeh poudho ki jado se prapt hota hai. Yeh ek bahut hi faydemand jadi buti hai.

Aapko shayad jankari na ho kintu iska prayog baccho ke liye milne wale bahut sare khadya padharth ko banane mai kiya jata hai. Isme kai sare jaruri tatva jaise ki carbohydrate, protein, vitamin B complex, potassium, calcium, zinc, magnesium, minerals aadi paye jaate hai.

Bharat mai ararot ko kuch log kuya bhi kehte hai. Yeh 2 se 5 feet lamba aur halka bengani rang ka hota hai. Iski andar ki jad ko khane mai istemal kiya jata hai aur isi se hi aata bhi banaya jata hai. Iska swad bilkul bhi accha nahi lagta hai. Yeh barik safed powder jaisa hota hai, jo ki chhune mai corn starch jaisa lagta hai. Aaiye aaj ke lekh mai ham jante hai Ararot Benefits in Hindi.
 

Ararot Benefits in Hindi – Jane Iske Sehat aur Twacha Ko Labh

 
Ararot Benefits in Hindi
 

Garbhavastha mai Faydemand

  • Iski tazi jado mai bharpur matra mai folates hota hai, jo ki garbhavastha mai bahut jaruri hai. Keval 100 gram ararot ke sevan se folates ki dinbhar ki purti ka 84% consumes ho jata hai.
  • DNA synthesis aur cell division ki process mai vitamin b12 ke sath sath folate bhi bahut jaruri tatva hai.
  • Garbhavastha ke douran folates ka sevan karne se neural tube dosh aur dusri janmjat vikratiyo ko rokne mai madad milti hai.

 

Vajan Kam Karne mai Madad Kare

  • Ararot mai calorie ki matra bahut kam hoti hai. Aap ise soup aur sauces mai istemal kar sakte hai. Isse bilkul bhi fat nahi badhta hai.
  • Isliye jo log apna vajan kam karna chahte hai unke liye bhi iska upyog kiya ja sakta hai.
  • Isme amylopectin aur amylase paya jata hai, jinme calorie ki matra bahut kam hoti hai.
  • Yeh protein se bharpur hote hai, isliye iska sevan faydemand hota hai.

 

Rakt Pravah Accha Rakhe

  • Darahsal yeh potassium ka uccha strot hai jo ki aapke raktchaap ko sahi prakar se chalne mai jaruri hota hai.
  • Yadi aapka raktchaap sahi rehta hai to isse aapko dil ki bimari hone ka khatra ghat jata hai.
  • Ararot aapki dil ki sehat ke liye accha hota hai. Isliye iska sevan jarur karna chahiye.

 

Baccho Ke Liye Faydemand

  • Yeh aasani se pach jata hai, isliye Arrowroot Powder ka prayog baccho ke liye banai gayi khadya samagri banane mai kiya jata hai. Baccho ke liye ise jelly ki tarah banaya jata hai.
  • Yeh unn mao ke liye accha hai jo ab apne bacche ko kisi karanvash stan pan nahi karna chahti hai. Yeh aasani se pach bhi jata hai.
  • Isse aapke bacche ki acchi growth hoti hai kyoki isme sharir ke vikas ke liye jaruri sare mineral jaise magnesium, zinc aadi hote hai jo aapke sharir ke karya ke liye jaruri hai.
  • Isme gluten nahi hoya hai isliye isse kisi bhi tarah ki allergy hone ka khatra nahi hota hai.
  • Yeh aapke bacche ke pet ko sahi rakhta hai, jisse unhe dast jaisi samasyao ka samna nahi karna padhta hai.
  • Yadi bacche ke muh mai chhale ho gaye hai ya fir kai koi cut lag gaya hai to ise aap laga sakte hai. Yeh ek smoothing agent ki tarah kaam karta hai aur jalan jaisi chizo se rahat dilata hai.

 

Chikitsak Guno Se Bharpur

  • Ararot mai healing qualities hoti hai. Isliye yeh ghavo ko bharne ya chalo ko dur karne mai sahayak hai.
  • Africa jaise desho mai iska upyog sunburn ko dur karne ke liye kiya jata hai.

 

Aapke Sharir Ki Protein Ki Purti Kare

  • Aapke sharir ke har hisse ko protein ki jarurat hoti hai. Keval 8 ounces raw ararot protein aapki dainik dincharya ke 19 pratishat protein ki jarurat ko pura kar deta hai.
  • Isme dusre tropical food jaise ratalu, aalu, kela inse bhi jyada protein moujud hota hai.

 

Arrowroot Contains:


Nutrients Vitamins Minerals
Protein 8% Folate 85% Potassium 13%
Dietary Fiber 5% Vitamin B6 13% Iron 12%
Carbohydrate 4% Thiamine 10% Phosphorus 10%
Calories 3% Niacin 8% Manganese 9%

 
Upar aapne jana Ararot Benefits in Hindi. Yeh na keval aapke swasthya aur twacha ke liye balki baalo ke liye bhi kai fayde pahuchata hai. Isliye yadi aap bhi iske fayde pana chahte hai to aap bhi iska prayog kare. Lekin ha pehle jankari jarur hasil kar le ki iska prayog kaise kiya jata hai.

Loading...

You may also like...