Baccho ka Vajan Kam Karne ke Liye Aasan Yuktiya
Aapne apne jivan mai badhe huye vajan ke karan kai dikkate uthai hogi. Motape ya badhe vajan ke karan sirf sharirik hi nahi mansik dikkate bhi uthani padti hai, kai baar log depression mai bhi aa jate hai. Agar aapki body mai vajan badhne ka factor jyada hai to aapke bacche mai bhi asar dikh sakta hai.
Aise mai aapko apne baccho ke swasth par vishesh dhyan dena hoga. Motape ya vajan badhne ki samasya anuvanshik bhi hoti hai, aise mai baccho ko shuruaat se hi workout ki aadat daale, unhe unke behtar swasth ke bare mai bataye.
Baccho ko fast food aur junk food ke avagun bataye, unhe sharir ko fit rakhne ke liye motivate kare. Aap chahe to unke saath hi har activity kare taki unka mann lage. Health club join karwaye, exercise karwaye, yoga sikhaye, isse unhe laabh hoga aur unka vajan humesha control mai rahega.
Yaha kuch aise hi tips diye gaye hai jisse aap apne baccho ka vajan kam karne ke liye upyog kar sake aur unhe fit rakh sake. Aaiye jane baccho mai vajan kam karne ke liye kuch khaas tips jinki madad se aap apne bacche ko fit rakh sakte hai.
You may also like:- Fast Weight Loss Tips in Hindi: Teji Se Kam Kare Apna Vajan
Baccho mai Motape ke Karan Hone Wali Samasyaye:
Kya aap jante hai, motapa 10 saal tak ke baccho mai gambhir bimariyo ko janm de raha hai. Jiske karan baccho mai vyask hote-hote heart attack, ucch raktchap, cancer, samay se pehle budhapa ityadi samasya hone ka khatra badh jata hai. Isliye baccho mai motape ko gambhirta se lena chahiye.
Baccho ke Vajan Kam Karne ke Liye Healthy Tips
Professional Opinion:-
Agar aapke bacche ka vajan tezi se badh raha ho to aap kisi doctor se salah le. Bacche ka achanak vajan badhna ya bahut jyada badhna accha sanket nahi hai. Isliye experts opinion lena jaruri hai. Aamanya stithiyo mai bhi aap salah le sakte hai. Isse aapko sahi tarika pata chalega ki baccho ko kese treat kare aur uske vajan ko kinn tariko se control kare.
Vajan ka Rakhrakhav:-
Ekdam se vajan ko kam karne ke bare mai na soche. Sabse pehle bacche ke haal ke vajan ko stable kare. Usko aisi exercise karwaye ki aur jyada vajan na badhe. Iske baad, vajan ko kam karne wali exercise karwaye.
Apne Bacche ka Menu Monitor Kare:-
Aap apne baccho ke khaan-paan par dhyan de. Baccho ko junk food ya fast food khane se roke. Unhe sugar, prosessed ya canned food khane se bachaye. Baccho ko refreshment mai high calory wale snacks na khilaye. Isse unka vajan kam karne mai aasani hogi.
Physical Activity Karwaye:-
Aap baccho ke saath physical activity kare, agae aap khud samarth nahi hai to unhe aisa karne ke liye motivate kare. Baccho ko health club ya gym join karwaye. Unhe outdoor games khelne ko kahe, isse unki calorie burn hogi aur vajan kam hoga. Aap apne baccho ko fit body ke laabh ke bare mai bataye aur samjhaye ki aap isliye unse aise karne ko kehte hai.
Saath Mai Kare:-
Aapka vajan jyada ho ya sahi ho. Lekin agar bacche ko vajan kam karwane wali exercise karwana hai to aapko bhi uske saath workout karna padega, jab tak aap shuruaat nahi karege, uska mann nahi lagega. Aap uske saath khele, use bahar le jaye, gym jaye, lekin saath hi rahe taki use motivation mile aur wah aapke guidance mai sahi se sari exercise kare.
Yeh the baccho ka vajan kam karne ke liye kuch swasthvardhak tips, jinhe dhyan se follow karna chahiye taki aapka baccha fit aur swasth rahe.