Steaming Benefits in Hindi: Banaye Apne Chehre ko Sundar
Twacha sundar dikhe iske liye jaruri hai ki uska khayal rakha jaye. Twacha ka khayal rakhne ka ek behtar tarika steaming bhi hai. Steaming ke bare mai kuch khaas baate hum bata rahe hai jisko jankar aap steaming karne lagege.
Bahar ke pradushan aur din bhar ki bhagdoud mai twacha ki taazgi aur sundarta kahi gum ho jati hai. Aise mai twacha ki taazgi barkarar rakhne aur use saaf rakhne ke liye chehre ki steaming behad aasan aur prabhavi upay hai. Inn upay ki madad se aap sundar dikh sakte hai aur apni twacha ko komal bana sakte hai.
Sirf kuch minutes chehre ko steam dene ki prakriya se aap apne chehre ko tarotaaza to rakh hi sakti hai, saath hi yeh stress dur karne ka bhi prabhavi upay hai. Chaliye jante hai steaming ke fayde aur jante hai unke bare mai puri jankari.
You may also like:- Glowing Skin Tips in Hindi , Chamakdar Twacha ke Liye Upay
Steaming Benefits in Hindi: Iski Madad se Nikhare Chehre ki Khubsurti
Twacha ki Saaf Safai:-
Twacha ko saaf-suthra rakhne ka yeh sabse uchit tarika hai. Jab aao apne chehre ko steam karti hai, tab garam bhap apni dead skin ko nikal deti hai aur chehre ke rom chidar ko saans lene mai madad karti hai. Chehre par jitni gandagi aur dhul mitti chipki rehti hai awah pore ke jariye bahar nikal aati hai.
Jhurriya Rokne Mai Madadgar:-
Chehre par bhap lene se chehre par nami aati hai aur dry skin thik hoti hai. Saath hi agar skin loose ho gayi hai to bhi wah white tight ho jati hai aur dead skin bhi saaf ho jati hai, jisse aapki twacha jawan dikhne lagti hai.
Black Head aur White Head ki Chutti:-
Agar chehre par black head aur white head ho gaye hai, to bhi steaming se wah saaf ho jate hai. Bas 5-10 minutes tak ke liye chehre ko steaming kijiye aur chehre ke black head aur white head ko scrubber se saaf kar lijiye. Steam se chehra naram pad jata hai jisse black head apni jad se nikal aata hai.
Pimples ko Dur Karta Hai:-
Jab skin ke andar ki toliye granthi se bhar jati hai, tab pimples hone ki jyada sambhavna paida ho jati hai. Aise mai steaming kar ke uss jami gandagi ko bahar nikala jata hai, jisse teliya granthi sahi se kaam kar sake.
Rukhi Twacha mai Jaan Laye:-
Sardiyo mai bahut adhik rukhi twacha wale log agar facial steaming ke baad chehre par cream massage kare to unka chehre ki nami kabhi nahi khoygi. Itna hi nahi, isse chehre ki twacha dhili nahi padegi aur jhurriyo ki dikkat nahi hogi.
Daag Dhabbe Mitaye:-
Steam daag dhabbe kam kar deti hai. Darasal steaming se blood circulation badhta hai jisse aapki twacha ko poshan milta hai. Isse nayi cell growth bhi hoti hai aur purani cells nikal jate hai. Inn sabse daag dhabbe dur ho jate hai.
Twacha ko Rakhe Jawan:-
30 saal ki umra ke baad skin renual process slow ho jati hai. Dead cell aasani se nahi nikalte aur naye cell aapki skin par upar ki taraf aane ke liye jyada waqt lete hai. Skin ki sabse upari parat par jhurriya pad jati hai aur wo bejaan dikhne lagti hai. Steaming se aapki skin ki sabse upari parat nikal jati hai aur skin renual mai madad milti hai.
Upar aapne jane steaming ki madad se kese aap apne chehre ki khoi hui khubsurti nikhar sakte hai aur daag dhabbe mita sakte hai. To aaj hi se aap bhi steaming ka sahara lijiye aur sundar dikhiye.