Waxing at Home in Hindi: Anchahe Baalo Ko Hatane ke Upay

Aajkal mahila ho ya purush apni twacha ko sundar dikhane ke liye bahut kuch karti hai. Twacha ko saaf aur sundar dikhane mai waxing ka sabse bada yogdan hota hai. Waxing ke dwara twacha ke anchahe baalo ko hataya ja sakta hai jisse twacha ka rang gora dikhai dene lagta hai.

Darahsal hath, pairo aur chehre ke kai jagaho par anchahe baalo ka badhna sharir ki sundarta ko kam kar deta hai. Jyada baalo ke badhne se garmiyo mai khujali aur reshes jaisi samasyaye bhi hone lagti hai. Isliye mahilaye hamesha apne sharir ke anchahe baalo ko hatane ki koshis mai lagi rehti hai.

Baalo ko hatane ke liye waxing bahut accha tarika hota hai kyuki isse baalo ko jad se hataya ja sakta hai. Iske sath hi yeh lambe samay tak baalo ki growth ko badhne se bhi rokta hai. Waxing karne ke kai tarike hote hai aur ise ghar ya parler kahi par bhi kiya ja sakta hai. To aaiye aaj jane Waxing at Home in Hindi. Iski madad se ghar baithe hi sharir se anchahe baalo ko aasani se hataya ja sakta hai jisse sharir ki twacha saaf aur sundar dikh sake.
 

Waxing at Home in Hindi: Inn Tariko Se Hataye Unchahe Baal

 
Waxing at Home in Hindi
 
Sharir par waxing mukhyatah do prakar se ki jati hai jise cold waxing aur dusra hot waxing ke nam se jana jata hai. Cold waxing mai waxing ko seedhe sharir ke bhag mai lagakar kisi kapde ki sahayta se baalo ko nikala jata hai. Aur hot waxing mai waxing cream ko pehle garm kiya jata hai hai fir kapde ya paper ki sahayta se nikala jata hai. .

Waxing ke dwara sharir se na sirf anchahe baalo ko hataya ja sakta hai baalki sharir ki mrit twacha ko bhi aasani se hataya ja sakta hai. To aaiye jane home remedy ke bare mai jisse sharir ke anchahe baal aasani se hat jate hai.
 

Waxing Ke Samay Savdhaniya

Wax karte samay savdhani ki bhi jarurat hoti hai, aesa na karne se twacha mai jalan aur dard bhi ho sakta hai. Waxing karte samay yeh dhyan dena bahut jaruri hota hai ki waxing wale kshetra mai baalo ki vraddhi kiss disha mai hui hai. Uske bad wax ko baalo ki vraddhi ki disha mai patli parat lagayi jati hai.

Uske bad cotton ke kapde ya fir strip ko zax ke upar rakhkar dabate huye baalo ki vraddhi ki disha ke viprit disha mai khichkar teji se hataya jata hai. Aesa karne se wax ke sath anchahe baal bhi hat jate hai.
 

Ghar Par Wax Karne Ka Tarika

Waing ke dwara haath, pair, bhohe, hontho ke upar, chehre, bikini area aur underarms ke baal hataye ja sakte hai. Ise karne ke kai tarike hote hai iske liye aaiye jane Waxing at Home Tips.

  1. Waxing karne ke liye sabse pehle wax tap, body scrub, body lotion aur danto ko sunna karne wali cream ko ikattha lar le.
  2. Iske bad sabse pehle halke hatho se body wash ko apne sharir par lagakar  sharir ke baal aur baalo ki jado ko saf karke naram kar le jisse baal aasani se nikal jaye.
  3. Sharir ke wax wale bhag par danto ko sunna karne wali cream laga le isse aapko kafi fayda milega. Lekin yeh dhyan rakhna chahiye ki masik dharm ke douran wax na karwaye, aesa karne se bahut dard hota hai.
  4. Uske bad wax ko waxing wale sthan par lagaye aur aasani se baalo ko cotton ke kapde ya paper ki sahayta se nikal le.
  5. Uske bad twacha ko thande pani se dho le. Thande pani se dhone ke bad twacha par tel lagaye, isse twacha ki chamak aur bhi adhik badh jati hai.

 

You May Also Like:- Beauty Tips for Men in Hindi: Purusho Ke Soundarya Ke Liye

 

Chini, Shahad Aur Nimbu Ka Mishran

Chini, shahad aur nimbu ke ras ko milakar ghar par hi wax ko banaya ja sakta hai. Ise banane ke liye 200 gram dardari chini, 200 gram shahad, 1 nimbu ka ras aur thoda se tel ko le le.

Ab ek pen mai 200 gram chini dalkar garam kijiye aur halke brown color hone tak pighlaiye.  Ab isme mehak ke liye kisi bhi sugandhit tel ki kuch bunde daliye . Iske bad pen mai 200 gram shahad dalkar garm kijiye. Mishran ko dhime aanch mai milate huye isme 1 nimbu ke ras ko bhi milaiye. Fir mishran ko patle cotton se chhankar alag thande hone ke liye rakh dijiye.

Iss tiyar kiye gaye wax ko apne haath pairo mai jaha par bhi lagana ho lagaiye aur cotton ke kapde ya fir papar ki madad se baalo ko nikaliye.
 

Waxing se Hone Wale Fayde

  1. Waxing karne ke bad twacha mulayam ho jati hai sath hi mrit aur sushk twacha dur ho jati hai.
  2. Waxing karwane ke bad twacha mai jalan aur khujali nahi hoti hai. Iske alava jo log bahar ki hair remover creams ka istemal karte hai unki twacha mai dane pad jate hai. Aese mai baalo ko hatane ke liye waxing sahi tarika hota hai.
  3. Waxing karwane se twacha se chhote chhote baal se lekar bade baalo tak ko aasani se hataya ja sakta hai. Aur puri twacha saaf dikhayi dene lagti hai. Iski apeksha kisi cream ya raser se baal saaf karne se twacha mai kalapan aa jata hai aur baal bhi jaldi aane lagte hai.

Yadi aap bhi apne sharir ke anchahe baalo se pareshan hai to yaha jane Waxing at Home in Hindi. Iski madad se aap bhi apni twacha ko saaf, sundar aur komal bana sakte hai.

Loading...

You may also like...