इमली के फायदे – भूख बढ़ाने में मदद करे, आँखों के लिए भी फायदेमंद

Imali ke khatte-meethe swaad ke karan iska naam lete hi sabhi ke muh mai pani aa jata hai. Imali khana sabhi pasand karte hai. Iska ped sabhi jagah aasani se mil bhi jata hai. Iska prayog kai chizo mai jaise panipuri ka pani taiyar karne, khadya padartho ko khatta banane aur chatni banane aadi mai kiya jata hai. South India dishesh mai bhi iska prayog daalo ke swad ko khatta karne ke liye kiya jata hai.

Imali ka vanaspatik naam Tamarind hai. Khan-pan mai imali ke mahatv ko sabhi jante hai lekin kya aap jante hai ki iska prayog hamare sharir ko kai prakar ke rogo aur bimariyo se bachane ke liye bhi kiya jata hai? Imali mai jwarnashak aur antiseptic gun hote hai isliye iska sevan sharir ke liye faydemand hota hai.

Imali kai prakar ke poshak tatvo se bharpur hota hai jaise vitamin C, vitamin E, aur vitamin E. Iske alva isme calcium, phosphorous, iron, potassium, manganese aur fiber jaise khanij tatvo ki bhi acchi matra hoti hai.

Yeh poshak tatv hamare sharir ko piliya ki bimari , aankho ki samasya, sardi-jukham aur vajan kam karne aadi mai sahayak hai. Iske alav iske aur bhi fayde janne ke liye padhe Tamarind Benefits in Hindi.
 

Tamarind Benefits in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand Imali

 
Tamarind Benefits in Hindi
 

Piliya Mai Faydemand

Mosam badalne se aur sahi tarah se khan-pan par dhyan na dene se log piliya ka shikar ho jate hai. Piliya hone se vyaktiyo ko bukhar, sar dard, kamjori jaisi kai prakar ki musibato ka samna karna padta hai. Aesi sthti mai marij ko imali ka juice dena bahut hi faydemand hota hai. Iske alava imali ke phul aur patto ko pani mai acchi tarah se ubalkar uska ras ko bhi pine se piliya rog mai aaram milta hai.
 

Haija

Haija rog se pidit vyaktiyo ko imali se bani goliya khana faydemand hota hai. Imali se goliyo ko banane ke liye imali ke paste mai lehsun ki 6 se 7 kali ko le aur piskar imali aur lehsun ki goliya taiyar kar le. Iss tarah marij ko rojana ek goli, pyaj ke ras ke sath dene se haija bimari mai rahat milti hai.
 

Aankho Ke Liye

Aankho ke liye bhi imali bahut faydemand hoti hai. Aankho mai hone wali jalan, laalpan aur kisi karanvash aankho mai hone wale dard se rahat pane ke liye imali ke patto ka prayog kiya jata hai. Iske alava aankho ki jalan aur dard ko dur karne ke liye Tamarind juice ko dudh ke sath mila le aur aankho ki palko par laga le.
 

Bhukh Badhane Ke Liye

Kuch log chinta aur tanav ke chalte khana nahi kha pate hai. Lekin ham aapko bta de ki khana na khane se sharir ko kamjori, chakkar aana aur pet mai gas banna aadi samasyao ka samna bhi karna pad sakta hai. Isliye Rojana bhojan karna jaruri hai. Isliye jin logo ko bhukh na lagne ki bimari hoti hai unke liye imali ke ras mai kali mirch ka powder dalkar thodi thodi der mai 1 se 2 chammach pilaye isse bhukh badhti hai.
 

You may also like:- Hangover Remedies in Hindi: Gharelu Nuskho Se Utare Nasha

 

Bavasir (Piles)

Piles bahut hi kashtdayak bimari hoti hai iska ilaj adhiktar operation se hi ho pata hai. Lekin imali ke prayog se bavasir ko khatam kiya ja sakta hai. Iske sevan ke liye imali ke phul aur patto ko piskar iska juice taiyar kar le aur piles ke marij ko de. Isse marij ko aaram milta hai aur piles ki bimari thik hone lagti hai.
 

Daanto Ke Liye

Daanto mai keede lagne aur daanto ke pilepan ko thik karne ke liye bhi imali ka prayog kiya jata hai. Darahsal shair mai iron ki matra adhik hone se daanto ka rang pila ho jata hai. Aese mai iamli ke bij ko piskar bane powder se daanto ko ragadne se daant saaf aur chamkile dikhayi dene lagte hai.
 

Ghav aur Sujan Se Rahat De

Kisi bhi prakar ke ghav aur kide ke katne se bane ghav se rahat pane ke liye imali ka prayog kiya jata hai. Iske liye genhu ke aate mai imali ke patte aur imali ke ras ko milaye aur isme chutki bhar namak bhi dale. Iss mishran ko ubal le aur paste bana le, iss prakar bane paste ko ghav par laga le. Aesa karne se ghav ke dard aur sujan mai rahat milti hai aur ghav jaldi thik ho jata hai.
 

Vajan Kam Karne Mai Sahayak

Tamarind for weight loss bhi hai. Imali mai hydroxycitric acid ki bahut adhik matra hoti hai. Yeh acid sharir mai banne wale atirikt fat ko ko burn karne wale enzyme ko badhata hai jisse sharir ka vajan badhne mai madad milti hai.
 

Pachan Sambandhi Samasya

Imali ka sevan karne se sharir ko pachan sambandhi samasyao aur diarrhea mai aaram milta hai. Imali mai fiber ki achhi matra hoti hai jo ki bhojan ke pachan mai madad karta hai aur pachan sambandhi samasyao ke upchar mai madad karti hai.

Iske alava Imali ke sevan se sharir mai rakt ka sanchar sucharu rup se hone lagta hai. Sath hi yeh lal rakt koshikao ke nirman mai bhi madad karta hai jisse kamjori dur hoti hai aur yaddasht badhti hai.
 

Shighrapatan (Premature Ejaculation)

Tamarind seeds ko kai dino tak pani mai bhigokar rakhe jisse uske upar ka chilka nikal jaye. Ab bij ke andar ke bhag ko sukhakar pees le. Iss powder ko rojana mishri mai milakar 1 glass dudh ke sath le. Aesa karne se shighrapatan ki samasya dur ho jati hai.
 

Tamarind Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe

  1. Imali, sharir se bad cholesterol ko kam karne aur isme upasthti potassium uchh raktchap ko niyantrit karne mai madad karti hai.
  2. Isme vitamin B ke sath-sath thymine namak tatva hote hai jo ki mashpeisyo ko majbut banata hai.
  3. Iamli ka guda, haldi aur chameli ke patto ko piskar bane paste ko khane se khansi aur jukham mai aaram milta hai.
  4. Imali ke bij ke sath gud ki saman matra lekar ise ghee mai acchi tarah se bhun le. Bhunne ke bad ise purusho ko dene se napusangta ki bimari dur ho jati hai.

Upar aapne jana Tamarind Benefits in Hindi. Yadi aap bhi upar di gayi bimariyo se khud ko dur rakhna chahte hai to aaj se hi apne aahar mai imali ko shamil kare aur rahe swasth.

Loading...

You may also like...