Glaucoma Symptoms in Hindi: Motiyaband Ke Lakshan Pehchane
Aankhe hamare sharir ka sabse ahem hissa hoti hai isliye inki dekhrekh karna bahut jaruri hota hai. Aankho ki wajeh se hi ham iss khubsoorat duniya ko dekh pa rahe hai. Sharir ke baki sabhi ango ki dekhbhal jitani jaruri hai utna hi hame aankho ki sehat ka bhi khayal rakhna chahiye.
Motiyabind aankho mai hone wala ek khatarnak rog hota hai jisme aankho ka lance dhundhla ho jata hai. Motiyabind ke hone par aankho ki putaliyo ke niche neele rang ka pani sa jama hone lagta hai. Aur yeh pani dhire-dhire aankho ki putaliyo ko dhakne lagta hai. Iss wajeh se manushya ke aankho ki roshni kam hone lagti hai. Aur kuch samay ke bad roshni puri tarah se bhi chali jati hai.
Motiyabind ke lakshano ko pehchanne ke liye yaha padhiye Glaucoma Symptoms in Hindi. Jab vyakti ki umra 40 saal se adhik ho jati hai to kuch logo mai motiyabind ke lakshan dikhai dene lagte hai. Iss rog ka sahi samay se ilaj kar liya jaye to aankho ki roshni ko jane se bachaya ja sakta hai.
You May Also Like:- Eye Care Tips in Hindi – Kare Aankho ki Sahi Dekhbhal
Glaucoma Symptoms in Hindi: Moiyabind Ke Lakshan, Karan aur Upchar
Causes of Glaucoma in Hindi – Motiyabind Hone Ke Karan
Motiyabind hone ke bahut se karan hote hai jaise aankho mai lambe samay tak sujan ka bana rehna, aankho mai janmjaat sujan rehna aadi. Iske alava yaha padhe iske aur bhi karan.
- Aankho ki banavat mai kuch gadbadi hona.
- Kisi bhi karan se aankho mai chot lag jana.
- Aankho ke parde ka kisi karanvash alag hoa jana.
- Kisi bhi prakar ka aankho ka rog hona.
- Madhumeh, gathiya ya fir dhamaniyo ka koi rog hona.
- Dhamaniyo mai jalan mehsus hona.
- Kunain ka atyadhik sevan karna.
- Bahut lambe samay tak tej roshni ya fir tej garmi mai kam karne se.
- Iske alava yadi koi vyakti bavasir ki bimari se pidit hai to uske sharir se rakt strav aachanak band ho jana aadi motiyabind ka karan ho sakta hai.
Motiyabind Ke Prakar (Typer of Glaucoma)
Motiyabind mukhyatah do prakar ke hota hai komal motiyabind aur kathor motiyabind. Komal motiyabind ka rang nila hota hai. Aur yeh bachpan se lekar 35 varsh ki umra tak hota hai.
Iske alava kathor motiyabind 40 se adhik umra ke vyaktiyo ko hota hai. Isme aankho ka rang dhundhla aur pila dikhayi dene lagta hai. Kathor motiyabind dhire-dhire badhna shuru hota hai aur kuch mahino se lekar pure varsho tak viksit ho jata hai. Iss prakar ke motiyabind main ajar dhire-dhire kamjor padne lagti hai.
Iske alava bhi motiyabind nimn prakar ke ho sakte hai.
- Secondary Glaucoma
- Pigmentary Glaucoma
- Pseudoexfoliative Glaucoma
- Traumatic Glaucoma
- Neovascular Glaucoma
- Irido Corneal Endothelial Syndrome (ICE)
- Uveitic Glaucoma
You May Also Like:- Eye Cancer Symptoms in Hindi: Aankho Ke Nasur Ke Lakshan
Motiyabind Ke Lakshan (Symptoms of Glaucoma)
Aankho ke motiyabind rog hone par bahut se lakshan dekhne ko milte hai. To aaiye pehchane iske lakshano ko.
- Aankho ke bich mai safed parat ka jamna.
- Rat ke samay mai dhundhla sa dikhayi dena ya fir saaf dikhai na dena.
- Ek aankh se jyada dikhai dena.
- koi bhi rang halka dikhayi dena.
- Yadi vyakti chashma lagata hai to use apne chashme ka number baar baar badalne ki jarurat padhti hai.
- Adhik roshni mai rehne se takleef hona ya adhik roshni mai rehne se takleef mehsus hona.
- Raat ke samay mai roshni mai ring dikhayi dena.
- Aankho mai aansu aana, sardard aur khujali ka ehsas nahi hona.
Motiyabind Ko Thik Karne Ke Upchar(Treatment of Glaucoma)
Gharelu tariko se motiyabind ka ilaj kiya ja sakta hai. Inn tariko ko apnene se aankho mai koi dushprabhav bhi nahi padte hai aur prakratik tarike se motiyabind ka sahi tarah se ilaj bhi ho jata hai.
- Motiyabind ke ilaj ke liye motiyabind ke shuruati dor mai nimbu ke ras mai halka sa sendha namak milakar ghis le aur din mai do bar aankho mai lagaye. Aesa karne se motiyabind ka badhna ruk jayega.
- Gajar ke 305 gram ras mai paalak ke 120 gram ras ko milaye. Ab iss mishran ko din mai kai bar pite rehne se motiyabind ka badhna ruk jayega.
- Motiyabind ke shuruati dor mai shahad ki ek bund rojana apni aankho mai tapkate rehne se motiyabind ko badhne se roka ja sakta hai.
- Ek cup pani mai ek cup pisa hua dhaniya ko acchi tarah ubaal le. Ab ise chankar thanda kar le. Iske bad iski 2 bundo ko apni aankho par tapkate rehne se motiyabind ke shuruati lakshan ko badhne se roka ja sakta hai.
- Motiyabind ke bachav ke liye rojana subah khali pet muh mai thande pani ko bharkar apni dono aankho ko khole aur aankho mai pani ki 8 se 10 bundo ka chitkav kare.
- Sonf aur dhaniya ko barabar matra mai lekar usme halki bhuni hui bhuri chini ko achhi tarah se milaye. Ab iss ek chammch subah aur sham lene se motiyabind mai kaafi aaram milta hai.
- Gajar, palak aur aamle ko milakar acchi tarah se pees le. Fir iss ras ko rojana piye. Aesa karne se motiyabind 2 se 3 mahino ke andar hi thik ho jata hai.
- Iske alava rojana gaay ke dudh ka sevan karne se bhi motiyabind mai aaram mil jata hai.
- Badam ke 6 daane aur sabut kali mirch ko acchi tarah se pees le. Ab ise rojana mishree aur pani ke sath lene se motiyabind ko badhne se roka ja sakta hai.
- Iske sath hi aankho mai motiyabind ya fir ratondhi ho jane par rojana neem ke tel ko aankho mai anjan karne se aaram milta hai.
- Pyaj ke ras aur ek bund shahad ko milakar aankho mai kajal ki tarah lagane se aankho ki samasya sheeghra dur ho jati hai.
- Aankho ki roshni ko tej karne aur motiyabind se bachne ke liye rojana vitamin A se yukt bojan jaise gajar, santre, dudh aur ghee ka adhik se adhik prayog kare.
- Motiyabind ko thik karne mai haldi ka bahut bada yogdan rehta hai. Haldi mai curcumine namak chemical hota hai jo ki sharir ki rog pratirodhak shakti ko badhane mai madad karta hai. Sath hi cytokines aur enzymes ko niyantrit karne mai madad karta hai. Isliye motiyabind ya fir aankho se judi kisi bhi prakar ki samasya se nijad pane ke liye haldi ka sevan jarur karna chahiye.
- Iske alava 1 gram sendhanamak, ek gram giloy ka ras aur ek gram shahad ko milakar aankho mai kajal ki tarah lagaye. Aesa kuch dino tak karne se motiyabind ki samasya dhire-dhire khatam hone lagti hai.
- Iske alava palak ka juice bhi pine se motiyabind mai aaram milta hai.
- Motiyabind ko bachpan se hi rokne ke liye bhimseni kapoor ko maa ke dudh ke sath ghiskar shishu ki aankho par lagaye. Aesa karne se motiyabind ko shuru mai hi roka ja sakta hai.
- Iske alava poshak tatvo se bharpur aaharo ka sevan karna chahiye. Dhumrapan se parhej kare aur jab bhi aap dhup mai bahar nikle to topi ya chashme ko avashya pehanna chahiye.
Motiyabind Ko Thik Karne Ke Anya Upay
Diye gaye gharelu tariko se motiyabind ka ilaj karne ke alava chikitsa ka sahara bhi liya jata hai. Jinn vyaktiyo ko madhumeh rog hota hai unhe diabetes par niyantran rakhne ki jarurat hoti hai. Sath hi 3 se 4 mahino mai apni aankho ki sahi se janch karvana bhi bahut jaruri hota hai. Iske alava chikitsak adhiktar nimn tariko ka prayog karte hai.
- Chashme ka prayog .
- Anti-glare sunglass ka prayog karna.
- Aankho ke liye magnifying glass ka prayog.
- Surgery
Surgery ke dwara motiyabind ka sahi tarah se ilaj kiya ja sakta hai. Yeh ilaj karna sasta bhi padta hai kyoki surgery mai aankho ka na hi operation karna padta hai aur na hi isme adhik takleef hoti hai.
Iske alava motiyabind ka ilaj laser ke dwara bhi kiya jata hai. Iss ilaj mai aankho ka operation kiya jata hai. Operation ke baad marij ko ek aesa lens lagaya jata hai jisse dur ki drashti acchi hoti hai.
Upar aapne jana Glaucoma Symptoms in Hindi. Yadi aap ya fir aapke parivar jano mai koi bhi motiyabind ke rog se pareshan hai to turant chikisak ki salah le. Aur samay rehte iska sahi se ilaj karwaye. Yeh ek aesi bimari hai jo ki aankho ke liye khatarnak ho sakti hai.