Zika Virus in Hindi – Janiye Iske Prabhav, Lakshan aur Upchar

Pure vishv mai Zika Virus ek bahut bada khatra bankar mandara raha hai. Aapne bhi iske bare mai akhbar ya television par dekha aur suna hoga. Yeh Latin America ke kai desho ko apni chapet mai le chuka hai. Iske khatre ka andaza iss baat se lagaya ja sakta hai ki keval brazil mai 15 se 20 lakh log iske sankraman se prabhavit hai.

Yeh bahut teji se pure vishv mai apni pakad banata ja raha hai. Yeh dengue ke Aedes Aegypti namak macchar se failta hai. Dengue macchro ki bharmar bharat mai bahut adhik hai. Khaskar desh ki rajdhani Delhi mai dengue ka aedes macchar har saal aafat banta hai. Aise mai agar zika virus ka source yaha bhi aa jayega to khatra aur bad jayega.

Yeh deshvasi ke liye ek naya virus hai isliye iski sharir mai turant anti body bhi nahi banegi aur iska attack jyada khatarnak hoga. Doctor’s ke anusar waise is virus ki wajah se jaan ka khatra kam hota hai lekin yeh jis grabhvati mahila ko ho jata hai, uske garb mai pal rahe bacche ke par iska bura asar padta hai.

Iss macchar ke katne se Microcephaly aur Neurological samasya utppan ho jati hai, jo garbh mai pal rahe bacche ke dimag ka sampurn vikas nahi ho pata hai aur sar chota rah jata hai. Isliye Brazil ne apne desh ki mahilao ko agle 5 – 6 mahino tak garbhvati na hone ki salah di hai. Aaiye jante hai Zika Virus in Hindi ko vistar se.

 

Zika Virus in Hindi: Janiye Iske Lakshan aur Upchar Ke Tarike

 

Zika Virus in Hindi

 

1947 Mai Hui Thi Pahchaan

Zika Virus ke sankraman ka sabse pahla case 1947 mai yoganda mai darj kiya gayah tha. Jaha zika namak jangalo mai bandaro ke andar yeh virus paya gayah tha. Iska pahla marij 1954 mai Nigeria mai paya gayah tha. Ab tak yeh sankraman 24 desho mai fail chukka hai. Akele Venezuela mai hi iske 4700 mamle samne aaye hai aur 4000 ke lagbhag navjaat shishu iske shikar huye hai. Iski gambhirta ka andaza iss baat se lagaya ja sakta hai ki WHO (Vishv Swasthya Sangthan) ne isse lekar vishesh chetavani jahir ki hai.

 

Garbhvati Mahila aur Bacche ke Liye Khatarnak

Samanya logo ki tulna mai yeh garbhvati mahila aur unke garbh mai pal rahe bacche ke liye yeh bahut adhik khatarnak virus hai. Iska example haal hi mai brazil mai dekhne ko mila, October 2015 se lekar ab tak waha 3500 se adhik navjaat shishu iss sankraman se prabhavit ho chuke hai. Jis wajah se unka sar chota aur dimag aviksit rah gaya hai.

L Salvador Columbia aadi desho mai zika virus ke sankraman ke karan mahilao ko agle 2 saal tak pregnant hone se bachne ke liye kaha hai. Bharat mai abhi tak yeh bimari pahunchi nahi hai, lekin isse lekar bharat sarkar vishesh satarkta barat rahi hai.

 

You may also like :- Human Papilloma Virus (HPV): A Common Skin Disease

 

Zika Virus Symptoms: Janiye Iske Lakshan

Iske lakshano ka pata iss macchar ke katne ke 10 din baad lagta hai. Zika Virus se pidit har 5 mai se 1 vyakti mai iske lakshan dikhai dete hai. Iss virus se shikar vyakti mai sar dard, jodo mai dard, aankhe lal hona, ulti aana, becheni, chidchidapan aadi lakshan dikhai dete hai. Isse pidit vyakti ko complete bed rest lena chahiye, khoob pani pina chahiye, sharir mai dard hone par paracetamol ya acetaminophen liya ja sakta hai, lekin ibuprofen dawa nahi lena chahiye. Zika Virus Symptoms ko samjhe aur iske lakshano ko pahchane.

 

Zika Virus se Bachav ke Kargaar Upay

Iss virus se bahcne ka kya tarika hai aur wo kya upay hai jinse hum iss sankraman se bach sakte hai. Aaiye jante hai isse bachne ke upay –

  1. Vishv Swasthya Sangathan (WHO) ke anusar zika virus ko rokne ka sabse accha tarika hai machro ki rokdham karna, isliye sabse jaruri hai maccharo ko apne aaspas ya gharo main na panapne de, ghar mai saaf safai rakhe taki kisi prakar se gharo mai maccharo ka aagman na ho sake. Macchro ke prajanan ko rokne ke liye aaspas gamle, balti, coolar aadi mai ganda pani na ekatra hone de.
  2. WHO ka kahna hai ki maccharo se bachne ke liye pure sharir ko dhakne wale kapde pahne, halke rang ke kapde pahne tatha baccho ko vishesh roop se dhyan rakhe.
  3. Bhukhar, jodo mai dard, gale mai kharash, aankhe lal hone jaise lakshan najar aane par swam chikitsa na kare aur na hi koi gharelu upchar dwara apna samay nashta kare, sidhe doctor ke pas jaye aur unse paramarsh le. Kyoki abhi iska koi nishchit upchar nahi hai.
  4. Iss rog se pidit vyakti ko complete bed rest lena chahiye, adhik pani ya taral padartho ka sevan karna chaiye.
  5. Raat mai machardani lagaye ya coil ka istemal kare taki maccharo se bacha ja sake.

Waise to yeh virus ne bharat mai kadam nahi rakha hai lekin iski roktham abhi se karna bahut hi avashayak hai, isliye savdhani barte iske lakshano aur upchar ko dhayn rakhe. Apne baccho ko iske bare mai bataye unhe bhi satark rahne ke liye kahe.

Brazil mai yeh virus apne charam par hai, waha lagbhag 15000 bhartiya rahte hai. Agar koi bhartiya jo zika se sankramait hai aur wo yaha aa jaye to sambhav hai ki bharat mai bhi iske pravesh ho jaye, kyoki koi bhi virus 10 dino tak sharir ke andar zinda rah sakta hai.

Zika virus ke bare mai roj-roj nai khabre samne aa rahi hai. Ek taja news ke anusar ki yeh virus keval macchro ke katne se hi nahi fel raha hai balki asurakshit yon sambandho banane ki wajah se bhi fel raha hai.

Brazil se zika virus se prabhavit hokar france ka ek vyakti apne ghar wapas lota hai, jaha sex karne ki wajah se yeh virus uske partner ko bhi lag gaya hai. France ki swasthya mantra ne bataya ki mahila abhi garvati to nahi hui hai lekin vah bhi iss sankraman se prabhavit ho chuki hai.

America mai bhi ek case aisa hi dekhne ko mila hai. Jisme pushti huyi hai ki yon sambandh banana se yeh uske partner tak pahunch gaya hai. Iske alawa kai logo mai iske sankraman yon sambandh banana ki wajah se hi pahunche hai. America mai WHO ne Public Health Emergency ghoshit kar rakhi hai sath hi logo ko isse bachne aur mahilao ko agle 1 se 2 saal tak garbhvati na hone ke sujhav bhi diye ja rahe hai.

 

You may also like:- Immunity Boosting Foods in Hindi: Pratirodhak shamta Badhaye

 

Iski Koi Dawa Nahi Hai

Visheshagyo ke anusar, abhi tak iss virus ki rokdham ke liye koi bhi tika ya dawa uplabdh nahi hai aur na hi kisi prakar ka koi upchar iske liye kargar hai. Iska sirf aur sirf ek hi upay hai maccharo ki rokdham aur apne aaspas ke vatawaran ko saaf rakhe. Taki kisi bhi tarah hai macchro ka janm na ho sake aur aap isse bach sake.

Brazil ke kai shahro mai zika virus, dengue aur chikanguniya failane wale maccharo ke prajanan shetro ka pata lagane ke liye drone ka istemal kiya jar aha hai. Yaha ke sabse bade shahar Sao Paulo ko imarato ki chato, bagicho aur kgali sthano ki janch ki ja rahi hai. Inn sthano par maccharo ke prajanan ki sambhavna adhik hoti hai.

America ke khadya aur aushdhi prashan (FDA) ne zika virus ko rokne ke sambandh main aye disha nirdesh jari kiye hai. Disha-nirdesh mai yeh baat saaftor par kahi gayi hai ki pichle 4 saptaho mai zika virus prabhavit desho mai yatra kar chuke vyakti raktdan kane ke liye kam se kam 4 saptaah ka iatzaar kare.

FDA ke “Centre for Biologics Evaluation and Research” ke nirdeshak Peter Marks ne kaha ki uplabdh sakshyo ke anusar yeh disha nirdesh jari kiye hai. Yeh disha-nirdesh zika virus se sankramit raktdata ke rakt ya rakt ghatako ko ekatratit kane ke jokhim ko kam karne mai madad karenge. FDA ne kaha ki zika virus se sankramit 5 mai se 4 vyaktiyo mai iske lakshan jaldi najar nahi aate hai.

Aapne jana Zika Virus in Hindi, humne apko yaha iss sankraman se sambandhit sampurn jankari di hai. Aap inn lakshano ko samjhe aur kisi bhi prakar ke aise lakshan dikhai dene par jaldi-jaldi apne najdiki doctor se sampark kare aur iss khatarnak virus ko nasht karne mai madad kare.

Loading...

You may also like...