Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi: Rishte Zindagi Ke
Aaj samay ke sath-sath sari chije badal rahi hai. Vyakti ka nature, tor-tarika, rahan-sahan aadi. Parivartan prakrati ka niyam hai to sabhi jante hai lekin kya yeh parivartan sahi hai ya nahi ye koyi nahi janta hai.
Ek samay tha jab maa-baap apne baccho ki shadi apni marji se kiya karte the, aaj bhi bahut se aise ghar hai jaha aaj bhi yahi pratha chali aa rahi hai lekin badalte dour ke saath yeh prakriya bhi ab badalne lagi hai. Ab bacche chahte hai ki ghar wale unki pasand ke sathi ke sath unka vivah kare.
Aaj hum Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi vishay par charcha karne wale hai. Bharat ek aisa desh hai jaha samman, maryada aur izzat ko sabse upper rakha jata hai. Yaha aaj bhi log paise ko nahi balki samman aur maryada ko pujte hai. Yaha aaj bhi dadi-nani ki loriya aur kahawate mashhur hai.
Yaha ka vyakti aaj bhi apni se mitti se juda huya hai khaskar purani generation. Agar hum new generation ko chod de to aaj bhi yaha par dad-pardada ke samay se chali aa rahi prathaye mojud hai. Mana ki samay ke sath inme bhi parivartan aaya hai.
Aaj log samajhdar ho gye hai, wo bhi yeh samjh rahe ki ab dour badal raha hai aur iss badalte dour ke sath unhe bhi chalna hoga aur yeh jaruri bhi hai. Bahut si aisi prathaye thi jo sahi nahi thi jinhe vakt ke sath badal diya gaya aur unn badlav ke sakaratmak parinaam ko logo ne bhi samjha aur jana.
Aajkal shadi ek charcha ka vishay bana huya hai. Jab baccha bada hokar apne pero par khada ho jata hai ya uski life setal ho jati hai, tab har maa-baap ke liye yeh ek samanya vishay rahta hai bacche ki shadi karna. Sabhi maa-baap yahi chahte hai ki unke bacche unke kahe anusar ya unki marji se shadi kare, lakin wakt ke sath ab aisa sambhav kam ho pata hai.
You may also like:- Healthy Relationships in Hindi: Jane Swasth Rishto ke Raaz
Aaj ki yuva pidi apne mata-pita aur pariwar ka samman karti hai isme koi shak ki baat nahi hai yeh bhi bharat ki parampara rahi hai bade-bujurgo aur parijano ko samman dena. Aaj samay aur pidi dono badal chuke hai, yova pidi aaj apni pasand se shadi karna chahti hai, wo chahte hai ki ab unhe moka diya jaye apne jivansathi ko dhundne ka. Aaiye koshish karte hai iss vishay ko vistar se samjhe ki.
Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi: Janiye Kya Hai Behtar
Humare desh mai shadi ek pavitra bandhan hai, jisme janm janmantar ka sath hota hai. Yeh ek aisi prakriya hoti hai jisme aapsi talmel hone par aapki puri zindagi sudhar sakti hai aur ek choti si galti aapki rishto mai darar bhi la sakti hai. Aaiye jante hai love marriage ya arranged marriage mai kya hai antar-
Love Marriage
Love Marriage sahi hai ya galat yeh aapki soch par depend karta hai. Agar apki love marriage success rahi hai to apke liye isse accha kuch nahi hai. Isme aap kisi ajnabi se School, college ya kisi function mai milte hai. Mulakaat aage badti hai, ek dusre ko samjhne lagte hai phir yeh nirnay lete hai ki ab hum shadi karna chahte hai.
Kabhi-kabhi aap kisi ajnabi ko pasand karte hai, uska hath pakadte hai, kiss karte hai ho sakta hai shadi se pahle aapne sex bhi kiya ho. Pyar ke iss modd par sab accha hi lagta hai aur isliye aap puri zindagi sath rahne ka fesla lete hai.
Durbhagyavash, pyar karna aasan hai lekin zindagi ke 50 saal ya usse bhi adhik nikalna koi aasan kaam nahi hai, yeh bahut mushkil hota hai. Ghar-parivar ko sath lekar chalna itna aasan nahi rah jata hai. Kai baar apke mata-pita iske liye raji nahi hote hai to aapko unke viprit bhi janat padta hai. Ialiye bahut baar iska ant talak se hota hai.
Love Marriage mai yeh baat sahi hai ki aap pahle se apne partner ko bahut acche se janane lagte hai lekin unki acchaiyo ke sath sath aap unki buri aadato ko bhi jante hai. Aise mai shadi ke kuch samay mai hi jhgde hona prarambh ho jate hai. Kisi vyakti ke sath kuch samay bitana aur puri life bitana dono mai bahut antar hota hai. Isme kuch saal tak to hansi-khushi ka mahool bana rahta hai lekin thodi dib hi chuk hone par iss rishte ka ant talak se hota hai.
Apni marji se ki gayi shadi ko pariwar ke sath-sath samaj bhi swikaar nahi karta hai. To aise mai pati-patni ke bich bigad rahe sambandh ko koi samjhne nahi aata hai. Yaha sabse adhik nuksan ladki ka hota hai kyoki ladki ko dharmik riti-riwajo ki itni jankari nahi hoti hai aur other cast mai shadi kr lene par usse yeh sab sikhna bhi padta hai.
You may also like:- Girlfriend ka Dil Jitna Hai To Apnaye Yeh Upay
Arranged Marriage
Ek sarvekshan ke anusar, 90 pratishat bhartiya aaj bhi arranged marriage mai vishvas karte hai. Iska ek karan yeh bhi hai ki pyar mai padkar shadi karne se jyada aasan hai. Arranged Marriage humare desh mai sadiyo se chali aa rhi hai. Jiske piche kai karan hai yeh vivah ka sabse accha tarika hai aur samay ki bachat bhi hoti hai.
Yaha aaj bhi rudiwadi ya purani soch wale log hai jo love marriage ko pasand nhi karte hai sath hi samanj bhi aise logo se dur hota jata hai. Arranged Marriage mai mata-pita apni marji ka pariwar jarur dekhte hai lekin shadi ladka aur ladki ki marji ko jaankar hi ki jati hai.
Bhartiya sanskrati hai ki yaha jitni ahmiyat rishto ko di jati hai utni hi samaj ko bhi di jati hai. Isliye arranged mai jab apni cast ya biradari mai shadi ki jaye to samaj to khush hota hai hi sath hi shadi ke baad pati-patni ko apne riti-riwajo se bhi samjhota nahi karna padta hai.
Yaha pariwar rishte ki dhal banta hai, kisi bhi prakar ki pariwarik samasya aa jane par ghar ke sabhi sadasya milkar usse suljate hai. Jabki love marriage mai pariwaar wale pahle se hi naraj rahte hai aur kisi bhi pareshani mai humara sath nahi dete hai.
Ek samay tha jab shadi mai dahej ki pratha huya karti thi lekin samay aur yova pidi ke hoslo ke bal par aaj iss prathi se bhi mukti milti najar aa rhi hai. Bharat ki bhavi yuva pidi apne riti-riwajo ka to samman kar rahi hai sath hi vah dajeh jaisi rudiwadi pratha ke khilaf bhi ja rahi hai.
Love Marriage vs Arranged Marriage
Love Marriage | Arrange Marriage |
---|---|
Do Log Faisla Karte Hai | Do Parivar Faisla Karte Hai |
Dono Ek Dusre Ko Jante Hai | Dono Ek Dusre Se Anjan Hote Hai |
Kai Bar Parivar Sath Nahi Deta | Ek Dusre Ki Pasand Nahi Jante Hai |
Ek Dusre Ki Pasand Jante Hai | Ek Dusre Ki Pasand Nahi Jante Hai |
Visheshagyo ki Rai
Agar visheshagyo ki maane to unke anusar ladkiya prem vivah ki jyada hiteshi rahti hai, kyoki bhartiya samaj mai ladkiyo ko humesha se hi bandidho mai rakha jata raha hai. Unse kabhi unki marji nahi puchi jati isliye young age se hi unme pyar ki rumani kalpana hilore lene lagti hai. Unke anusar ladkiya kisi ladke se nahi balki pyar ke concept ko pasand karne lagti hai. Unke liye yahi anubhav behad sukhad hota hai, ki unhe kisi se pyar ho gaya hai. Unke anusar arranged marriage vs love marriage ka concept keval soch par nirbhar karta hai.
Shadi chahe apni marji se ki jaye ya mata-pita ki marji se, dono ko banaye rakhne ke liye sahi jivan sathi ka chunav karna sabse jayada mahavpurn hai. Yeh jaruri nahi ki humesha arranged marriage hi safal rahi hai lekin iske safal rahne ka pratishat love marriage ki tulna mai adhik jarur hai. Kai baar prem bhavnao mai dube rah ne ke karan keval ek dusre ki acchaiya hi najar aati hai, lekin shadi ho jane par zindagi ki sacchaiyo se unka samna hota hai. Jo kafi taklif deh sabit ho jata hai.
Nishkarsh
Hamne aapko arrange marriage aur love marriage dono ke bare mai bataya hai. Dono hi shadiyo ke kai fayde aur nuksan dono hote hai. Iss faisle ko lene ke bad aapko aapke sathi ke sath puri jindagi jeena hoti hai. Dono shadiyo mai ladka ladki dono ke parivar bhi shamil hote hai, lekin kai bar love marriage mai parivaro ke shamil hone ki aashanka kam ho jati hai.
Isliye jab bhi aap shadi ka faisla le sabse pehle dekhe, soche aur samjhe ki jis bhi vyakti se aap shadi karne wale hai wo aapke compatible ho taki aapko aapki shadi ke bare mai dobara sochna na pade ki aapne aisa faisla kyu liya. Aakhirkar koi bhi vyakti iss baat ko nahi bata sakta hai ki love marriage sahi hai ya arrange marriage, yeh sirf aapke rishte ko nibhane ke upar hi nirbhar karta hai.
Isliye Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi main na ulajhte huye yuvao ko jivan sathi ka chunav sajag rahkar karna chahiye. Yuva jodo ko kafi soch samjh kar shadi ka nirnay lena chahiye. Agar apni shadi ki kamyabi ko lekar unhe thoda bhi sandeh hai to aise rishte se dur hona hi behtar hoga.