Acne Treatment for Men in Hindi: Purusho Ke Muhaso Ka Illaj

Muhase ya pimples, yeh bahut choti si samasya hai. Lekin jab yeh bahut adhik aur bade bade ho jate to use acne kaha jaata hai. Inko chehre par koi bhi nahi dekhna chahta hai. Kyonki jab yeh chehre par rehte hai tab chehre ki sundarta chin lete hai aur inke jane ke bad bhi kale daag dhabbe piche chod jate hai.

Chehre par jyada muhase hone par logo ke bich mai sharmindgi mehsus hoti hai. Khaskar yeh samasya yuva logo ke sath jyada dekhne ko milti hai. Kyonki yeh wo samay hota hai jab ladko mai kaafi sare hormonal badlav aate hai.

Yeh bhale hi ek-do hafte rehte hai parantu inke nishan salo tak reh jate hai. Jo dikhne mai bahut hi gande lagte hai. Inn muhaso se hamari sehat par koi hanikark prabhav nahi padta lekin na hatne wale yeh daag pareshani ka karan ban jate hai.

Aaj hum khas tour par purusho ke bare mai baat kar rahe hai kyonki mahilao ke samasyao ke bare mai to hum kaafi charcha kar chuke hai. Isliye muhaso ko dur bhagane tatha iss pareshani se nijat pane ke liye padhe Acne Treatment for Men in Hindi.
 

Acne Treatment for Men in Hindi – Jane Ise Dur Karne Ke Upay

 
Acne Treatment for Men in Hindi
 

You may also like:- Ayurvedic Treatment for Pimples in Hindi: Muhaso Se Paye Nijad

 

Gharelu Upchar: –

Baking Soda

  • Muhaso ko dur bhagane mai baking soda ka istemal sabse kargar mana jata hai. Yeh chehre ke blackheads, white heads ko twacha se nikal deta hai aur twacha ko chamakdar banata hai. Kyonki muhase hone ka mukhya karan blackheads hi hote hai.
  • Iska chehre par pryog karne ke liye 1 chammach baking sode mai thoda sa garam pani aur shahad milaye aur iss mishran ko chehre par laga kar 10 minute tak rehne de iske bad thande pani se chehra dho le.

 

Nimbu – Lemon

  • Nimbu mai vitamin C tatha citric acid hota hai jo twacha ke liye bahut faydemand hota hai. Nimbu ka ras chehre par lagane se yeh dhul mitti tatha atirikt tel ko hata deta hai jisse chehre par muhase nahi hote.
  • Iska mishran banane ke liye aadha chammach namak mai 2 chammach nimbu ka ras milaye aur ise chahre par lagakar 30 minute ke liye chod de tatha halke hatho se ragad le aur thande pani se muh dho le, aapke muhase hat jayenge. Isse Acne Scars bhi dur ho jate hai.

 

Shahad – Honey

  • Shahad mai kai gun hote hai yeh aapke swasth ke sath twacha ke liye bhi bahut faydemand hota hai. Ise chehre par lagane se muhaso se chutkara pane mai kaafi aasani hogi.
  • Ise chehre par lagane ke liye rui ko shahad mai dale aur muhase wali jagah par dhire dhire laga de aur karib aadhe ghante tak shahad ko laga rehne de. Iske bad chehre ko halke gungune pani se dho le, aesa karne par twacha se muhase to hat jayenge sath hi kale daag bhi nahi rahenge.

 

Chandan (Sandal) Powder

Chandan powder har tarah ki twacha ke liye faydemand hota hai. Chandan powder ke sath thoda sa gulab jal milaye aur iska mishran taiyar kar le. Iss bane huye face pack ko pure chehre par lagaye aur kuch der bad thande pani se dho le. Isse pimple sukh kar hat jayega aur twacha mai rangat nikhar jayegi.
 

Dhaniya Ka Ras

  • Garmiyo mai pasine tatha dhul mitti ke karan muhase bahut jaldi nikal aate hai Inse nijat pane ke liye dhaniya aur pudina ka ras lagaye yeh twacha ke liye bahut labhkari hoga.
  • Iss mishran ko banane ke liye 1 chammach dhaniye ka ras aur 1 chammach pudina ka ras le usme chutki bhar haldi milaye. Iss mishran ko rojana raat ko sone se pehle lagaye aapko fayda milega.

 

Barf – Ice

Barf to har ghar mai aasani se mil jate hai, yadi aap muhaso se nijat pana chahte hai to barf ka tukda le aur muhase wali jagah par lagaye. Isko muhase par lagane se rakt ka sanchaar tej hone lagta hai aur muhase khatam ho jate hai. Yadi sidhe barf lagana aapki twacha ko jyada thandak deta hai to barf ko kapde mai lapetkar bhi muhase par ragad sakte hai.Yeh sabse sasti Acne Remedies mai se ek hai. 
 

You may also like:- Hair Loss Treatment for Men in Hindi – Baalo Ka Jhadna Roke

 

Anya Upchar:-

Cleansing: Yadi aapki twacha teliya hai to use mild cleanser ki sahayata se saaf kar le. Iske istemal se dead skin nikal jayegi aur muhase nahi aayenge. Cleansing ka istemal din mai do bar kare isse muhase hamesha ke liye dur ho jayegne.
 
Shave Karne Ka Tarika: Jin purusho ke chehre par muhase hote hai unhe shave karte samay bahut dhyan rakhna chaiye kyonki shave karte samay muhase mai kat lag jata hai aur wo khatarnak rup le leta hai. Isliye shave karte samay kabhi bhi dabav na dale aur razor ka upyog na kare.
 
Sahi Sabun Ka Chunav: Purush ko sabun ka chunav karte samay mahilao se jyada dhyan dene ki jarurat hoti hai. Kyonki purusho ko mahilao ki tulna mai jyada dhul mitti aur pradushan ka samna karna padta hai. Isliye jab bhi aap sabun ka chunnav karte hai aapki twacha ke anusaar hi kare.
 
Yadi aapki teliya twacha hai to fruit ya gel base sabun ka istemal kare aur rukhi twacha ke liye cream base sabun ka istemal kare. Aise sabun ke praoyg se chehre par muhase nahi honge.
 
Upar aapne jana Acne Treatment for Men in Hindi. Yadi aapke chehre par muhase hai to jald se jald iska upchar kare. Kyoki yadi yeh jyada badh jate hai to stithi vikriya ho jati hai aur daag nikalte nahi hai.

Loading...

You may also like...