Health Benefits of Plums: Aloo Bukhara ke Behatrin Laabh
Aloo Bukhara jisko English me plums ke naam se jana jata hai. Ye sabse colorful aur swadisth phal hai. Ise taaza ya sukhakar khaya jata hai. Aloo Bukhara ke kai swasth Laabh hote hai. Sukhe aloo Bukhara ko prunes ke roop me istemaal kiya jata hai. Aaiye jante hai Health Benefits of Plums, jisko khane ke baad aap apne swasth ko tarotaaza kar sakte hai.
Isme bharpur matra me poshak tatva hote hai aur Vitamin C, K, A aur dher sara fiber paya jata hai. Aloo Bukhara me anti oxidants bhi hota hai, isme superoxide radical hota hai jise oxygen radical ke naam se bhi jana jata hai, iski sahayta se sharir me fat ghatane me madad milti hai.
Puri duniya me aloo Bukhara ki 2000 se jyada kisme paida ki jati hai. Iske sevan se high blood pressure, stroke risk aadi kam ho jata hai aur sharir me Iron ki matra bhi bad jati hai. Iske sevan se purusho ka sharir majboot aur takatvar banta hai. Aaiye jante hai iska sevan karne se aapko kon kon se swasthya Laabh prapt hote hai.
Health Benefits of Plums: Dhero Laabho se Bharpur Aloo Bukhara
You may also like: Lychee Benefits, Is Phal ke Swasthvardhak Laabh
1) Cancer ko Rokne me Madad Kare
Plum me anti oxidants aur kai ankya aise poshak tatva hote hai jisse sharir me cancer ki koshikaye active nahi hoti hai. Plums me beta carotene hota hai jo sharir me hone wale cancer ko rokta hai. Iske sevan se lungs aur muh ka cancer nahi hota hai.
2) Aankhon ke Liye Laabhprad
Vitamin A, aankho aur drshti ke liye accha mana jata hai. Iske sevan se aankh ki mucous membrane sahi swasth rehti hai. Isme mahatvapurna poshak fiber zea-xanthin hota hai jo aankho ke retina ko majboot banata hai. Iske sevan se aankhe haanikarak UV kirno se bach jati hai.
3) Bones ko Majboot Banaye
Isme Vitamin K paya jata hai jisse aapke sharir ke bones majboot hote hai aur aap fit mahsoos kar sakte hai. Researchers ne bhi Vitamin K se Mahilao ke liye fayda bata hai jisse unki menopause ko koi bhi nuksaan nahi pahuchta hai.
4) Pachan Kriya Durust Kare
Health Benefits of Plums ki baat kare to isse pachan kriya thik rehti hai. Isme bharpur matra me fiber paya jata hai jisse pet ki pachan kriya durust rehti hai. Isme Sorbitol and Isatin hoti hai jisse pachan kriya acchi tarah chalti hai aur aapka swasth accha rehta hai.
5) Anti Oxidants
Aloo Bukhara me anti oxidants bharpur matra me paye jate hai jisse aapka sharir kai hanikarak chizo se bach sakta hai. Isme Polyphonic anti oxidant jese lutein, cryptoxanthin aur zea-xanthin hota hai jo haanikarak oxygen dwara utpadit free radicals ko samapt kar deta hai. Iske sevan se body, ROS compound se bachati hai jisse kai bimariya nahi hoti hai.
6) Immunity ko Badaye
Aloo Bukhara me Vitamin C bharpur matra me hota hai jo sharir ko swsath banata hai aur pratirakshak kshmta ko badata hai. Jinn logo ko sardi aur jukham ki samasya rehti hai, wah aloo Bukhara ka sevan kare, isse Vitamin C jyada matra me body me pahuchega aur unki immunity power strong hogi.
7) Cholestrol Niyantrit Kare
Aloo Bukhara me soluble fiber hota hai jo sharir me badne wale cholesterol par niyantrit banaye rakhta hai. Iske sevan se intestine bhi durust rehti hai. Isse fat aasani se pach jata hai. Ye motapa ghatata hai aur cholesterol ko kam karta hai.
8) Blood Pressure ko Control Karta Hai
Plums me Potassium ki matra bhi payi jati hai jisse aap apne blood pressure ko control kar sakte hai. Aloo Bukhara ka 1 cup me 7% ka potassium paya jata hai.
Upar aapne jane Health Benefits of Plums. To niyamit roop se iska sevan kare aur paiye behtar swasth. Purush Aloo Bukhara ka sevan jarur kare taki unki body majboot aur attractive ban jaye.
Get more update about Plums (Aloo Bukhara) from Food.