Janiye Motapa Kam Karne ke Upay aur Dikhiye Aakarshit
Aajkal ke samay mai motpa ek vikat samasya ban gaya hai. Yadi ham gour kare to har tisra choutha vyakti isse pareshan hai. Aniyamit jivansheli jaise ki vyayam ki kami aur galat khan pan ke chalte hamare shair ka vajan badhte chala jata hai. Aur vyakti obesity yane ki motape se grast ho jata hai.
Ham aapko batana chahte hai ki motapa ek aklei samasya nahi hai balki yeh kai samasyao ki janni hai. Iske chalte vyakti ko madhumeh, raktchaap, heart attack, anidra, jodo aur ghutno ki bimariya shuru ho jati hai.
Ise dur karne ke liye log kaafi koshish bhi karte hai lekin yeh itna aasan nahi hai. Isliye vyakti ko apni dincharya ko hamesha sahi rakhna chahiye. Yadi aap ab iss baat ko soch kar pareshan ho rahe honge ki aap mote hi rahenge to aesa nahi hai. Hamne ise kaha ki yeh aasan nahi hai par naamunkin bhi nahi hai.
Aapko roj santulit matra mai diet lena chahiye. Protein, carbohydrate jaise khadya padhartho ka sevan karna chahiye. Jyada se jyada taral chize lena chahiye. Iske atrikt roj apni dincharya mai yoga, paidal chalna aur anya vyayam ko jagah dena chahiye. Yeh sabhi Motapa Kam Karne ke Upay hai. Aaiye ham ise aur bhi vistarit roop se jante hai.
Aasan aur Prabhavi Motapa Kam Karne ke Upay in Hindi
Gungune Pani mai Nimbu
Gungune pani mai nimbu nichodkar pina motapa kam karne mai faydemand hai. Isse sharir halka lagta hai, kyoki yeh sharir ko detoxify karne ka karya karta hai. Sardiyo mai nimbu wali chai pine se pet mai gas bhi nahi banti.
Subah ke Nashte mai Ankurit Anaaj (Sprouted Grains)
Aapko shayad jankari naa ho lekin subah ke wakt khali pet rehna bhi motape kyo noyta deta hai. Isliye subah ke nashte mai ankurit anaaj lijiye. Mung, chana aur soyabean ko ankurit karke khane se unme moujud poshak tatvo ki matra doguni ho jati hai.
Dahi (Yogurt) Bhi Faydemand
Dahi ka sevan hamare pet ke liye kaafi accha rehta hai sath hi isse pet ki faltu ki charbi bhi ghatati hai. Dahi ko mitha khane ke bajay usme jeera aur kala namak milakar khana jyada faydemand hai.
Muli Ka Ras
Do bade chammach muli ka ras shahad mai milakar barabar matra mai pani ke saath piye. Aisa karne se aapka Weight Loss hone lagega.
You May Also Like: Naturopathy for Weight Loss: Prakratik Tarike se Vajan Ghataye
To upar to hamne vajan gahatane ke liye jane wale khan pan ki baat ki ab ham janenge ki kounse vyayam ko karne se hamara vajan ghtta hai.
Doudna: Jo log rojana doudte hai unhe apna vajan ghatane mai kaafi fayda milta hai. Doudte wakt doudne ki gati jitni adhik hoti hai sharir se utni hi charbi adhik gati se jalti hai.
Cycling: Yadi aapko cycle chalana pasand hai to yeh bahut hi acchi baat hai. Yeh ek bahut acchi Weigh Loss Exercise hai. Ise aap aasani se bhi kar sakte hai aur ise karne ke liye aapko jim jakar paisa bahane ki bhi jarurat nahi hai. Rojana 1 ghante ki cycle chalakar aap 1000 tak ki calorie nasht kar sakte hai.
Bhujangasana: Ram dev baba dwara bataye gaye aasan to hamesha se hi vikhyat hai. Yeh hamare sharir ko kai fayde dete hai. Unke bataye gaye aasano mai se ek hai Bhujangasana.Iss aasan ke jariye na sirf pet ki charbi kam hoti hai. Balki bajuoo, kamar aur pet ki mashpeshiyo ko majbuti milti hai aur sharir lachila banta hai.
You May Also Like:- Kapalbhati Benefits: Weight Loss Karne Mai Sahayak
Dhanurasana: Jab hamara vajan badhta hai to sabse jyada asar janghao par dikhai deta hai. Iss aasan se aap us jagah ke fat ko bhi burn kar sakte hai. Jaha bahut muskil hoti hai. Iss vyayam se jhang, pedu, chhati aur nitambh par asar padta hai. Iski vidhi janne ke liye padhe Dhanurasana in Hindi.
Rojana Chale: Yadi aap uprokt vyayam ko karne mai asamarth hai to aap rojana keval chal ke bhi apna vajan kam kar sakte hai. Yeh vajan ghatane ka sabse aasan tarika mana jata hai. Ise karne ke liye aapko jim jakar paisa kharch karne ki bhi jarurat nahi hoti hai.
Upar aapne jane Motapa Kam Karne ke Upay in Hindi. To agar aap bhi apne motape se pareshan hai to inn upay ki madad se ise kam kar sakte hai.