Ayurvedic Treatment for Back Pain: Peeth Dard Se Paye Nijat

Tej raftaar se chal rahi jindagi ne hamari puri jeevansheli ko badal diya hai, jiske karan sharir mai kai saari pareshaniya hone lag gayi hai. Inhi pareshaniyo mai se ek hai peeth ka dard jo bahut aam samasya hai. Yeh pehle 40 ki umra tatha bujurgo mai jyada dekhne ko milta tha.

Lekin ab yeh samaysa kishoro aur baccho mai bhi hone lagi hai. Peeth dard kai saare karano se  ho sakta hai jaise din bhar kaam karne se, tanav, sharir mai pani ki kami aadi. Jab aap kisi maspeshi se uski shamta se jyada kaam lete hai to usme tanav utpanna hota hai jo aapko dard banakar mehsus hota hai.

Iss samsya ko najar andaj nahi karna chahiye. Aur yadi aap iske liye chikitsak ke paas nahi bhi jana chahte hai to koi baat nahi ayurved mai bhi iska upchar hai. Aaiye jante hai Ayurvedic Treatment for Back Pain in Hindi.
 

Ayurvedic Treatment for Back Pain: Peeth Dard Se Chutkara Paye

 
Ayurvedic Treatment for Back Pain in Hindi
 

Faydemand Adrak (Ginger)

Bahut kam logo ko iss bare mai jankari hogi, ham aapko batana chahte hai ki adrak se peeth dard mai fayda milta hai. Kyonki isme anti inflammatory yogik hote hai aur jo kamar aur peeth ke dard mai rahat dete hai.

Prayog ke liye adrak ke chhote chhote 4 se 6 tukde le aur unhe aadha cup pani mai dalakar 10 se 15 minute tak ubalne ke liye rakh de. Fir aanch se utar le aur kuch der thanda hone ke liye rakh de tatha isme shahad milaye. Ab iss bane huye mishran ko din mai do se teen bar piye aapko dard mai rahat milegi.

  • Aap chahe to adarak ke paste mai nilgiri ka tel dale aur use acche se milakar peeth par jis bhi jagah dard ho raha hai waha lagaye.
  • Iske alawa aap herbal chai bana kar bhi pee sakte hai. Iske liye ½ chammach kali mirch, ½ chammach loung powder tatha adrak ka powder dalkar chai bana le aur piye.

 

Gunkari Tulsi (Basil Leaves)

Tulsi kai dard ka illaj hai tatha iska roj sevan karne se aap nirogi bante hai. Iske alawa peeth ke dard mai iska sevan karne par aapka dard jaldi se chumantar ho jayega.

  • 1 cup pani le aur usme 8 se 10 tulsi ki pattiya dale aur ise ubalne ko rakh de aur ise tab tak ubale jab tak cup ka pani aadha na ho jaye.
  • Ab bane huye iss mishran ko thanda hone ke liye rakh de aur chutki bhar namak dale.
  • Iss bane huye mishran ko piye aur aaram kare, yeh mashpesiyo ko rahat dekar peeth dard se nijat dilata hai.

 

Khaskhas (Poppy Seed)

  • Khaskhas ka sevan peeth dard ka sabse accha ayurvedik illaj hai. Kai log thandi ke dino mai iska halwa bana kar bhi khate hai taki sharirik dard se rahat mil sake.
  • 100gm khaskhas ke dane ko mishri ke sath milakar acche se pees le. Tatha iss bane huye mishran ko rojana rojana dudh ke sath sevan kare aapko kamar dard ki samasya nahi hogi.

 

Herbal Tel – Herbal oil

  • Herbal tel se sharir par malish karne se sharir ki manspeshiya ko aaram milta hai tatha dard se chutkara milta hai. Yeh ek prabhavi Back Pain Treatment in Ayurveda hai.
  • Aap herbal tel mai nilgiri ka tel, badam tel, jaitun ka tel ya nariyal ka tel le sakte hai. Iske bad tel ko garam kare.
  • Jab tel thanda ho jaye to use dard wali jagah par lagaye aur halke hatho se malish kare aap dekhenge ki kuch der mai aapka dard gayab ho gaya hai.

 

Lehsun Hoti Hai Labhkari – Garlic

Lehsun ek aesi samagri hai jo har ghar mai mil jati hai aur yeh Back Pain Relief mai bahut prabhavkari hai. Yadi aap rojana khali pet subah subah lehsun ki 2 se 3 kali ka sevan karenge to peeth ke dard ki samasya aapko kabhi nahi gherengi.

  • Aap lehsun ke tel se malish bhi kar sakte hai ise banane ke liye nariyal tel, sarso ka tel, tatha til ka tel le aur inn sabhi ko mandhi aanch par garam kare.
  • Ab isme 8 se 10 lahsun ki kali dale  aur use tab tak tale jab tak bhure rang ki nahi ho jati. Jab yeh tal jaye to gas ko band kar de.
  • Iske baad ise thanda hone ke liye rakh de. Tatha iss bane huye tel se dard ki jagah par malish kare aur kuch der bad garam pani se naha le.

 

Genhu – Wheat

  • Genhu mai ek aisa yogik paya jata hai, jo dard ko kam kar sakta hai tatha peeth dard mai iska istemal kar sakte hai.
  • Ek mutthi genhu ko raat bhar ke liye katore mai bhigo kar rakh de.
  • Subah dudh mai milakar isse piye aapko dard se raahat milegi.

 
Upar aapne jana Ayurvedic Treatment for Back Pain in Hindi. Yadi aap bhi peeth dard ki samasya se pareshan hai to upar diye gaye upayo ko jarur apnaye, kintu yadi samasya bahut adhik hai to bina der kiye chikitsak se sampark kare.

 

Loading...

You may also like...