Ayurvedic Treatment for Pimples in Hindi: Muhaso Se Paye Nijad
Har koi chikni aur bedag galo ki chah rakhta hai. Par aisa hona shayad har kisi ki kismat mai nahi hota. Muhase (pimples) hone ki wajah se chehre par dag pad jate hai. Jisse ki chehre ki khubsurti par bahut asar padta hai. Kai bar to muhase thik ho jate hai. Par uske dag itne gehre ho jate hai ki wo jaldi jane ka naam nahi lete. Isliye behatar hoga ki aap inhe aane hi na de.
Jaruri nahi ki pimples sirf teen agers ko hi ho. Aajkal yeh har kisi ko hote hai. Isse koi farak nahi padta ki aap kis umra ke hai. Aajkal ki stress bhari life aur pradhushan ke chalte, chahe koi kala ho ya gora sabhi ko pimples aur redness ka samna karna pad raha hai. Pimples hone ke piche ke do mukhya karan hai, pehla teliya twacha aur dusra sharir mai harmones ka badlav. Halanki yeh ek aam samasya hai, lekin ise najarandaj nahi kiya ja sakta hai. Aaiye hum aapko Ayurvedic Treatment for Pimples in Hindi ke bare mai batate hai.
Inn Tariko Se Paye Pimples Se Chutkara
Tulsi(Ocimum Tenuiflorum)
Tulsi se bane paste se aap jald hi pimples se chutkara paa sakte hai. Basarte iska regular istemaal kiya jaye. Agar aapko taza pattiya nahi milti hai, to aap isse aas pass ke kisi bhi mall se kahrid sakte hai.
Aapko inn sukhi pattiyo mai 2-3 spoon garam pani dalna hai taki aap iska easily paste bana sake. Iss paste ko chehre par aapko 10 minute tak rakhna hai. 4-5 hafto tak lagatar isstemal se aapko jarur fayda milega.
Nimbu(Lemon)
Nimbu(lemon) bhi muhase hatane mai prabhavi aushadi ke tarah kaam karta hai. Nimbu ek aisa fal hai jo aasani se har jagah mil bhi jata hai aur sasta bhi hota hai.
- Shehad Ke Sath Kare Istemal-Nimbu ke ras mai barabar matra mai shehad milaye. Isse sankramit jagah par 20 minute lagakar rakhe aur pani se dho le. Yeh muhase thik bhi karega aur twacha pe jami gandagi saaf bhi karega.
- Nimbu aur gulabjal- Aap nimbu mai gulab jal dalkar bhi mishran taiyar kar sakte hai. Iss mishran ko chehre par lagaye. Aadhe ghante rakhne ke baad pani se chehra dho le. Iss prayog ko 10-15 din karne se muhase thik ho jate hai.
Iske baad aap garam pani mai nimbu nichod kar uski bhaap lenge, to aapko aur bhi jaldi fayda milega.
Neem
Muhaso ko thik karne ke liye Neem ka upyog prachin kal se ho raha hai. Neen ki pattiyo ka paste banker usse affected areas par lagane se muhase jaldi dur ho jate hai. Iske alawa aap iske ped ki chal ko ghiskar uska bhi lep bana sakte hai. Yaha tak ki Neem ke datun ke narm kucche ko bhi chehre par farne se Muhase thik ho jate hai.
Chameli Ka Tel (Jasmine Oil)
Chameli ke tel mai suhaga ko milakar rat ko sote samay chehre par lagakar masle. Niyamit tour par aisa karne se chehre ke muhase ke sath sath uske dag bhi dur ho jate hai. Subah besan ko pani se gila kar gadha gadha chere par lagakar masle aur pani se chehra dho dale. Isse chehre par hone wali jalan par bahut aaram milega.
Agar aapko Chameli ka tel naa mile to aap jetun(Olive Oil) ka tel bhi isstemal kar sate hai.
Jaifal(Nutmeg)
Rat ko Jaifal ko kacche dudh ke sath ghise aur lep lagakar so jaye aur subah chehra dho le. Isse chehre mai nikhar aata hai. Saath hi kil, dag dhabbe se chehre ko chutkara milta hai.
You may also like:- Jaiphal Benefits in Hindi: Nutmeg ke Anmol Fayde
Aloevera
Aloevera aushadhi ki tarah upyog mai laya jata hai. Iska guda nikal kar sankamrit jagah par lagaye aur sukhane ke baad dho de.
Chai ke Ped Ka Tel(Tea Tree Oil)
Isme aushdhik gun hote hai. Jo ki muhaso se ladne mai aapki madad karnege. Rui se sirf saaf muhase wali jagah par tel lagaye aur 5 minute ke baad dho le aur dhyan rahe ki jyada matra mai tel na lagaye.
Pudina(Peppermint)
Pudina se Bhi muhase kaafi aasani se thik ho sakte hai. Pudine mai menthol hota hai, jisme sukun pradan karne wale gun hote hai. Aur yeh muhaso ka gulabipan aur jalan kam karta hai. Isme moujud antivirul tatha anti bacterial gun muhaso mai moujud bacteria ka khatama karte hai. Pudine ki pattiyo ka ras nikalkar usse apne muhaso par lagaye aur 10 minute tak chhod de. Ab chehre ko thande pani se dho le aur fark dekhe.
Dalchini(Cinnamon)
Dalchini ko thoda bhun le. Uske baad uss mixture mai acchi tarah grind kar le. Iss paste ko honey yani shahad ke saath milakar 10-15 minute tak rakhe. 5 se 6 hafte lagatar istemal karne se aapke muhase pure tarah se thik ho jayenge.
Kapoor(Camphor)
Kapoor ko nariyal tel ke sath milakar muhaso par lagaye, aur laghbhag 10 minute bad dho le, yeh kil muhaso ka karagar illaj hai.
Muhaso Se Chutkara Pane Ke Liye Ye Bate Bhi Dhyan Rakhe
- Gande hatho se chehre ko bar bar hath na lagaye.
- Bahar se aane ke baad chehara jarur dho le.
- Pimples ko hath na lagaye, chahe usme kitna bhi dard ku ho use fodne ki koisis na kare.
- Rasanayik prashadhano ka kam upyog kare. Rojana upyog na kare.
- Dairy utpado ka prayog karene se behtar hoga ki aap ghar ka bana hua khana, chanch, dudh, makkhan ka sevan kare.
- Har aadhe ghante mai pani pite rahe, jisse aap hydrate nahi honge aur yeh twacha aur aapke sharir ke liye bhi accha hoga.