Bacterial Vaginosis: Yoni Me Hone Vala Ek Infection

Bacterial Vaginosis Yoni sankraman ka aam prakar hai. Yoni me samyanya roop se acche bacteria ke saath kuch kharab bacteria bhi hote hai.

Acche aur bure bacteria ke santulan me pareshani ke karan hi infection hota hai.
Agar aap bhi isse grasit hai to, padiye Bacterial Vaginosis Symptoms, Causes aur iska treatment.

Bacterial Vaginosis Symptoms

• Itching
• Dard ke saath urine
• Jarurat se jyada smell aana

Bacterial Vaginosis Symptoms

Bacteria ke infection se bahar nikalne ke liye expert yakin se kuch bhi nahi kah pate hai, lekin kuch karan aise hote hai jo infection ko bada deta hai.

Bacterial Vaginosis Causes

• Ek se adhik partner ke saath sex karna
• Naya sex saathi
• Jarurat se jayada smoke karna
• Saaf-safai ka dhyan na rakhna

Bacterial Vaginosis Causes

Home Remedies for Bacterial Vaginosis: Yoni Sankraman Ke Upchar

Bacterial Vaginosis gambhir nahi hota hai. Ye apne-aap hi dur ho jata hai lekin jese hi iske lakshan dikhai de, iska ilaaj start kar de. To aaiye jane kuch Home Remedies for Bacterial Vaginosis.

Apple Cider Vinegar

Apple cider vinegar Bacterial Vaginosis ke liye ek bahut accha upay hai. Isse bure bacteria jivit nahi rahte aur ache bacteria jivit rahte hai.

Problem se bachne ke liye ek se do cup apple cider vinegar ko nahane ke pani me daliye, phir is pani me bethiye. Isse jaldi hi aap ko araam milega.

Dahi

Dahi me lactobacillus namak faydemand bacteria paya jata hai. Jisse bure bacterial se ladne aur yoni ko swasth rakhne me help milti hai.

Dahi ko cottan pade me bhiga kar effected hisse me lagiye aur thode time baad pani se Yoni ko dho lijiye.

Titry Oil

Titry oil natural antibacterial antifungal hota hai, jo bacterial vaginosis ke karan hone vale bacteria ko marta hai.

Ek chote bowl me garam pani lo, phir iss me 2 chammach titry oil mila lo. Phir iss pani se Yoni ko acche se dhole aur dekho ek naya kamal.

Lahasun

Lahasun ek natural antibiotics hai. Iske use se aapko bahut jaldi is problem se chukara milta hai.

Do se teen lahasun ki kali ko pis kar Yoni ke affected area par laga lo phir 20 minutes ke baad pani se dhole.

Home Remedies for Bacterial Vaginosis

Methi

Bacterial Vaginosis ke ilaaj ke liye methi bahut faydemand hoti hai. Yeh yoni me PH Star ko behtar banane aur ghav ko bharne me bhi help karta hai.

Ek gilas pani me 2 bade chammach methi dana raat bhar ke liye bhigo de, phir subah uthkar khali pet is pani ko pi
le. Iss upay ko kam se kam ek mahine tak kare isse aap jald hi is problem se chutkara pa sakege.

Milk

Milk me Lactobacillus namak bacterial mojud hota hai. Jo ki Bacterial Vaginosis se bachne ke bahut asaan tarike hai. Saath hi dudh me immune system ko majbut banane ke gun hote hai. Yoni me infection hone par cotton ko dudh me bhigo kar Yoni ke affected area par laga lijiye. Cotton ko ek se do ghante rakhne ke baad hata dijiye.

Nariyal Ka Tel

Nariyal ke tel me antiviral, antibacterial and antifungals gun hote hai. Ye bacteria ko marne aur iske growth ko rokne me help karte hai.

Organic coconut oil ko din me teen bar yoni ke affected area me lagaye ya cotton ko nariyal ke tel me bhigo kar 2 se teen ghante ke liye laye, phir halke gungune pani se Yoni ko acche se dho le.

Neem

Neem me antibacterial and antifungals guno ki mojudgi khujli, sujan ko kam karne aur sankraman ke bacteria ko marne me help karta hai.

Ek pan me ek muthi neem ki pattiyo ko lekar bhune. Pattiyo ko thanda hone par piskar powder bana le. Ab iska paste banane ke liye do chammach powder me pani mila le. Ab is paste ko Yoni ke aas-paas ke hisse me lagaiye. Adha gante lage rahne ke baad halke gungune pani se dho le.

Upar humne Home Remedies for Bacterial Vaginosis ke bare me bataya jiska upyog aap ghar par hi kar sakte hai. Lekin agar 2 week me iska koi asar dikhai na de. Tho turant doctor se contact kare.

Loading...

You may also like...