Basil Seeds in Hindi – Kare Sharirik aur Yon Samsya ka Upchar

Bhartiya sanskrati aur dharma mai tulsi ko uske guno ke karan hi sarvshrestha sthan mila hai. Tulsi humare liye pujniya to hai hi, sath hi vigyan ki drashti se yeh ek aushadhi bhi hai. Tulsi ko hajaro saalo se kai prakar ki bimario mai istemal kiya jata raha hai.

Aayurved mai tulsi tatha iske vibhinn aushadhiya prayogo ka vishesh mahatv hai. Tulsi ko ayurved mai sangivani buti ke saman mana gaya hai. Aapke angan mai laga chota sa tulsi ka podha aapko kai prakar ki bimario se bachane ki shamta rakhta hai.

Tulsi ke patte ho ya tulsi ke beej sabhi kisi na kisi tarah se humare sharir ki raksha ke liye hi bane hai. Tulsi ka mahatv aur uske aushdhiya guno ko to sabhi jante hai. Aaj hum aapko iske beejo ke aushdhiya guno ki jankari dene wale hai. Aaiye jane Basil Seeds in Hindi.

Jab tulsi mai phul yani manjhar lag jaye to unhe pakne par tod lena chahiye, varna tulsi mai chitiya aur kide lag jate hai, jo unhe nasht kar deta hai. In manjhar ko nikal kar rakh le tatha inme se niklane wale kale beejo ko ektra karke rakhle. Ise sabja kahte hai. Tulsi ke beejo ko hindi mai sabja kaha jata hai.

Agar aapke ghar mai tulsi ke podhe nahi hai to aap bajar se, ayurved ki dukan par aasani se mil jayenge. Tulsi ke patte garm hote hai lekin sabja thandi tasir ka hota hai. Dakshin America mai sabja ka upyog dawa banane mai bhi kiya jata hai.

Basil Seeds Benefits in Hindi: Jane Iske Aushdhiya Gun aur Labh

 

Basil Seeds in Hindi

 

 

Tulsi Ke Beej Ke Labh

Tulsi ke beejo ke istemal se faluda banana hota hai. Inhe pani mai bhigone se yeh jelly ki tarah ful jata hai. Ise hum doodh ya lassi ke sath desi gulab ki pankhdiyo ke sath dal kar lene se sharir mai thandak milti hai. Garmi ke mosam mai iska sevan bahut accha hota hai. Yeh pachan ki samasya ko dur karta hai aur pitt ko kam karta hai. Aaiye jante hai Basil Seeds Benefits

  1. Tulsi ke beej 15gm aur 30gm musli ko piskar churn bana le, phir isme 60 gm mishri piskar rakh le. Iss churn ki 5gm matra ko subah aur sham gaay ke doodh ke sath lene se yon durbalta dur hoti hai.
  2. Tulsi ke 5gm beej ko raat ko sone se pahle garm doodh ke sath lene se shighra patan aur virya ki kami dur hoti hai.
  3. Tulsi kil-muhaso ko dur karti hai. Tulasi ke patte ya iske beejo ka sevan karne se, mahilao mai khoon ki ashudhta dur hoti hai aur muhaso se mukti milti hai.
  4. Jin mahilao ko garbhdharan mai preshani ho, vo masik aane par 5gm tulsi ke beejo ka sevan subah sham pani ke sath kare. Jab tak masik samapt na ho yeh prakriya jari rakhe. Masik khatam hone par agle 3 dino tak 10gm majufal ka churn pani ke sath le.
  5. Mahilao mai masik dharm aniymit hona aksar dekha gaya hai. Ise mai, jis din masik dharm ho us din se lekar masik khatm hone tak tulsi ke beej 5gm subah sham pani ke sath lene se yeh samsya thik ho jati hai.
  6. Tulsi ke beej 5gm garm raat ko doodh ke sath lene se napunsakta dur hoti hai tatha yon shakti badti hai.

 

You May Also Like:- Uses and Benefits of Tulsi – Swasthya ke Liye Vardaan Hai Tulsi

 

Yeh sabhi Sabja Seeds Benefits ke wo labh hai jinke jariye aap apni sharirik kamjori ko dur kar. apne vevahit jivan mai khushiya la sakte hai. Tulsi ke beejo ka istemal kar aap ek naye jivan ka anubhav krenge, jo aapko sharirik aur mansik shanti pradan karega.

Tulsi ko oxygen ka karak mana gaya hai, subah-subah tulsi ke podhe ke samne vyayam ya yog karne se swasth thik rahta hai. Jis ghar mai tulsi ka podha ho waha kabhi bhi akashiya bijali ka prakop nahi hota hai. Ghar banate samay neev mai mitti ke ghade mai haldi se range kapde mai tulsi ki jad rakhne se, ghar par bijali girne ka dar nahi rahta hai. Tulsi podha jaha hota hai waha saap, bichu jaise jahrile janvar nahi aate hai.

Aaj apne jana ki kis tarah tulsi ke sath sath tulsi se juda har ang manushya sharir ke liye labhprad hai. Tulsi ke patte, Basil Seeds in Hindi, tulsi ki lakdiya yeh sabhi kahi na kahi manushya ki swastha raksha mai istemal hote hai. Isiliye tulsi ko maa ki tarah samjha jata hai.

Loading...

You may also like...