Benefits of Coconut Milk: Nariyal ke Dudh ke Fayde

Nariyal jo ki aapki sehat ke liye bahut accha hota hai. Lekin kya aap jante hai ki nariyal aapke liye har prakaar se faydemand hota hai. Nariyal ke dudh me bhi kai prakaar ke poshak tatva, fats aur minerals hote hai hai. Lekin bahut se log iske faydo ke bare me nahi jate hai, to chaliye aaj hum aapko batate hai, Benefits of Coconut Milk.

Benefits of Coconut Milk: Nariyal ke Dudh Se Swasthvardhak Laabh

Blood Pressure

• Glucose ki photophobia ke karan aapke sharir me manganese ki kami ho sakti hai. Nariyal ka dudh manganese ka uttam source hai.
• Sabut anaaj, sabji, phaliya aur badam aadhi me manganese ke bahut acche source hai. Isliye aapko in sab ka sevan jarur karna chahiye.

Skin and Blood Vessels me Flexibility

• Sharir ke adhikansh karyo ke liye copper bahut jaruri tatva hai.
• Copper aur Vitamin C twacha ko komal aur sundar banata hai. Saath hi aapki blood vessels ke swasth ke liye bhi bahut faydemand hota hai.

Haddiyo ko Majboot Banata Hai

Coconut Milk me calcium nahi hota hai balki isme phosphorus prachur matra me hota hai.
• Sharir ki haddiyo ko majboot banane ke liye phosphorus ek avashayak poshak tatva hai.
• Yeh avashayak hai ki calcium ke saath phosphorus bhi liya jaye to aapke liye bahut faydemand hota hai. Vishesh roop se ye haadiyo ke nuksaan ko rokane ke liyelaabhkari hai, kyoki yeh sharir ko bharpur matra me phosphorus pradaan karta hai.

Benefits of Coconut Milk

You may also like: Benefits of Coconut Water – Nariyal Pani ke Swastyavardhak Fayde

Anemia ko Roke

• Sampurna duniya ke logo me Iron ki kami ek normal kami hoti hai.
• Sharir me iron ki kami ke karan sharir ka hemoglobin nahi badta hai, jiske chalte lal rakt koshikayo me oxygen ka level kam hota hai. Jiske karan log anemia ki shikar ho jate hai.
• Ek cup nariyal dudh rojana sevan karne se aapka sharir swasth rahta hai. Jisse aapke sharir me loh tahav ki ¼ matra ki kami puri hoti hai.

Mashpeshoyo aur Naso me Aaram

• Jab bhi maspeshiyo me spasm ya pain ho, to khane ke saath nariyal ke dudh ka sevan kare. Isme prachur matra me magnesium hota hai. Jo aapko kai bimariyo se chutkara dilvata hai.
• Magnesium ka ek karya yeh hai ki yeh Nerve cells me avrodhi dwara ka karye karta hai.

Weight Control Karta Hai

Benefits of Coconut Milk ki baat kare to iska sabse bada fayda hai ki, yeh un logo ke liye accha ho sakta hai. Jo ki weight kam karne ka try kar rahe hai.
• Nariyal ke dudh me fibre aahar ki high concentrations hone ke karan aapko pet bhara hua lagta hai. Jisse aapko bar-bar bhuk lagti hai.

Jodo me Sujan ke Khatre ko Kam Kare

• Selenium ek important antioxidant hai. Yeh mukt particles ko control karta hai aur is prakaar yeh arthritis se bhi rahat dilvaata hai.
• Aisa dekha gaya hai ki ve log jinme selenium ka level kam dekha gaya hai, ve arthritis se grasit rahte hai.

Coconut Milk Benefit: Nariyal ke Dudh me Chupe Hai Swasth Rahne ke Raaz

High Blood Pressure Control

Health Benefits of Coconut Milk un logo ke liye bahut faydemand hota hai jin log me potassium ki kami hoti hai. unhe nariyal ke dudh ka sevan karna chahiye. Kyoki yeh ek potassium rich diet hoti hai.
• Saath hi potassium sharir me blood pressure ko control karta hai.

Healthy Immune System

• Nariyal ka dudh immune system ko control karta hai. Is prakaar sardi khansi se sharir ki raksha karta hai.
• Yeh sharir ko vitamin C bhi pradaan karta hai. Jo ko immune system ko bhi majboot banata hai.

Healthy Prostate Gland

• Ek study ke chalte yeh ptaa chala hai ki, nariyal ka dudh cancer koshikao ki gatividhi ko dhima karta hai.
• Saath hi prostate gland ke swsath rakhane bhi yeh important bhumika nibahta hai.

Coconut Milk for Hair: Nariyal Ke Dudh Ke Fayde Aapke Baalo Ke Liye

Coconut Milk for Hair

Coconut Milk

• Sukha nariyal le kar pani ki saath ghis lijiye, fhir ise acchi tarah se chhaniye aur botal me bhar lijiye.
• Jab bhi baal dhone jaye tab is nariyal ke dudh ka proyog kare.
• Ise sar par 30-45 minutes ke liye lag rahne de aur baab me shampoo karle.
• Baal dhone ke baad bhi ise jara se le kar baalo par laga le, kyoki yeh ek conditional ki tarah kam karega.

Nariyal Dudh aur Shahad

• Halki anch par nariyal ke tukde ko pani ke saath 10 minutes ke liye ubaliye.
• Ise chhan kar thanda ka lijiye, phir pani ki kuch bunde milaiye.
• Is mishran ko apne sar par lagaiye aur 35 minutes ke liye chhod dijiye.
• Isko lagane se baal nahi jhadenge aur unhe poshan bhi milega.

Nariyal Dudh, Dahi aur Nimbu Ras

• Nariyal ka taja dudh taiyar kijiye, phir isme dahi aur nimbu ki kuch bunde milaiye.
• Nimbu ke ras se baal jhadna band honge tatha infection badane vale bacteria bhi khatam ho jate hai.
• Iss hair pack ko week me 2 baar jarur lagaiye.

Nariyal Dudh aur Amla

• Gram amla tel ke saath nariyal ka dudh milaiye aur ise apne baalo ki jado me lagaiye.
• Ise 25 minutes ke liye laga kar chhod de phir thande pani se sar dho lijiye.
• Isse baalo ka jhadan bilkul band ho jayga.

Nariyal Dudh aur Methi Dana

• Methi dana powder ko taaze nariyal ke dudh me milaiye. Is hair pack ko baalo me lagaiye aur 20 minutes ke baad shampoo se baalo ko dho lijiye.
• Isse baal ghane bahut kam ho jayenge. Saath hi aapke baal komal aur chamakdar bhi ho jayenge.

Upar aapne jane Benefits of Coconut Milk. Jisse aap swasth rahne ke saath apni beauty ko bhi nikhar sakte hai. To bas der kis baat ki aaj se is nariyal ke dudh ka use start karde.

See more details of Coconut Milk from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...