Janiye Benefits of Oats for Skin se Jude Kuch Tathaye

Oats na sirf aapki sehat ke liye aache hota hai, balki aap ki khubsoorati ko nikhare ke liye bhi bahut faydemnad hota hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Benefits of Oats for Skin.

Oats ka naam sunte hi sabse pahle hamare man mai vajan kam karne ka khayal aata hai. Lekin kya aap jante hai ki oats mai healthy rakhne ke gun ke alawa aapke roop ko nikhare ke bhi bahut gun paye jate hai.

Vese aapne apni beauty ke liye bahut se cheezo ko istemaal kiya hoga. Lekin shayad un sab se aap apni khunsoorati nikhare mai asafal rahe hoge. Aur kabhi bhi to aapki beauty badhne ki vajah kam ho jati hai.

Kai baar hum kuch aisi cheezo ka use kar lete hai. Jo hamari skin ke liye bahut nuksaan dayak hote hai. Aisa isliye hota hai kyoki hume puri jankari nahi hoti hai. Jiske chalte hum iss pareshani se ghir jate hai.

Par koi nahi aaj hum aapko oats ke dwara beauty pane ke tarike ke baare mai batayenge. Jisko apna kar aap bahut aasani se aapni sundarta ko nikhar sakte hai.

Benefits of Oats for Skin

Benefits of Oats for Skin ke Dwara Paiye Asali Khubsoorati

Acne ko Dur kare

Benefits of Oats for Skin mai sabsa badha fayda hai ki, yeh acne ko dur karta hai. Pake huye oats ko acne par lagane, muhase se chutkara mil sakta hai. Pake huye oats mai twacha se bacterial aur oil ko abshoshit karne ki kshamta hoti hai. Jab aap nashte mai ke liye oats banaye to usme se thoda sa oats lekar acne par lagaye. Yeh bahut hi asaardar tarika hai, iss problem se bachne ka.

You may also like:- Home Remedies for Acne: Ab Acne (Muhase) ka Ilaj Ghar Par hi

 Dry Skin

Oats mai polisakarida hota hai, jo pani mai milane par ptla ho jata hai. Fir jab aap ise aape chehre par lagate hai, to aapke chehre ko surkshit karne ke liye iski ek patli parat ban jati hai. Yeh parat skin ki peeling karke dry skin ki samasya se chutkara deti hai.

Twacha mai Khujli

Tawcha mai khujli  ki samasya hone par oatmeal bath lena chahiye. Yeh ek bahut faydemand tarika hai itching se bachne ke liye. Oats mai anti inflammatory gun hote hai, jo khujli ki samasya ko dur karte hai. Jab bhi twacha mai khujli ki problem ho to nahane ke pani mai oatmeal milakar nahaye.

Moisturizer

Gulabh ki pankhudiyo ko pani mai 30 minute ke liye bhigo dijiye, iske baad ise bahar nikal kar use kisi chammach se pis lijiye aur isme pisa huya oats milaiye. Ab iss pack ko apne chehre par lagaiye aur 15 minutes ke baad apne chehre ko dho lijiye.Yeh face pack aapki twacha ke liye accha hai. Iss face pack ko twacha par lagane par aapki skin ko andar se nami milti hai.

Aapki Rangat ke Liye

Oats mai rang nikhare ke gun bhi paye jate hai. Agar apki twcha skin par tanning ho gai hai. To twacha ki rangat nikharne ke liye har roz oats ka face pack bana kar lagaiye. Isse aapki khoi huye rangat vapaas aa jayegi.  Aap chahe to week mai 2 baar iska face pack bana kar laga sakte hai.

Benefits of Oats for Skin mai Chupa Hai Sundarta ke Raaz

oats for skin

Dead Skin Se Chutkara

Oats aur chanch yeh bahut hi prabhvai scrub hai. Bas inn dono ko ek saath milaiye aur twacha par lagaiye. Fir jab yeh sukh jaye tab isse scrub karke nikal lijiye. Isse dead skin nikal jayegi aur aapke chehre par glow bhi aayega.

Prakatik Cleanser

Chehre ki prakratik roop se safaai karne ke liye 2 spoon oatmeal mai 5-6 bund rose essential oil milakar paste bnaye aur gili twacha par isse halke se massage kare. Acche se massage karne ke baad gungune pani se apne chehre ko saaf kar lijiye. Isse aapki skin bahut saaf ho jayegi tatha uski natural sundarta bhi bana rahegi.

Chehre ke Badhe Pores

Oats se aap apni skin ke badhe huye pores ko kam kar sakte hai. Iske liye aap 3 spoon oatmeal ko dahi ke saath mila lijiye. Isse ache se milane ke baad, iss pack ko apne chehre par laga kar 20 minutes ke liye chhod dijiye. Fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye.

Glowing Skin

Benefits of Oats for Skin baat kare to iska sabsa badha fayda yeh hai ki, yeh ki yeh aapko glowing skin pradaan karta hai. Badam aur oats ko acche se piskar mix kar lijiye. Ab iss is pise huye misharn mai thoda sa pani milakar accha gadha paste bana lijiiye aur isse apne chehre par 15 minutes ke liye laga kar chhod dijiye. Fir sade pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapki skin mai bahut shine aayegi. Acche result ke liye week mai kam se kam 2 baar isse jarur lagaiye. Taki aapki khubsoorati hamesha bani rahegi.

You may also like:- Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin: Paiye Twacha ka Nikhaar

Dry Scalp ki Samasay

Jis tarah oatmeal skin ka rukhapan dur karne mai madadgar hoti hai usi tarah dry scalp matlab sar ki rukhi twacha  ki samasya ko bhi du r karne mai madad karta hai. Oatmeal ko pani mai milakar scalp par lagaiye. Isse khujli ki samasay dur ho jati hai. Iss parkriya ko mahine mai 2 se 3 baar karna chahiye.

Dandruff se Chutkara

Oats ko massage oil ya dahi mai milkar baalo aur scalp par massage kare. Iske thodi der baad baalo mai shampoo kar le. Mahine mai ek ya 2 bar aisa karne se nishchit hi dandruff ki samasya dur ho jati hai. Saathi aache parinaam ke liye isse week mai kam se kam ek baar jarur kijiye.

Upar aapne jana Benefits of Oats for Skin. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tips ko apna kar apne skin ko sundar banaiye.

Oats for Skin se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Beauty Tips in Hindi

Loading...

You may also like...