BPD and Sex: Sexual Life Par Vibhajya Vyaktitva Vikar ka Asar

Borderline Personality Disorder (BPD) aisa manovaigyanik vikar hai jisme manushya ka dimag kaam karna banda kar deta hai. Isse manushya ki mann ki stithi aisi ho jati hai nki vyakti apne vyaktigat sambandho mai bahut hi anischit ho jata hai.

Borderline Personality Disorder se grasit logo ka unki sex life par bahut hi gahara asar padta hai. Aaiye jante hai BPD and Sex ke bare mai kuch jaruri tathya.

Iss bimari ke kuch mukhya lakshan jese achanak gussa aa jana, emotional na hona aur bina kisi karan khud mai parityag ki bhavna ka hona, chidchida hona.

Iss bimari se grasit log sex ko lekar bahut hi uhapoh ki stithi mai rehte hai. Kahi kisi se koi gahra rishta na ban jaye ya rishta kaccha na ho. Iss stithi mai aksar aise log ya to apne aap ko sharirik nuksaan pahuchahte hai ya phir apne se jude logo ko.

American psychiatrist association ke anusar aaj lagbhag 2% jansankhya BPD ke shikar hai. Iss bimari se grasit marij apni jindagi mai sanvednao ko niyantrit nahi kar pate hai. Aisa bhi ho sakta hai ki wo shant rahe aur lambe samay tak samajdari dikhaye.

BPD and Sex: Janiye Iska Sambhog Life Par Asar

Borderline Personality Disorder and Sex

  • Sex ke Prati Nakaratmak Soch:

Borderline Personality Disorder se pidit vyakti ki sex ke prati soch humesha hi nakaratmak hoti hai. Partner ke saath sex ke douran bhi unka vyavahar nakaratmak hi hota hai. BPD se grasit mahilao ka sex ki bhavna ke prati mili-juli soch hoti hai. Unko humesha sex ke douran yeh mahsoos hota hai ki unka partner unn par dabav daal raha hai. Iska pramukh karan yeh hai ki unke parasparik sambandho mai humesha tanav rehta hai, saathi ke saath aksar ladai hone se unke andar yeh vichar aate hai.

  • Sex ke Prati Laparwahi:

BPD and Sex ke douran unka vyavahar jyada aaweg wala hota hai. Sambhog ke douran inka behavior laparwah hona ekdam samanyatah baat hai. BPD se garsit vyakti ke mann mai sex ke douran udaasi, partner ke saath irschya ki bhavna, apne ko dukhi dikhana, humesha darr mai rehna aur sakaratmak bhavna prakat karne jesi stithi dikhti hai.

  • Ayogya Samajhna:

BPD se grasit aadmi apne ko ayogya samjhta hai. Unko aisa lagta hai ki logo ka bartav unke prati accha nahi hai. Inke andar bhavuk vichar nahi panapte hai. Aise log humesha apne ko sex ke prati ayogya samajhte hai. Sambhog ko lekar unki ruchi bahut kam hoti hai. Iss bimari se grasit log apne partner ke saath acche se vyavahar nahi kar pate hai.

  • Bhavnao Mai Badlav:

BPD se grasit vyakti mai bhavnao ki koi jagah nahi hoti hai. Inki bhavnaye humesha badalti rehti hai. Aadmi apne ahsaaso ko pahchan nahi pata hai. Sex ke douran apne partner ki bhavnao ko bilkul nahi samjhte hai. Sex ke prati inki soch ekdam se sankirn hoti hai.

  • Jangli Tarike se Sambhog Karna:

BPD and Sex se grasit vyakti aksar apne partner ke saath jangali tarike se sex karta hai. Iss prakar ke sex karne ka karan yeh hota hai ki wah apni aur partner ki bhavnao ko bilkul nazarandaaz karta hai. Iski wajah se sex ke douran aksar partner ko chhot bnhi lag jati hai. Isme sex ke niyam ka palan nahi ho pata hai.

You may also like:- Tired After Sex: Sambhog ke Baad Thakan ko Kam Kare

Borderline Personality Disorder Symptoms: Iske Lakshan ko Pahchaniye

Borderline Personality Disorder Symptoms in Hindi

  • BPD se grasit log kabhi kabhi apne aapko bura aur ayogya samjhte hai aur unhe aisa anubhav hota hai ki log unse thik se batrav nahi kar rahe hai.
  • Apni jimmedari se bachne ke liye wo bachav ke tarike apnate hai jese kisi saman ko fadna ya chhilana. Aisa karte samay aise log dusre ka avamulan karte hai aur kabhi-kabhi aise marij bachav ke dusre tarike bhi apnate hai jese projective identification.
  • Yeh aisi stithi hai jab marij aone ahsaaso ko bhi pahchahna nahi chahta hai. Yeh bimari kisi bhi umra ke logo mai ho sakti hai.
  • Purusho kit ulna mai mahilayo mai yeh bimari jyada payi gayi hai aur lagbhag 75% mahilaye iss bimari se grasit payi gayi hai.
  • BPD ke marij aksar lambe samay tak impulsive hote hai aur unki bhavnaye tivra gati se badalti rehti hai. Bahut si stithiyo mai jab BPD jesi bimari yuvavastha mai hoti hai to yeh umra ke dhalne ke saath thik bhi ho jati hai.
  • Agar yeh bimari 30 se 40 ki age mai hoti hai to aisi stithi mai ilaj bahut jaruri ho jata ha. BPD se mud desire aur depression jesi dusri dimaagi samasyaye bhi jadi hoti hai.

Upar aapne jane BPD and Sex ke bare mai kuch jaruri tathya. To agar aap bhi iss pareshani se grasit hai to aaj hi doctor ko dikhaye aur apni dimaagi chinta ko dur kare.

BPD aur Sex se judi khuch jaruri baato ke liye yaha jaye:- Sex & Love

Loading...

You may also like...