Benefits of Protein Shakes, Iss Drink ke Anmol Fayde

Protein hamare sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Jiske liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Benefits of Protein Shakes. Jisse aap iss drink ka sevan karke hamesha ke liye swasth rah sakte hai.

Aaj kal har koi protein shake ke barae mai kai charcha karta rahta hai.  Yeh na keval mahilao aur purusho dono ke liye faydaemand hota hai. Isse sharir ki maspeshiyo ka nirmand hota hai. Kyoki hamare sharir ka lagbhag 75 % hissa keval protein se hi banata hai.

Pahle yeh mana jata tha ki, protein shake ladko ke liye hi bahut jaruri hai, lekin aisa nahi hai, yeh mahilao ke liye bahut jaruri hai. Bas antar itna hai ki, ladkiyo ko protein ki kam matra ki jarurat hoti hai.

Protein mai carban, oxygen, nitrogen tatha bahut sara poshak tatva hote hai. Isse fasforas bhi hota hai. Protein mai nitrogen ki adhikta rahti hai. Fats aur carbohydrates ki tarah hamare sharir mai protein ka storage  nahi kar pata hai. Isliye swasth rahne ke liye rozana protein diet lene ki jarurat hoti hai.

Vese to protein shakahari aur mansahari dono bhojan mai paya jata hai. Par fir bhi kabhi bhi protein diet na le paye to sabse accha tarika hai ki, aap protein shake ka sevan kare aur iski kami ko pura kare.

Vese to aap apne aahar mai aise khadya padarth ko shamil kijiye, jinme protein ki matra bahut adhik hoti hai. Par kabhi bhi aap aisa aahar ka sevan nahi kar pate hai. To accha hoga ki aap protein shake ka sevan niyamit shuru kar de.

Benefits of Protein Shakes

 

Benefits of Protein Shake ke Dwara Paiye Swasth Sharir
Turant Energy

Aahar ki tulan mai protein shake  trant energy pradaan karta hai. Exercise ke baad jitni tezi se protein aapke sharir mai pahucha jayega utni hi jaldi uska asar hoga. Gym se aane ke baad yadi aap protein shake piti hai to the 30 se 40 minutes mai  yeh apna asar dikhan start kar deti hai. Vahi dusri taraf aahar mai paye jane bale protein kareeb ek ghante ke baad apan asar dikate hai.

You may also like:- Janiye Natural Energy Boosters Se Jude Jaruri Tathaye

Vajan Ghataye

Benefits of Protein Shakes  ki baat kare to yeh iska sabse badha fayda hai ki, yeh vajan kam karne mai bahut asrdaar hota hai. Jo mahilaye kam vajan karna chahti hai, unko niyamit roop se protein shake ka sevan karna chahiye. Bahut se study mai bhi iss baat ko sabit kiya hai ki, protein shake ke sevan se aap apna vajan aasani se kam kar sakti hai. Bahut se researcher dwara kiye gai ek study mai yeh paya gaya hai ki, Protein diet na lene valo ki apeksha mai protein diet lene vale log dikhane mai jyada aache lagte. Iske seven se kareeb 3 se 4 mahine mai aapka vajan kam hone mai madad milti hai.

 Gym ke Baad Jaruri

Jo log  niyamit roop se gym jati hai ya workout karti hai unke liye protein shake ka sevan bahut jaruri hai. Darsal jagar aap bahut exercise karti hai tab aapki maspeshiya mai darar aa jati hai. Isko bharne ke liye aur theek karne ke liye jaruri  hai ki, protein ka istemaalkiya jaaye. Isliye gym ke baad protein shake ka sevan jaruri hai.

 Bimari se Bachat hai

Protein shake kai khatranak bimariyo se bhi bachata hai. Jivanshaily ke karan har koi khan-pan par dhyan nahi de pata hia, jiske karan unke sharir mai protein ki kami ho jati hai.Iske karan dil ki bimari, kidney se sambhandhit bimariya ke hone ke khatra hota hai. Aise mai yeh shake aapke sharir mai protein ki kami ko acche tarike se pura karta hai.

When to Drink Protein Shakes, Iss Drink  ke Istemaal Karte Vakt Rakhe Kuch Savdhani

When to Drink Protein Shakes

Lekin protein shake ko peene ke liye kuch savdhaniyo ka hamesha dhyan mai rakhna chahiye taki isse aapko sahi fayda mil. Isliye aap jab bhi yeh drink piye to inn savdahniyo ko hamesha khayal mai rakhe.

 Yeh Nutrition Supplement

nutrition supplement hai. Iska matalb hai ki, aap ise breakfast ke saath nahi  pee skate hai. Balki ise ko breastfast ki jagah par hi pina chahiye. Jaha tak weight lose ki baat aati hai, protein powder ko tabhi liya jata hai, jab aap apna bhojan na le rahe hai.

 Konsa Bhojan Chhode

When to Drink Protein Shakes ki jab bhi baat aati hai, to expert ka kahna hai ki, iske sevan ke saath kya- kya aur khana chahiye iski puri jankari hona bahut jaruri hota hai. Sath hi yeh janana bahut jaruru hai ki, aap protein shake ko pine ki jagah par kon sa bhojan chhod rahe hai, kai baar log ya to breakfast aur dinner sabhi chhod dete hai, par jaha tak ho sake protein shake ko ek sahi samay par hi lena chahiye. Isko aadhi rat mai pina sahi nahi hai.

You may also like:-  Importance of Protein: Sharir ko Swasth Banaye

Supplement ya Replacement

Jo log dinbhar bhojan chhod kar shake pee lete hai, unhe aisa nahi karan chhaiye. Protein shake aapko jarurat ke hisab lena chahiye. Jisse aapko sahi  poshan mile. Bhojan chhodne ka matalb yah nahi hai ki aap apni jarurat ka aahar lena hi band kar de. Poshtik aahar ko kabhi najarandaz na kare.

Yeh Pura Poshan Nahi Hai

Bhale hi protein shake mai kafi had tak poshak tatva ho, par isme alag-alag tarah ke nutrition group nahi paye jate hai. Isliye agra aap carbohydrate , fats fiber aur vitamin jese jaruri tatva  nahi khayenge to aap pkaa bimariyi ho jayegi. Iss drink ke saath saath yeh sabhi poshak tatva ki bhi jarurat hoti hai.

Sahi Matra

Vajna ghatne ke chakkar mai jyada matra mai iska sevna na kare. Kyoki protein ki jyada matar se kidney liver ke damage hone ka khatar bhi hota hai. Aap protein se apne denik calorie ka 30% le sakte hai. Agar 5 % idhar-udhar bhi le jaye to koi preshani nahi hogi. Par 70% poshan keval protein shake se lena hanikarak ho sakta hai. Lekin sabse badhi baat  hai ki ladkiyo ko iski sahi matra lena bahut jaruri hai. Ladkiyo ko iski matra kisi expert ki salah bina nahi lena chahiye nahi to yeh unke liye nuksaan dayak ho sakta hai.

Homemade Protein Shake

Bazaru protein se accha hoga ki ghar par bana protein shake piya jaye. Iske liye  skim milk powder, milk aur egg mai apni pasand ka fever bhi dal sakte hai. Jsee kesar, elachi ya anye koi flavor ko mila sakte hai.   Aur adhik tasty banane ke liye shahad aur coco powder bhi mila sakte hai.

Upar aapne jana Benefits of Protein Shakes, to bas aaj se hi iss brink ko sevan shuru kar do aur hamesha ke liye swasth rahiye.

Protein Shakes se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Food.

Loading...

You may also like...