Janiye Mahilao ke Liye Best Age to Get Pregnant

Aaj ke badalte samay me ladkiyo ki shadi se pahle career ko prathmikta dene lagi hai. Unki shaadi ki umar bhi badne lagi hai. Ab ladkiyo ke liye 30 ke baad shaadi karna koi bahut badi baat nahi hai. Isi ke saath hi der se shaadi karna der se garbhdharan karne ka karan bhi ban gaya hai. Lekin in sab ke beech yeh sawal uthata hai ki garbhavastha ki sahi umar kya honi chahiye. To chaliye aaj is article me hum aapko batate hai Best Age to Get Pregnant.

Maa banana kisi bhi mahila ke jivan ka kafi aham hissa mana jata hai. Lekin aakhir kis aayu ya varg me maa banana mahila aur uske hone vale bacche ke swasth ke liye sahi rahega, iss bare me aadhiktar mahilaye anjaan hoti hai.

Right Age to Get Pregnant: Sahi Samay Me Garbhdharan ke Laabh

Right Age to Get Pregnant

Kya Hoti Hai Garbh Dharan ki Sahi Umar

• Yeh to sabhi jante hai ki aamtor par ladkiya sharirik tor par ladko se samay se pahle taiyar ho jati hai. Yani ladkiyo me hormone 12 se 13 ki umar me badalne lagate hai.
• Agar kahe ki ladkiya 12 se 13 saal ki umar ke baad youn sambandh ke liye taiyar ho chuki hoti hai to galat na hoga.
• Kahne ka matlab hai ki ladkiya ki garbhdharan ke liye umar kam se kam 17 se 18 saal honi chahiye. Vese kanuni tor par ladkiyo ki shaadi 18 saal ke baad honi chahiye. Saath hi is 18 ki umar ke baad maa banane se ladkiyo ko garbh dharan ke samay sharirik samasya ka kam se kam samana karna padega.

You may also like:- First Period after Pregnancy: Delivery ke Baad Masik Dharm

Kyo Na Kare Kam Ya Jyada Umar Me Baccha

• Ek study me bhi yeh baat sabit ho chuki hai ki garbh dharan ke liye umar 18 se 35 tak hoti hai. Isse kam umar hone ya adhik umar hone par mahilao ko koi sharirik problem ho sakti hai.
• Jo mahilaye 35 ke baad ya 18 se pahle garbh dharan karti hai. unke bacche mansik roop se kamjor hote hai. Saath hi aise bacche samanya peda hue bacche ke mukable sharirik aur mansik tor se kamjor hote hai.
• Jo mahliye 35 ki umar ke baad garbh dharan karti hai unme garbhpaat ka khatra bhi bad jata hai. Itna hi nahi aisi mahilao ko prasav ke baad bhi kai tarah ki bimariya ya phir sharirk problems ko jhelna padta hai.
Perfect Age for Pregnancy ki baate kare to hum bol sakte hai ki, Yeh to sabhi jante hai ki Pregnancy ke douran aur gabh dharan ke liye sahi umar bahut mahtvapurna hoti hai. 40 paar kar chuki mahilao ko garbh dharan ka risk nahi lena chahiye.
• kyoki 40 ke baad vese bhi umar ke karan kai nai bimariya hone lagti hai, jo ki hone vale bacche ke swasth ke liye khatarnak ho sakti hai. Iske liye yadi kisi kaam ko samay se pahle ya baad me kiya jaye to uske dushprabhav hote hai.

Perfect Age for Pregnancy: Sahi Hota Hai Swasth Garbhavastha Ka Raaz

Kam Umar me Maa Banane ke Jokhim

• The United Nations Population Fund (UNFPA) ke anusar har varsh 18 saal se kam umar ki kareeb 73 lakh ladkiya maa banti hai. Jiski vajah se maa aur bacche ke swasth ke liye kai chintaye paida ho jati hai.
• In 73 lakh me se bhi kareeb 20 lakh ladkiya ve hoti hai, jinki umar 14 saal ya usse bhi kam hoti hai. Aisi ladkiyo ka bhavishya me kai swasth se judi pareshani ho jati hai, jiske kuparinaam bhi hote hai, aur in ladkiyo ki mout hone ka khatra bhi hota hai.

Kya Kahti Hai, Medical Science

• Medical Science ke mutabik mahilao ka sharir 20 saal ki umar ki shuruvat se bacche ko janm dene ke liye puri tarah taiyar rahta hai. Lekin soch me aaye is badlaav me kafi had tak adhunik takniki ka bhi yogdan raha hai.
• IVF jese fertility treatment adhik umar me bhi mahilao ko maa banane ka avsar pradaan karte hai.

best age to get pregnant

Adhik Umar Me Garbh Dharan ke Jokhim

• Ve mahilaye jo 35 varsh ki aayu ke baad garbh dharan karti hai, unme grabh paat ka khatra bad jata hai.
• Adhik umar me prajann kshamta kho jane ke alawa bhi ucch raktchap aur madhumeha jesi anya pareshani ho sakti hai. Jisse aane vale bacche ko kai khatra ho sakta hai.

Mansik Tor par Taiyar Hona Bhi Jaruri

• Darsal maa banane ka decision khud ko mansik roop se is baat ke liye taiyar karna bhi hai. Yadi aap 25 ki umar tak khud ko maa banane ke liye taiyar nahi kar paa rahi hai, to phir jabardasti aap kisi ke kahne me isko pura nahi kar sakti hai.
• Behatar hoga ki pahle aap khud ko mansik tor par iske liye taiyar kare.
• Jahir hai ki shaadi ke baad khud ko naye maahol me dhalna aur ghar tatha office ke beech me co-ordination banane ke baad hi har mahila maa banane ke bare me soch sakti hai.

Sehat ko bhi Consider Kare

• Best Age To Get Pregnant me sabse mukhya baat yeh hai ki, bacche ke janm dene ki sahi umar 20 se 35 ke beech hoti hai. Lekin kisi bhi medical condition ki vajah se doctor aapko is age se alag kar sakta hai. Kai Mahilaye sharirk roop se maa banane ke liye taiyar nahi hoti isliye doctor unhe grabh dharan karne se mana kar deta hai.
• Kyoki maa banana ke liye aapke shairr ka swasth hona bahut jaruri hota hai. Saath hi aapko har tarike se taiyar rahna hota hai jo ki maa banane ke samay aur maa banana ke baad aapko kon kon baato ka samana karna padega.

Video ke Jariye Janiye Best Age to Get Pregnant

Upar aapne jana Right Age to Get Pregnant. To hum bol sakte hai ki garbh dharan karne ke liye na hi kam umar hona chahiye aur na hi hi jyada umar. Ek sahi samay par gabh dharan karne se aapko har tarike se swasth laabh milte hai. Saath hi maa aur bacche ki sehat bhi bani rahti hai.

See more details of Best Age to Get Pregnant from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...