Bhringraj Benefits: Baalo ke Liye Faydemand Eclipta Prostrata
Bhringraj ek ayurvedic herb hai jo ki hair fall treatment, liver disorders, skin diseases ke liye use kiya jata hai. Yeh aapke liye har prakaar se faydemand hota hai, par log iske faydo ke bare me acche tarike se nahi jante hai. To chaliye aaj is article ke jariye hum aapko Bhringraj Benefits ke bare me batate hai.
Iske faydo ke bare me baat karne se pahle hum aapko iski history ke bare me baat karte hai.
Bhringraj ki History
Family: Asteraceae
Hindi Name: Bhangra, Bhangaraiya
Kannada Name: Garagada Soppu, Garga
Telugu Name: Guntagal Agaraku, Galgara
Tamil Name: Kayanthakarra, Kaikeshi
Marathi Name: Maka
Gujarati Name: Bhangaro
Punjabi Name: Bhangra
Bengali Name: Kesuriya
Malayalam Name: Jala Bhangara
Arabi Name: Kadimulambit
Sanskrit Synonym: Markava, Kesharanjana ,Bhringaraja, Bharnagaraha, Bringa, Mahaneela, Ravipriya, angaraka, Suryavarta, Pitrupriya.
Different Varieties
• Shweta Bhrngaraja (E..Alba) – white variety
• Bhringaraja(wedelia calendulacea Less) – yellow variety.
• Bhringaraja(E. Alba?)
Bhringraj Oil Benefits: Ab Sundar Baal Pana Hua Bahut Aasan
Agar aapko yeh ahsaas ho ki roj aapke jyada baal gir rahe hai to, pareshan mat ho kyoki yeh kewal aapke saath hi nahi hai, jiske yeh problem ho rahi hai.
You may also like: White Hair Treatment: Safed Baal ka Ilaj Hua Aasan
Dermatologist ka kahna hai ki, hum sabke rojana 50 se 100 baal girna normal hota hai. Yeh bilkul normal baat hai, kyoki in baato ki jagah naye baal aate hai. Halaki baal ke girne ke bahut se causes hote hai jese ki bhargarmi, chemical uyog aadi ke karan bhi baal girte hai.
Eclipta Prostrata is mamalo me aapki kafi help karta hai. Yeh natural way hai jo ki, aapke baalo ko khubsoorat bananta hai. Saath hi aapke baalo ko badane me help karta hai. To phir chaliye ab hum aapko batate hai, Bhringraj Oil Benefits.
Bhringraj Oil Kya Hai?
Bhringraj ek aushadhi hai. Iska naam Eclipta Prostrata hai. Ayurved me ise rasayana mana jata hai. Isse energy level ko badane aur umar ke asar ko kam karne ke gun paye jate hai. Dekha jay to baalo ki dekhabhal le liye sabse jayada jaruri hai ki, aap uttam aushadhi ka use kare. Jiske liye yeh oil bahut faydemnad hota hai.
Saath Bhringraj Oil use se baalo ka jhadna roka ja sakta hai aur baalo ko ghana banaya ja sakta hai. Yeh baalo ke liye behat upyogi hai. Is oil ko banana ke liye aamtor par bhringraj ke extract ko nariyal aur til ke tel me milaiye. Bhringraj ke kuch mahatvapurna gun is prakaar hai.
Bhringraj Oil Benefits: Eclipta Prostrata ke Fayde Aapke Baalo ke Liye
Baalo ko Sehatmand Banaiye
• Ayurveda ke mutabik baalo ka jhadna aur baalo se judi anya samasya pitta dosha ke karan hoti hai aur bhringraj ka oil inn sab problem ko dur karne me help karta hai.
• Yeh baalo ko badane me bahut faydemand hota hai. Niyamit roop se baalo me Bhringraj Oil ka use karne se scalp me blood circulation accha hota hai.
• Iss oil ko banate samay isme shikakai, amla jesi anaya aushadhi bhi mila sakte hai. Iske saath hi til ka tel ya nariyal ka tel bhi milaya ja sakta hai. Yeh sab milakar aapke baalo ko swasth aur ghana banate hai.
Dandruff Dur Karta Hai
• Bhringraj Oil Benefits ki baat kare to yeh iska sabse accha fayda hai. Iske rojana istemaal karne se scalp infection nahi hota hai ya phir purana scalp infection bhi khatm ho jata hai. Isse dandruff bhi dur ho jata hai.
• Saath hi iska ek aur accha laabh ye hai ki ye baalo ko asamanya safed hone se roka ja sakta hai aur baalo ka natural rang barkarar rakha ja sakta hai.
Tanav Dur Karta Hai
• Ayurveda ke anusaar pitt ke unbalance se sharir me tanav hone lagta hai aur Bhringraj ka rojana use se pitta dosh kam ho jata hai.
• Is prakaar yeh tanav ko kam karne me help karta hai. Yeh un logo par bahut faydemand ho sakta hai, jinhe tanav ke saath saath baal jhadne ki poblem hoti hai.
• Itna hi nahi balki Bhringraj oil se massage karne se sar dard me bhi rahat milti hai.
Bhringraj Oil ko use karne ke Aasan Tarike
• Aapko baazar me Bhringraj oil aasani se mil jata hai. Vese baazar me iska satt ko oil me milakar becha jata hai. Iske alawa aap Bhringraj powder ka packet karidkar bhi use kar sakte hai.
• Iss oil se halke haath se sar me massage kare aur kuch minutes ke liye ise chhod de. Iske baad mailed shampoo se apne baal dho lijiye. Jiss ki aapke baal bahut sundar aur ghane ho jayenge aur baalo ki har prakaar ki probalem bhi dur ho jaygi.
• Behatar hoga ki agar aap shikakai aur ridha powder se daal ko dho le.
Bhringraj ek natural utpadan hai aur isliye iske koi side effect nahi hote hai. Halaki iske cool nature ke karan raat bhar isko lagaakar sone ki salah nahi di jati hai. Iske saath hi sardiyo me bhi iska istemaal nahi karne ki salah di jati hai. Khaastor par un logo ko jinhe thand adhik lagti hai.
Upar aapne jane Bhringraj Oil Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi is ayurvedic herb ka use karke apne baalo ko sundar baniye aur khubsoorat dikhiye.
Get more details about Bhringraj Oil from Beauty tips in Hindi.