Bhukh Na Lagna Treatment in Hindi – Jane Aasan Upchar
Hamare sharir ko urja khane ke dwara hi milti hai. Yadi vyakti pet bhar ke khana nahi khaye to uske sharir ko puri urja nahi miti hai. Lekin kai logo ko bhukh nahi lagti hai, jisse unhe khane mai aruchi rehti hai. Aamtor par yeh samasya jyada tension lene ke karan ya kabj ke karan hoti hai.
Inn karano se vyakti ka kuch bhi khane ka man nahi karta hai aur dheere dheere uski bhukh marne lag jati hai, aur vyakti bhojan karna chhodne lagta hai. Jab bhi koi bhojan nahi karta hai to uske sharir ko paryapt matra mai urja nahi milti hai tatha wo kamjoor hone lagta hai.
Agar koi bhukh na lagne par bhi jabardasti khana khata hai to thoda hi khana kha pata hai ya fir use matli aa jati hai. Iske atirikat vyakti ka pachan tantra bhi gadbad ho jata hai. Yadi inn lakshno par dhyan nahi diya jaye to bhukh lagna bilkul band ho jati hai.
Kai bar jyada tention, dar aur ghabrahat ke karan bhi bhukh nahi lagti hai. Yadi aap bhi iss pareshani se gujar rahe to aaj hum aapko batane wale hai Bhukh Na Lagna Treatment in Hindi ke bare mai.
Janiye Bhukh Na Lagna Treatment in Hindi aur Iske Karan
Lekin acchi sehat ke liye khana bahut jaruri hai isliye niche hum aapko kuch upchar batane jar hai jinhe apnakar aap swasth sharir paa sakte hai.
Trifla Churn Ka Sevan
Yadi kabj ke karan aapko bhukh na lag pa rahi hai to roj rat ko ek chammach churn ko gungune pani ke sath sevan karne se kabj se mukti mil jayegi aur bhukh lagna shuru ho jayegi.
Bhukh Badane mai Sahayak Adrak
Jab aap bhukh na lagne ki pareshani se gujar rahe hai to khana khane ke aadhe ghante pehle adrak ke tukde par sedha namak ko dalkar iska sevan karne se bhukh lagne mai vardhi hoti hai.
Khatti Chhach
1 glass chhach mai aapke swadanusaar kala namak, safed namak aur thoda sa jeera bhunkar daale aur acche se milakar pee le.
Muli Ke Fayde
Khana khate samay muli ko salad ke rup mai kaat le aur uss par kali mirch ka powder tatha thoda sa sada namak chidk kar uska sevan kare.
Ajwain Pet Ke Liye
Ajwain ko sek kar use pise tatha uska churn bana le tatha usme thoda sa namak milakar rakh de. Jab bhi aap khana khaye uske bad ek chutki bane huye churan ko muh mai rakh le. Yeh bhukh badane ka sabse accha vaidik illaj hai.
You May Also Like:- Home Remedies for Weakness: Kamjori aur Thakan Dur Kare
Baking Soda Ka Kare Upyog
Yadi aap bhukh ko badana chahte hai to ek glass gungune pani mai 1 chammach baking soda milakar pine se aapki bhukh bad jayegi.
Garmi Ka Mosmi Phal Aam
Garmiyo mai aam ka ras aaye din ghar mai bana rehta hai. Yadi aap bhukh na lagne ki samasya se nijaat pana chahte hai to aam ke ras mai sendha namak aur chini milakar isse piye.
Adhiktar Rogo Ka Illaj Nimbu
Nimbu ke wese to kai saare fayde hai aur nimbu ko katkar isme thoda sa sendha namak dalkar isse chusne se bhukh badne mai vraddhi hoti hai, pachan mai bhi sahayak hota hai. Yeh ek faydemand Home Remedy for Appetite hai.
Gehu Ka Aata
Gehu ke aate mai sendha namak aur ajwain dalkar uski roti banakar khane se bhukh lagne mai madad milti hai.
Kala Namak
Kala namak ko har thodi der mai chhatne se bhukh ke prati aruchi dur hoti hai. Aap chahe to ise tamatar ke roop mai bhi kha sakte hai.
Khatti Mithi Imali
1 glass pani mai paki huye imali ke gudde , kali mirch, 2-4 long, dal chini ko milakar ubal le. Iss mishran ko chhankar piye. Yeh aapki bhukh ko badane mai sahayata karega.
Har Dhaniya
Hare dhaniye ka ras nikalkar use 3 gm pani mai milakar iska niyamit sevan karne se bhukh na lagne ki samasya se chutkara mil jayega.
You May Also Like:- Home Remedies for Stomach Pain (Pet Dard) in Hindi
Munkka Ka Sevan Kare
Munnka ke sath kali mirch aur safed namak ko milakar garam kare tatha iska sevan kanre se bhukh badne lagti hai. Iske atirikt bhukhar mai bhukh nahi lagne par iska sevan karne se bhukh lagne lagti hai. Tatha yeh swasthya ke liye kaafi faydemand hota hai.
Methi Dana
Methi dane ko peeskar churn bana le ya bajar mai bhi iska churn aasani se mil jata hai. Iss churn ko pani ke sath sevan karne se bhukh lagne lagti hai. Yadi aapko pet dard ho raha hai to bhi iska sevan kar sakte hai.
Seb Ka Ras
1 glass seb ke ras mai aap swadnusaar mishri milakar iska rojana sevan karenge to yeh bhi aapki bhukh badata hai. Iske atirikat khatte seb ke ras mai aata guthkar roti banane se pachan mai bhi madad karta hai.
Kadva Neem Par Fayde Hai Mithe
Aadha liter pani mai 20 gm neem ki chaal ko peeskar usme dale aur iska kadha banaye tatha isme 3 gm shahad dale. Iska sevan karne se apachay aur bhukh lagne ki pareshani se chutkara mil jata hai.
Sonth
Sonth aur jawakhar ko barabar matra mai lekar pees le tatha isme thoda sa desi ghee milaye aur halke gungune pani ka sath iska sevan karne se ajiran tatha bhukh na lagne ki samasya se nijat mil jayega.
Iske atirikt sonth tatha atis ke churan ko barabar matra mai mila le aur rojana khana khane se pehle aadha chammach kha le, aapki bhukh bad jayegi.
Podina Ke Patte
Podina ki taja pattiya, hing, munnka, jeera, sendha namak, kali mirch, chuhara aadi ko milakar iski chatni bana le aur isme thoda sa nimbu ka ras dal de. Iska sevan karne se khane ke prati ruchi utpanna hoti hai. Tatha pachan bhi acche se hoga.
Upar aapne jana Bhukh Na Lagna Treatment in Hindi. Yadi aapko ya aapke parivar ko yeh samasya hai to uprokt upchar jarur apnaye.