Body Care Tips in Hindi, Twacha ki Asli Sundarta ka Raaz

Khubsoorat dikhna jo ki, har ladki ka sapna hota hai. Har ladki jo kin a sirf apne chehre ko balki apne pure sharir ko khubsoorat banana chahti. Jiske liye chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Body Care Tips in Hindi.

Vese mahilao ko sundar dikhane ke liye apne ha rang ka khas khayal rakhana padta hai.  Kahne ka matlab hai ki, ek ladki apne sar se lekar apne pairo ki ungli tak ko ka hamesha dhyan rakhna hota hai.

Face par to hum bahut si cheeze lagakar apne skin ko chamkdar bana lete hai. Lekin bahut si mahilao ke man mai yeh sawaal hota hai ki, vo kese apne sharir ki twcha ko sundar banaye. Jiska jawaab hum aapko iss article mai dene ja rahe.

Sharir ki twacha ko accha banane ke liye aap kuch natral cheezo ka use karke ghar par hi body  scrubber bana sakti hai. Na ki beauty parlor mai hajaro pese aur samay ki barbadi karke.  Kyoki parlor mai istemaal kiye jane vali cheeze prakritik nahi hoti hai. Jo ki aage chal kar aapki skin ko bahut nuksaan pahuchati hai.

Behatar hoga ki aap ghar par body scrubber bana lijiye aur istemaal kijiye. Taki aapki twacha mai hamesha ke liye sundar aur chamkdar bana jaye. Saath hi inn ghrelu upchar ke dwara aapki kisi bhi type ki skin problem bhi khatam ho jati hai.

To aaiye ab hum aapko batate hai, kuch aise body scrubber, jo ki natural hote hai aur aapki skin ko nuksaan bhi nahi pahuchate . Saath hi inhe aap ghar par hi aasani se bana sakti hai.

Par bas dhyan rahe ki, agar aapko kisi cheez se allergy hai to use istemaal na kare. Saath hi scrubber ko simit samay tak hi ragdiye varan jalan ya chhilane jesi samasya bhi  ho skati hai. Scrubber ke baad gungune pani se apne sharir ko dho lijiye.

Body Care Tips in Hindi

Body Care Tips in Hindi, Sharir ki Twacha ke Liye Dekhbhal

Til

Body Care Tips in Hindi  ki baat kare to til ka naam sabse pahle aata hai. Til khane mai bahut taste lagta hai aur isse banana vali har dish bhi bahut jaykedar hoti hai. Lekin kya apako ptaa hai ki isse nikalne vala tel ek accha body scrubber bhi hota hai.

Til ka body scrubber banane ke liye iske ek chammach tel mai aadha chammach haldi mai mila le. Saath hi isme khade til bhi mila sakte hai. Iss misharn ko skin par apply kare aur acchi tarah body par ragdiye.Isse bahut jaldi  Twacha mai nikhar aa jayega.

You may also like:- Sesame Oil Benefits: Bimariyo ke Liye Faydemand Til ka Tel

KhasKhas ke Beej

Khaskhas ke safed ya kale beej, acche bady scrubber hote hai. Inka chhote aakar inhe body par acche se scrub karne ke liye madad karta hai. Isse scrub banane ke liye iske beej mai namak ya chini milaiye aur iss paste ke liye thoda sa tel bhi mila le. Is mishran ko body par halke haatho se lagdiye fir thande pani se dho lijiye.

Yeh bahut hi acch aur sadharn upaye hai, jo ki aapki skin ko bahut sundar aur chamkdar bananta hai. Iss paste ko  aap week mai kam se kam  do bar jarur lagaiye.

Alsi

Alsi se sharir ko kafi aaram milta hai. Alsi se body scrub ko banakar agar aap massage karenge to aapko aur bhi jyada laabh milenga. Aadha cup alsi ke beej, teen chammach shahad, thoda sa pani aur  dudh mila kar paste bana lijiye. Fir iss paste ko apne pure sharir par lagaiye.

Aap chahe to ise week mai 2 se3 baar kar sakti hai. Jisse ki aapko bahut acche result milenge. Saath hi iss paste ke use se aapki skin ki chamak hamesha ke liye bani rahengi.

 Coffee ke Beej

Bahari desho mai coffee seeds ka body scrub kafi lokpriye hota hai. Aap bhi isse ghar par bana kar try kar sakte hai. Iske liye sabse pahle coffee ke beej le. Ab isse pis lijiye aur isme chini aur nariyal ka tel milakar gadha paste bana lijiye.

Fir iss paste ko apni skin par ragdiye, isse aapki skin ka scrub bhi ho jata hai  tatha aapki skin moisturizes bhi hoti hai.

Suraj Mukhi

Suraj mukhi ke beej se nikalne vala tel khana banane ya anye kamo mai prayog laya jata hai. Lekin agar aapko body scrub karna hai to yeh tel laabhkari sabit ho sakta hai. Sabse pahle inn beejo ko saaf kar le aur inme oatmeal, shahd aur dudh mila le.

Ab iss paste ko apne body par lagakar  ragdiye,  fir gungune pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapki skin mai bahut alag glow aata hai.

Sarso ke Dane

Sarso ke ek beej ko jayad masale ke roop mai kitchen mai istemaal ki jati hai. Iska jyaka accah hota hai aur yeh kai guno se bharpur hota hai.

Body scrub banane ke liye sarso ke dane mai dahi, shahad aur aata mila le. Aur is naram se paste ko body par lagakar scrub kare. Isse  aapki skin ki sari dead skin khatam ho jayegi saath hi aapki skin mai nikhaar aayega.

Body Care Tips ke Dwara Baniye Apni Twacha ko Sundar

Body Care

Kiwi

Kiwi mai kale beez hote hai, yeh beez sharir ke liye acche hote hai. Inse banane vala body scrub bahut manga hota hai. Lekin aap ise aasam se ghar par bana sakti hai. Iske liye aap sabse pahle ek kiwi le, ise piskar  isme shahad aur oatmeal mila le.

Ise twacha par lagane se instant shine aati hai. To hum sakte hai ki, Body Care Tips mai kiwi ka naam sabse pahle aata hai.

You may also like:- Kiwi Fruit Benefits: Behtar Swastha ke Liye Kiwi Khae

Kali Mirch

Aapko ashcharye hoga ki pepper se kis tarah se body ka scrub ho sakta hai. Lekin yeh sach hai ki ek masale hone ke saath-saath yeh ek accha body scrubber bhi hai. Ise banane ke liye sabse pahle namak ko le aur use bhigo kar ek saman paste bana le.

Fir Iss paste mai pepper ko daal kar acche se mix kijiye. Bas dhyan rahe ki daali jane vali pepper bahut acche se pisi huye hona chahiye. Ab iss paste ko apne pure sharir par laga kar ragadiye fir thodider baad gungune pani se naha lijiye. Fir dikhi aapki skin kesi shine karti hai. Saath isse aapki twacha gori bhi ho jati hai.

Upar aapne jana Body Care Tips in Hindi. To bas der kis baat ki aaj se inn tariko se apne sharir ki twacha ko chamkaiye aur hemsah sundar dikhaye.

Apni twacha ko chamkane ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.

Loading...

You may also like...