Breakfast Recipes for Kids in Hindi – Baccho Ke Liye Vishesh

Nashta karna sharir ke liye bahut accha hota hai. Doctor bhi mante hai ki healthy nashta hamare liye jaruri hai. lekin bacche inn sab baato ko nahi samajhte hai.

Baccho ke khana khane ke bahut natak hote hai, jiske karan aapko khana leke unke piche pice bhagna padta hai. Lekin yadi aap unhe swadisht aur alag alag tarah ka nashta bana kar khilayenge to wo ise aasani se kha lete hai. Aese mai wo khana thoda kam bhi khaye to koi pareshani wali bat nahi hai.

Lekin nashta alag aur swadisht hone ke sath gunkari bhi hona bahut jaruri hai. Yadi nashta poshak tatvo se bharpur hai to wah aapke bacche mai dinbhar urja banaye rakhta hai. Aap chahe to bacche ko nashta ghar par hi khila sakte hai ya fir unke tifin mai bhi de sakte hai.

Yakin maniye yadi din ki shuruwat acche nashte se hoti hai to baccho ka pura din urja se bharpur aur accha jaata hai. To aaiye jante hai Breakfast Recipes for Kids in Hindi.
 

Breakfast Recipes for Kids in Hindi: Swadisht Nashta Banaye

 
Breakfast Recipes for Kids in Hindi
 

Pizza Paratha Recipe in Hindi – Baccho Ka Pasandida

Pizza to har bacche ko pasand hota hai aur bacche pizza ko kabhi na nahi kehte hai. Parantu bahar se laya hua pizza baccho ke liye accha nahi hota hai. Lekin aap unke liye ghar par bhi swadisht aur healthy pizza paratha bana sakti hai. Yeh baccho ko pasand bhi aata hai.
 

Pizza Paratha Banane Ke Liye Samagri

  1. 2 Cup maida
  2. ½ Chota chammach namak
  3. 2 Chote chammach tel
  4. 1 Choti chammach dry active yeast
  5. 1 Choti chammach chini

 

Parathe mai Masala Bharne Ke Liye

  • 1 Cup barik kari patta gobhi
  • 1 Barik kati hui shimla mirch
  • 2- 3 Barik kate hua baby corn
  • 2-3 Chote chammach hara dhaniya
  • 50gm mozzarella cheese kaddukis kiya hua
  • ¼ Choti chammach kali mirch
  • Namak swadanusaar
  • ½ Inch kate huye adrak ka paste
  • 1 Hari mirch kati hui
  • 2-3 Choti chammach tel ya ghee

 
Banane Ki Vidhi:  Sabse pehle maide ko kisi bartan mai nikale aur usme namak, chini, tel, active dry yeast dale aur sabko acche se mila le. Ab 3 se 4 cup pani ko halka sa gunguna kar le tatha iss pani se aate ko chapati ke aate ki tarah guth le.

Guthe aate ko 5 se 6 minute tak masal masal kar ekdum chikna kar le. Iss guthe huye aate par halka sa tel lagakar use 2 ghante ke liye rakh de, itne samay mai aata phul kar double aakar ka hokar taiyar ho jayega.

Ab pizza paratha banane ke liye stuffing taiyar kar lete hai, kisi bade pyale mai barik kata hua pyaaj, patta gobhi, barik kati shimla mirch, kati hui baby corn, mozzarella cheese jo ki kaddukis kiya hua hai tatha saare masale milakar sabko mila le.

Pizza paratha banane ke liye sabse pehle bharne wala masale ko do bhago mai baat le tatha aate ko mix kar ek baar fir masal le. Ab aate ko bhi do bhago mai baant le, tatha aate ke ek bhag ko sukhe aate mai lapet kar use bada kar le aur usme stuffing ka masala bhar de aur charo taraf se ise band kar de.

Ab parathe ko belan ki sahayata se charo taraf se gol kar le. Ab tave ko gas par rakhe aur use garam hone par charo taraf se tel lagaye aur paratha tave par dale. Iss parathe ko dheemi dheemi aanch par dono taraf se senke, jab tak dono taraf se paratha bread ki tarah spongy aur crisp hokar taiyar ho jaye.

Aapka swadisht paratha taiyar hai, ise tomato sauce, mustard sauce, ya jem ke sath kha sakte hai. Yeh baccho ko bahut pasand aayega tatha wo ise pet bhar ke khayenge. Isi tarah baaki bache huye aate se bhi paratha bana le. Ghar ka kuch bhi khane mai inkar karne wale parents ke liye yeh best Snack Ideas for Kids hai.
 

You may also like:- Cake Recipes in Hindi – Ab Ghar Par Aasani Se Banaye

 

Gehu Ka Bana Lajij Pancake

Breakfast Ideas for Kids ki baat kare to baccho ke expert ka manna hai ki baccho ko subah nashte mai gehu se bana pancake aur phal dena chahiye kyoki yeh unke badte vikas mai bahut sahayak hote hai.
 

Pancake Banane Ke Liye Samagri

  1. 1 Kela
  2. 1 Cup soya milk
  3. 1 Bada chammach maple syrup
  4. 1 Cup gehu ka aata
  5. 2 Choti chammach baking powder

 
Easy Pancake Recipe Steps: Ek katore mai kele ka guda nikal le aur use mash kar le taha isme dudh aur syrup mila le. Iske bad ek alag katore mai sukhi samagri jaise aata, baking powder aur chutkibhar namak mila le. Iss sukhi samagri mai kele ka bana hua mishran mila le aur ise tab tak chalaye jab tak yeh sab ek sath acche se mix hokar chikna na ban jaye.

Jab loi chikni ho jaye to gas par tawa garam kar le, aur tawe par choti kalchul loi dale.  Jab pancake mai upari bhag par bulbule aane lage to ise palat de aur acche se pakaye. Aapka pancake bankar taiyar ho gaya hai.

Ise aap phalo ke sath serve kare jaise strawberry, blueberry, seb ke tukde, kele ke tukde aadi. Iske alawa 1 glass soya milk ya santre ka ras bhi baccho ko pancake ke sath de sakti hai.

Yeh swadisht aahar aapke baccho ke liye nai dish aur aapke liye healthy dish bankar aapka tatha aapke baccho ka man lubha legi.
 
Upar aapne jana Breakfast Recipes for Kids in Hindi. Upar di gayi recipe ko aap ghar par kabhi bhi bana sakti hai tatha bacche aur badhe dono ise kha sakte hai.

Loading...

You may also like...