Castor Oil in Hindi – पेट से लेकर त्वचा तक हर रोग में लाभकारी है रेंड़ी का तेल
Castor Oil in Hindi – Arandi ke tel ke bahut se medicinal aur rog-nivarak uses hai. Iski yahi properties ise bahut effective aur excellent banati hai. Castor oil lagane se aapki skin aur hair dono bohut healthy rahte hai. Aaiye Jante hai kuch Arandi Ke tel ke fayde.
Baalo ko lamba aur Ghana banane mai arandi ka tel lagane se madad hoti hai, aur yeh ek prakritik tarika bhi hai. Vaikalpik swasth ke kshetra mai arandi ke tel ke madhyam se baalo ko badhane ke upchar lambe samay se prayog ho rahe hai.
Agar sach mai aapke baal kharab ho rahe hai ya aap apne baalo ko majboot banana chahte hai to arandi ka tel aapke liye bahut hi laabhdayak siddh ho sakta hai.
Castor Oil in Hindi: Iske Fayde Janiye
Benefit for Skin (Twacha) | Benefit for Hair (Baal) | Benefit for Health (Swasthya) |
---|---|---|
Muhanse dur kare | Scalp infections ko thik kare | Pet ke kide theek kare |
Jhurriya Ghataye | Baalo ko safed hone se roke | Peeth dard se bachaye |
Twacha mai Nami Laye | Baal badhne mai sahayak | Ghutno ke dard mai sahayak |
Daag dhabbe dur kare | baalo ko condition kare | Immunity badhaye |
Castor Oil in Hindi: Aapki Sundarta mai Lagaye Chaar Chand
Age Spots Ke Liye
Castor Oil use karne par aapke age spots bahut jald fade ho jayenge. Aapko bas thoda sa castor oil lena hai aur age spots par lagana hai. Dhyan rakhiye massage karte samay apne haath circular motion mai ghumaye.
Hair Growth Ke Liye
Castor oil mainly hair growth ke liye hi jaana jaata hai. Thoda sa castor oil le aur ise apne scalp par apply kare aur gently massage kare. Aadhe ghante tak oil lage rahne de fir hair wash kar le. Thode hi dino mai aapko farq najar aane lagega.
Hands aur Nails Ke Liye
Castor oil se hands par massage karne par wrinkles se nijat milti hai. Ise roj nails par lagakar massage karne se aapke nails bahut soft ho jaate hai aur damage hone ka khatra bhi nahi rahta hai.
Skin Cleasing Ke Liye
Castor oil skin cleasing ke liye bahut upyogi hai. Ise skin par apply karne se skin retain ho jaati hai.
Skin Moles Ke Liye
Castor oil mai thoda sa baking soda milaye. Iss paste ko apne mole par lagaye aur dhire-dhire massage kare. Thodi der baad iss paste ko hata dijiye. Iss procedure ko thode din apply kijiye aur thode hi dino mai aapka mole gayab ho jayega.
Mitaye Sare Skin Germs
Castor oil ek aisa ingredient hai jiske bahut se uses aur benefits hai. Isse aapke stretch marks dur hote hai. Isse aapki skin ki bahut si problems dur ho jati hai. Yeh hair conditioning mai bhi use kiya jata hai.
Castor Oil in Hindi Benefits for Hair: Baalo ko Sundar aur Majboot Banaye
- Baalo ko badhne mai vraddhi karta hai.
- Patle ho rahe baalo ko Ghana karne mai madad karta hai.
- Baalo ko nuksaan dikhna kam karta hai aur baalo ko nuksaan ko rokta hai.
- Sukhe baalo ko poshan aur unhe chamak deta hai.
- Baalo ko ghanapan aur chamak deta hai jiske parinam swaroop baal swasth dikhte hai.
- Baalo aur sar ki twacha ko gehrai se conditioning aur nami deta hai.
- Sar ki twacha ka sukhapan rokta hai.
- Baalo ke samagra swasth ko badhata hai.
Castor Oil in Hindi Health Benefits: Hamare Swasthya Ke Liye
- Arandi ka tel pet mai kide hone ki samasya ko theek karta hai. Iske liye aapko 4 chammach nariyal tel ke sath 2 chammach arandi ke tel ka mishran sevan karna hoga.
- Arthritis ke rogiyo ke liye yeh bahut faydemand hai. Yeh aapko jodo ke dard se raahat dilane mai bahut prabhavi hai.
- Naturopathy ka adhyan karne walo ne yeh paya hai ki arandi ke tel se rog pratirodhak tantra majboot banata hai. Isse sharir ko rogo se ladne mai madad milti hai.
- Pith dard se nijat dilane ke liye arandi ka tel ek asardari prakratik aushdhi hai. Isse apne peeth par malish karne se mashpesiyo mai ho rahe dard aur tanav se mukti milti hai.
Castor Oil in Hindi for Arthritis – Gathiya mai Faydemand Arandi Tel
Gathiya ki samasya mai jodo mai sujan hoti hai. Yeh ek ya ek se jyada jodo ko prabhavit karti hai. Gathiya ke chalte aapke jodo mai samanya se lekar asahniy dard ho sakta hai. Iss dard ka ilaj karne ke liye arandi ka tel ek behtar upay hai. Darahsal arandi ka tel jodo aur uttako ke dard se rahat dilane mai madad karta hai.
Waise to iske liye aap dawaiya bhi le sakte hai. Lekin expensive dawai lene ke badale yadi aap gharelu upchar apnate hai to yeh jyada faydemand hai.
Arandi ke tel mai ricinoleic acid mojud hota hai jo ki ek unsaturated fat hai. Iss tatva mai anti becterial, anti Inflammatory aur analgesics gun hote hai. Inn guno ko dekhte huye arandi ke tel ko medicinal tel bhi kehte hai.
Arandi ke tel ko Gathiya mai kaise istemal kare?
- Castor oil pack ke jariye
- Chai mai dalkar
Castor Oil Pack
Castor oil pack pith dard ko dur karne mai faydemand hota hai. Aaiye jante hai yah pith dard ko kaise dur karta hai. Sabse pehle cold pressed arandi ka tel le, yeh aasani se supar market me mil jata hai .aab ek falalen Kapda le, yeh aasani se supermarket mai mil jata hai. Isko do se char bar fold kare taki iski thikness badh jaye. Ab iss pack ko arandi ke tel mai duboye. Ab iss castor oil ko prabhavit hisse par rakhe, jaise ki kohni ya ghutne par.
Jab aap ise prabhavit hisse par rakh denge, iss par kuch garmi ka strot rakhe. Iske liye water bags ka istemal kare. Jab aap garm waterbag ka istemal karenge to isse tel aapke sujan wale tissues tak pahuchega.
Isi tarah aadhe ghante ke upar aesa kare. Yadi itne samay mai aapko relief nahi mil raha hai to iss wakt ko aap ek ghante se lekar ded ghante tak badha sakti hai. Iss process ko lagatar kuch dino tak kare. Har 5 we din aapko break lena hai, fir wapis iss cycle ko countinue karna hai.
Iss castor oil pack ko aap ek se jyada baar istemal kar sakte hai. Aapko bus itna karna hoga ki ise store karke refrigerator mai rakh de. Jab kabhi bhi aapko iss pack ka istemal karna ho, ise refrigerator se nikale aur ispar tel ki kuch bunde dale. Ab ise room temprature par aane de aur fir istemal kare.
Arandi Ke Tel Ki Chai
Kuch cases mai arthritis ke yogi khaskar ke rheumatoid arthritis ke rogi, arandi ke tel ko adrak ki chai ke sath lete hai. Iske liye do chammach arandi ke tel ko ek cup ginger tea mai milana hota hai aur sone se pehle lena hota hai.
Arandi ke tel wali chai ko pina ek gharelu upchar hai. Isliye ho sakta hai ki yeh bahut sare upcahro mai kaam naa kare. Aesi avastha mai aapko doctor se consult kare.
Castor Oil for Piles– Bawasir Ke Liye Arandi Tel
Piles ki samasya mai bhi arandi ka tel bahut accha prakratik upchar hai. Iske pehle istemal se hi aapko rahat mehsus hone lagti hai. Arandi ka tel iss samasya mai jaldi aur bina kisi dard ke fayda karti hai.
Castor Oil in Hindi – Piles Ke Liye Ise Kaise Istemal Kare?
Istemal Ka Tarika 1
Ek toilet tissue ko half fold kare, aur ek bar wapis half fold kare. Ab iss paper par arandi ke tel ki kuch bunde dale. Ab ise hemorrhoid par lagaye. Jab kabhi bhi aap washroom jaye paper ko change karde. Aur jab kabhi bhi aap iss paper ko rakhte hai to iss baat ka dhyan rakhe ki aap saaf ho.
Istemal Ka Tarika 2
Ek rui ki gol baal le aur uss par tel lagakar prabhavit hisse par lagaye. Lekin Ise aap flush nahi kar sakte hai. Isliye upar wala tarika istemal karna jyada behtar hota hai.
Istemal Ka Tarika 3
1 saaf purani t shirt le ab isko chote chote square mai kaat le. Iska istemal aap treatment ke douran lenge. Yeh castor oil treatment lene ka sabse achha tarika hai. Kyoki purani shirt bahut mulayam ho jati hai.
Yeh upchar karna bahut hi faydemand hai, ise aap raat ke wakt kar sakte hai. Kai logo ko pehli baar hi istemal ke baad isse aaram mila hai.
Arandi Ka Tel Piles mai Kaise Madad Karta Hai?
Arandi ke tel mai healing properties hoti hai. Yeh rakt sanchar badhata hai, dard se aaram dilata hai, infection se ladne mai madad karta hai, sujan ko dur karta hai.
Istemal Se Pehle Dhyan De
Yeh tel thoda greesy hota hai. Isliye jan aap ise raat ke wakt istemal karte hai to yeh aapke kapdo mai jakar isme grees chod sakta hai. Iske daag lagne ke baad nikalte nahi hai. Yadi aap aesa nahi chahte hai to cotton ke pads ka istemal kar sakte hai.
Arandi ke tel mai laxative property hoti hai. Isliye jab aap ise piles ke liye istemal karte hai to aapki body bhi iska kuch amount absorb karti hai. Jiske chalte laxative effect aap par dikhne lagte hai.
Castor Oil in Hindi for Infant: Kya Yeh Tel Baccho Ke Liye Safe Hai
Yeh Baccho Ke Liye Accha Hai: Kya aapne baccho mai kabj ki samasya hone par arandi ke tel ka istemal kiya hai? Darahsal arandi ke tel mai laxative gun hote hai jo mal ko dhila karte hai. Isliye baccho ko kabj hone ki stithi mai kabhi kabhi doctor ise dene ki salah dete hai.
Yeh Baccho Ke Liye Accha Nahi Hai: Par kuch kuch deshi mai ise safe nahi mana jaata hai. Kaha jata hai ki aesa karne ke galat prabhav bacche par padhte hai. Kuch caese mai iske karan bacche ko dard bhi ho sakta hai.Isliye arandi ke tal ko baccho ke liye safe nahi mante.
Upar aapne jane Castor Oil (Arandi) Benefits in Hindi. To use kijiye arandi ka tel aur paiye healthy aur beautiful twacha aur banaiye apne baalo ko lamba aur ghana. Yeh aapke liye bahut hi laabhkari hota hai.