Cholesterol Symptoms in Hindi – Iske lakshano Ko Pehchane

Aaj ke samay mai ham sabhi ki jeevan sheli mai bahut parivartan aa gaya hai. Vyastata ke karan ham vyayam karna to avoid karte hi hai sath hi sath fast food ne santulit aahar ki jagah le li hai. Jiske chalte cholesterol jaisi samasya ne hamare sharir mai ghar kar liya hai.

Cholesterol ek bahut aam samasya hai. Jiski chapet mai kai log aa chuke hai. Cholesterol ek tarah ka vasayukt tatva hai, jiska utpadan karne ka karya liver karta hai. Yeh hamare sharir mai protein ke sath milkar lipoprotein banata hai, jo fat ko khoon mai ghulne se rokta hai. Darahsal sharir mai do tarah ke cholesterol hote hai, HDl aur LDL. HDl cholesterol halka aur accha hota hai, wahi LDL cholesterol bura hota hai.

Ldl cholesterol chipchipa aur gadha hota hai. Yeh blood vessels par jamne ke karan isse khoon ke bahav mai rukavat aati hai. Aesa hone par heart attack aur dil se sambandhit bimariya ho sakti hai. Iska pata aasani se nahi chal pata hai isliye 20 ki umra ke bad aapko khun mai cholesterol ki jancha karwate rehna chahiye. Yaha janiye Cholesterol Symptoms in Hindi, taki iske lakshano ko pehchankar aap jald se jald iska upchar kar sake.
 

Jane Cholesterol Symptoms in Hindi aur Rahe Swasth

 
Cholesterol Symptoms in Hindi
 
Cholesterol ko jachne ke liye do reading ki jati hai. Yadi iska aakda 200 tak hai to thik hai jyada pareshani nahi hogi lekin 200 se badkar 239 tak bad chukka hai to ise ucch cholesterol (high cholesterol) mana jata hai. Isme kai rogiyo ko savdhani rakhna chahiye. Kai bar yeh 240 se adhik pahuch jata hai jisse dil ka doura padne ka khatra bahut adhik hota hai.

Bure cholesterol ke koi vishisht lakashan dikhai nahi dete hai. Lekin fir bhi khun ki janch tatha kuch bimariyo ke anusaar iska pata lagaya ja sakta hai. Khas tour par iska pata kuch badi bimariya jaise dil ka doura padne par samjh aata hai ki sharir mai cholesterol jama hua hai. Kyoki jab tak iska star na bad jaye, iske lakshan aamtour par ghatak nahi hote hai.

Isliye iske lakshan dikhai dene par Lipid profile test karwana chahiye taki iska pata lagaya ja sake. Kai bar yeh anuvanshikta ke aadhar par bhi ho sakta hai isliye samay samay par aapke doctor se iske bare mai janch aur paramash lete rahe. Aaiye jante hai Symptoms of Cholesterol in Hindi.
 

You May Also Like:- Bad Cholesterol ko Kam Karne ke Bemisaal Tarike

 

Adhik Motapa

Kai logo mai adhik motapa hota hai kyuki unke khane mai tel vasa ki matra jyada hoti hai. Yadi aapke sharir mai adhik charbi jami hui hai to aapke sharir mai cholesterol jama hoga. Iski jaldi se jaldi janch karva ke doctor se paramarsh le.
 

Becheni Mehus Hona

Cholestrol ke khun mai jamne par rodhgalan aur rakt ka bahav dhire dhire ya ruk ruk kar hota hai jisse becheni mehsus hoti hai.

Iske atirikt cholesterol hone par sine mai dard, saans ka teji se chalan, ghabrahat, baat karne mai asmarth hona, muh tircha hone mai taklif, aadi samasya utpanna hone lag jati hai.
 

Akaran Thaka Hua Lagna

Jab bhi aap apne andar akaran hi sharirik rup se kamjori mehsus karne lagte hai to ho sakta hai aapko cholesterol ki bimari hai. Isliye iske bare mai puri tarah se pushti karne ke liye chikitsak se paramarsh jarur le.
 

Pairo mai Dard

Kai bar aapko chalte samay pairo mai dard hone lagta hai, iska ek karan pario ki manspeshiyo mai jama hua cholesterol bhi ho sakta hai. Jiski wajah se aapke pairo mai dard tatha sujan aa jati hai.
 

You May Also Like:- Heart Attack Symptoms in Women: Mahilao mai Hridayghat

 

Thakan aur Anidra

Bade hua cholesterol hone par chakkar aana, thakan, anidra, yaddashat ka kamjor hona aadi hota hai. Agar yeh sab aapke sath ho raha hai to aapke sharir mai cholesterol ki matra badi hui hai.
 

Anya Samasyae

Uccha cholesterol ko badhne se sharir mai ucch rakt chaap, madhumeh, kidney se judi bimari, liver ki pareshani, aur dil si judi bimariya hoti hai yadi aapko inme se koi bhi bimari hai to aap cholesterol ki bimari se ghire hai.
 
Upar aapne jana Cholesterol Symptoms in Hindi. Apne sharir ko swasth rakhne ke liye samay samay par iska pata lagane ke liye janch karwate rahe taki iss bimari se bacha ja sake aur iske dwara hone wali anya bimariyo ki bhi roktham ho. Iski janch hone par aap dil ki bimari ke khatre ko pehle baap lenge aur uska illaj samay par karwa lenge.

Loading...

You may also like...