Janiye Deafness (Bahrapan) Treatment, Causes aur Symptoms

Sunai dena kam ho jana ya bilkul bhi sunai na dena hi Deafness (Bahrapan) kahlata hai. Wese aap jante hai ki hamare kaan ka swasth hona hamare sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Kyoki theek tarike se sunai na dena ek bahut badi samasya hoti hai, jo dheere-dheere karke gambhir roop leleti hai.

Lekin aksar log kaan se judi samasya ko samajh nahi pate hai. Vah log bahrapan ke karan ko samjh nahi pate, jiske chalte ve log ek badi problem se ghir jate hai. To aaiye hum aapko batate hai, Causes of Deafness.

Deafness

Causes of Deafness, Bahrapan ke Pramukhaya Karan

Vese Bahrapan ke bahut se karan hote hai, jese ki sharair ki majori ya kaan ki naso mai kharabi. Iske alawa kaan mai bahut tez aawaj pahuchna, sardi lagna, sar mai ya dimag me chhot lagna, nahate samay kaan ke bilkul andar tak pani ka chale jana, kan ke andar bahut jyada mail ka jama ho jana, kan ka bar- bar bahna.

Symptoms of Deafness, Bahrapan ke lakshan

Iss rog se pidit rogi ko kam sunai deta hai ya kabhi bhi uska kaan band ho jata hai. Bahrapan ke karan kaan me ajeeb ajeeb se aawaj sunai deti hai. Kabhi bhi aawaj ruk-ruk kar sunai deti hai aur kai bar to rogi ke kaano ke paas jakar koi chikhta-chhilata rahe to bhi use kuch sunai nahi deta hai.

 Deafness, Bahrapan se Bachne ke Liye Rakhe Yeh Savdhaniya

  • Nahate samay dhyaan rakhna chahiye ki sabun ya pani kaan mai na jaye kyoki, isse bhi bahrapan ho sakta hai.
  • Jis nadi ya talab me janvar nahate ho uske andar nahi nahana chahiye.
  • TV ya gano ko tez aawaj mai nahi sunana chahiye kyoki isse kaano ki naso par asar padta hai. Kaano ki nase kharab hone par yeh rog theek hona mushkil ho jata hai.
  • Kaan mai kisi bhi tarah ke ilaj me deri nahi karna chahiye, kyoki waqt par ilaj na hone se yeh rog khatam ho sakata hai.
  • Kaan ko nuksaan pahuchne vali cheezo se bachna chahiye.
  • Kaan mai tilli ya kuch cheez daal kar khujalna nahi chahiye.
  • Dhup me jyada der tak kaam nahi karna chahiye.
  • Bhojan mai gram masale ka prayog na kare

Upar aapne Symptoms of Deafness ke baar mai to jan hi liya hoga. To bas iske lakshan ko pahchan kar niche bataye gaye upchar ke dwara iska ilaj kijiye aur swasth rahiye.

Deafness Treatment

Deafness Treatment, Vibhinn Aushadhi se Bahrapan ka Upchar

 Gud

10 gram pani me 2 chammach gud aur 2 gram shunthi ka chund ko acchi tarah se milakar kan me bund bhund karke dalne se bahrapan kam ho jata hai.

Sauf

5 gram souf ko 250 milliliter pani me ubal le. Jab ubalne pe yeh pani kareeb ¼ hissa rah jaye. To iss mai 10 gram ghee aur 200 milliliter cow ka dudh milakar peene se bahrapan ka rog hamesha ke liye khatam ho jata hai.

You may also like:- Benefits of Fennel (Saunf) in Hindi: Gharelu Nuskhe

Bael

Bael ke patte ka tel, kali mirch, sounth, piplamool, bael ki jad ka ras aur gay ki peshab ko barbar matra me lekar halki aag par pakne ke liye rakh de. Fir ise chhan kar kisi shishi mai bhar le. Iss tel ko kaan mai dalne se kaan ke sabhi rog khatam ho jate hai. Aap chahe to Bael ke pakaye huye beej ka tel nikalkar bhi bund bund karke kaan me dal sakte hai.

Datura

Datura ke peele ko halka sa garam karke uska ras nikal kar 2- 2 bund karke kaan mai dalne se bahrapan theek ho jata hai. Iss prayog ko 15 din tak ke liye subah aur sham kijiye, isse aapko bahut acche result milenge.

Bakuchi

 Safed musli aur bakuchi ko barabar matra mai lekar piskar churna bana le. Iss 3 gram churna ko dudh ke saath subah sham khane se bahrapan theek ho jata hai.

Dalchini

 Dalchini ke tel ko bund bund karke subah sham kaan me dalne se aap iss samasya se hamesha ke liye chutkara pa sakte hai. Iske alawa dalchini aur shahad ko saman matra me milakar 1-1 chammach subah aur raat mai sevan kare isse aapko bahut acche result milenge.

Badam

Kadve badam ke tel ko gunguna karke rozana subah aur sham kaan me bund bund karke dalne se bahrapan hamesha ke liye theek ho jata hai. Iss prayog ke liye 100 milliliter badam ke tal me lahasun ki 10 kaliya dalkar paka lijiiye. Jab pakne par lahasun ki kaliya jal jaye to iss tel ko chhan kar kaan mai dalne se aap ko ajlsi aaram milenga.

Ajwain

Ajwain se bane tel ko rozana kaan mai dalne se aap iss samasya ko dur bhaga sakte hai. Saath hi iske use se aapko kaan ki kisi bhi tarah ki pareshani se aaram milta hai.

Sarson

Sarson ka tel ko garam karke kaan mai dalne se aap kaan ki har problem ko dur bhaga sakte hai. Sarson ke tel mai dhaniye ke thode dane dalkar pakaa le. Fir iss tel ko chhan kar rakh lijiye aur rozana apne kaan mai iss tel ki bunde daliye.

Fitkari

 5 gram fitkari mai, 3 gram nausadar aur 100 gram kalmi shora ko 10  gram sarson ke tel mai dalkar  pakaa le. Fir ise chhan kar kisi shishi mai bharkar rakh de aur rozana is tel ki 2 se 3 bunde apne kaan mai daliye.

Pyaz ka Ras

Deafness Treatment ki baat kare to pyaz ka naam sabse pahle aata hai. Pyaz ke ras ko halka sa gram karke 2-2 bunde kaan mai dalne se bahut jaldi aapke kan ki sunne ki shakti bad jati hai. Aap chahe to safed pyaz ka ras bhi use kar sakte hai. Kyoki yeh bhi bahut  faydemand hota hai.

Yaha Par Dekhiye Video

Upar aapne jane Bahrapan ke lakshan, karan aur iske upchar ke baare mai sahi jankari hasil kar li hai. To bas der kis baat ki aaj se iske causes pahchan kar iska ilaj kijiye aur iss bimari se hamesha ke liye dur rahiye.

Deafness Imbalance se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

 

Loading...

You may also like...