Divorce in Hindi: Jane Talak Kya Hai aur Kyu Aati Hai Iski Nobat

Do log vivah ke bandhan mai bandhte hai aur hamesha sath nibhane ka faisla lete hai. Koi bhi dampati apni shadishuda sambandho ko todna nahi chahta. Lekin kai bar jivan mai aesi parishtithiya banti hai ki pati patni yeh sambandh khatam karne ki soch lete hai.

Jab pati patni ko lagta hai ko aage ki jindagi sath nahi nibhana chahte hai to we talak ka sahara lete hai. Talak ek kanuni karvahi hai. Jiske jariye pati patni apne vevahik sambandh ko puri tarah khatm kar dete hai. Aur ek bar talak lene ke bad wo kisi aur ke sath apna naya rishta kayam kar sakte hai.

Iss faisle ko lena dono hi paksho ke liye bahut mushkil hota hai kyuki talak hone se dono ki bhavanao ko thes pahuchti hai. Kuch logo ke liye talak ek mukti ka sadhan hai to kisi ke liye majburi aur dukh ka paigam.

Talak lena koi samay ki prakriya nahi hai balki isme kai kanuni davpech hote hai jinko sabit karte karte kafi lamba samay chala jata hai. Aur jab yeh khatm hota hai to unke baccho ki parvarish aur parivaar ki jimedariyo ko lekar asuvidhaye hone lagti hai. Lekin fir bhi talak hote hai. Iske piche ke karano ko vistar se janne ke liye padhe Divorce in Hindi.

Divorce in Hindi: Talak Hone Ke Karano Ko Pehchane

Divorce in Hindi

Yadi partner dhokhebaj ho to aese mai talak hona sahi bhi hai. Lekin kai bar thodi galatfehmi ya parivar ke chalte talak ho jate hai. Talak se bachne ke liye aur parishthitiyo ko sudharne ke liye padhe Reasons for Divorce in Hindi.

Aapsi Samajh Ki Kami

Kai bar pati patni ek dusre ko samjh nahi pate hai kyonki unn dono ke bich mai vicharo ki samanta nahi hoti hai tatha wo apne vicharo ko ek dusre ko samjha pane mai saksham nahi hote hai. Ya kai bar ek dusre ki paristithiyo ko samjh nahi pate hai. Jiss karan unke bich mai jhagde hone lagte hai aur unhe lagne lagta hai ki wo ek dusre sath nahi reh sakte.

Parivarik Karan

Kuch talak hone ki sabse badi wajah to unke parivar hi hote hai. Parivar walo ka pati patni ke aapsi mamlo mai aavshyakta se jyada dakhal dena bhi talak hone ka karan ban jata hai. Parivar wale baate suljhane ke bajay kisi ek paksha ka sath dene lagte hai.

You May Also Like:- Relationship Advice in Hindi: Rishto Mai Galti Karne Se Bache

 

Partner Ko Dhoka Dena

Shadi ke bad bhi kuch pati ya patni kisi aur ke sath avedh sambhandh rakhte hai. Pati ya patni dono mai se koi ek jab uske partner ko dhokha dene lag jata hai unke bich mai kai tarah ki samasya hone lag jati hai.

Duniya ka koi bhi vyakti yeh nahi chahega ki uske pati ya patni ka kisi aur ke sath rishta ho. Aese mai wo samne wale se talak le lena hi sahi samajhta hai.

Bina Marji Se Ki Gayi Shadi

Jab koi vyakti kisi se pyar karta ho fir bhi uski shadi kisi aur se karwa di gayi ho. Jiske karan wo apne patner ko sahi mayne mai nahi apna pate hai. Kyuki kisi bhi shadi ka sabse badi neev hi ek dusre ko apnana hota hai. Yadi yahi na hoga to unka talak hona hi hai.

Arthik Paristhiti mai Antar

Pati ya patni dono mai se kisi ek ka bahut jyada amir hona aur ek ka madhyam vargiya parivaar se hona bhi ek karan hota hai. Kyuki jo thode amir gharane se hota hai wo apne patner ko har choti bat mai niche dikhane lag jata hai. Sath hi dono ke rehne ke tour tarike mai bhi kafi antar ho jata hai.

Reasons for Divorce in Hindi

Pyar Ki Kami

Kisi bhi rishte ko bandh kar rakhne mai pyar ki sabse badi bhumika hoti hai. Pyar ke karan hi vyakti apne partner ko sahaj kar rakhta hai. Parantu kai bar logo mai samay ke sath pyar kam hone lagta hai aur wo ek dusre se bore hone lagte hai. Ya fir kaam ya parivar ko sambhalne mai itna mashruf ho jate hai ki ek dusre ke liye samay bhi nahi rehta aur pyar kam hone lagta hai.

Ek Dusre Ke Prati Samman Na Hona

Jiasa ki sabhi jante hai bhartiya sanskriti mai purush mahilao par har bat ko lekar havi rehte hai parantu aajkal jamana badal gaya hai ladke aur ladkiyo mai koi bhedbhav nahi hota hai. Isi karan jab pati patni ke upar havi hota hai aur uska samman nahi karta hai ya ek dusre ke sath kam mai hath nahi batata hai to yeh bhi talak ka mukhya karan ban jati hai.

You May Also Like:- Live in Relationship in Hindi – Sahi ya Galat, Kya hai Aapki Rai?

 

Gharelu Hinsa 

Shodh se pata chala ki aajakal gharelu hinsa hona bahut sadharan baat ho gai hai .Yeh hinsa har 10 mai se 8 gharo mai dekhne ko milti hai. Yeh bahut bada apradh hai jise kai purush gusse mai ya apni shakti ko dikhane ke liye mahilao par karte hai. Aur iss hinsa se chutkara pane ke liye kai mahilaye talak ka rasta chhun leti hai.

Sharirik Rup Se Khush Nahi Rakh Pana

Jab Pati sharirik rup se patni ko ya patni sharirik rup se pati ko santusht nahi kar pate hai to unke bich mai tanav uttpanna hone lag jata hai. Kai bar yeh samasya kisi bhi ek ke lagatar bimar hone ke karan bhi ho jati hai. Ya fir pati ka napunsak hona aur yon sambhndho ka acche se nahi nibhane ke karan bhi talak ki samsya aa jati hai.

Vishwas Ki Kami

Jab shadishuda jodo mai ek dusre ke prati vishwas ki kami hoti hai jisse wo apne rishte ke naye pehluo ko nahi soch pate hai. Aur bat bat par ek dusre par vishwas karne ke bajaye shak karte hai to unke bich talak ki nobat aa jati hai.

Upar aapne jana Divorce in Hindi. Aap iske karano ko to jaan hi chhuke hai. Yadi aapka talak ho chuka hai to purani bate bhulkar nayi jindagi ki shuruwat kare. Aur nahi hua hai to uprokt karano ko samjhkar khud ko thoda badle, adjust karne ki koshish kare.

Loading...

You may also like...