Egg Face Pack in Hindi, Ande se Paye Khubsoorati

Chehre ko khubsoorat aur javan bhala kon nahi chahta. Har koi apne chehre ko sundar aur attractive banana chahta hai. Aisa hi ek upay hum aapko batane ja rahe hai jiss ki madad se aap apne chehre ko sundar bana sakti hai.

Ande mai skin ko nikhaar pradaan karne ke bemisaal gun paye jate hai. To aaiye iss article mai hum aapko batate hai, Egg Face Pack in Hindi. Jisse aap bhi khubsoorat ho jayengi.

Ande ka face pack bazaar mai milane vali cream se kai jyada laabhkari hota hai. Lekin fir bhi aapko iske faydo ke baare mai theek tarike se jankari nahi hoti hai.

Isliye hum aapko batana chahte hai ki, aap aisi cheezo ka prayog kare jo ki aapko har prakaar se laabh pradan karti hai. Saath hi aapki skin ko ek natural look de. To aise mai hum bol sakte ha ki, ande se bane face pack sabse accha hota hai.

Egg ek natural gharelu upchar hai, jo ki kai aapki kai samsaya ko dur kar sakta hai. Ande ka safed bhaag prakritik hota hai, jo skin se oil ko puri tarah se bahar nikal deta hai. Issi tarah ande ka pila bhaag twacha ko nami pradaan karta hai. To aap Egg White Face Mask, Egg Yolk Face Mask dono ka use karke apni skin ko glowing bana sakte ho.

Yadi chehre par sun burn ho gaya hai ya fir aapko safed chamakdar twacha chahiye ho to ande ka face pack lagaiye. Iski sabse acchi baat hai ki ande mai protein hota hai jo ki skin repair karta hai.

Egg Face Pack

 

Egg Face Pack in Hindi, Ande Mai Chupe hai Sundar Twacha ke Raaz

Chehre ki Twacha ko Tight Banaye

Agar aapko apne chehre ki twacha ko tight banana hai to ande ko ek katore mai lijiye aur usme shahad tatha nariyal ka tel milaiye. Ise acche se mix kar lijiye aur apne chehre par ek ghante ke liye laga kar chhod dijiye. Fir thande pani se apne muh ko dho lijiye.

You may also like:- Benefits of Eggs: Ande ke Fayade Aapki Healthy Life ke Liye

Glowing Skin

Egg Face Pack in Hindi me iss pack ki bahut mukhaye bhumika hai. Agar aapko glowing skin chahiye to baazaru cream par bharosa mat kijiye. Iske liye ande ke peele bhag ko lekar usme shahad aur olive oil mix kar ke chehre par lagaiye. Isse 30 minutes laga rahne de aur fir chehre ko saaf kar lijiye isse aapke jaldi hi ek naya glow milenga.  Saath hi aapki skin mai flexibility bhi aayegi.

Muhase se Chutkara

Ande ka safed bhag muhase se ladne me madad karta hai. Acne hormone ke imbalance ki vajah se hota hai. Ande me zinc paya jata hai, jisse ki acne aur chehre par pade ghaav jaldi hi theek ho jate hai. Ande ko oatmeal, shahad aur ek chammach tea tree oil ke saath mix karke prayog kare. Ise laga kar aadhe ghante ke liye apne chehre par lagaiye. Fir simple pani se chehre ko dho lijiye.

Wrinkle Khatam Kare

Ande ka safed bhaag wrinkle mitane me bahut madadgar hota hai. Usme agar aadha chammach badam ka tel daal diya jaye to yeh aur bhi accha ho jata hai. Iss face pack ko 30 minutes tak lagakar rakhe aur fir pani se apne chehre ko dho lijiye.

Skin Toner

Egg ko acchi tarah se fait le aur use chehre tatha gardan me lagaiye. Ise sukhne ke baad halke garam pani se dho lijiye. Yeh ek toner hai jo twacha ko tight karega aur aapko fresh look dega.

Egg Face Pack in Hindi, Ab Ande Se Paiye Lajawaab Sundarta

Egg Face Pack in Hindi

 

Oily Skin Remover

Yeh oily skin ke liye ek accha face pack hai. Ande ko oatmeal ke saath mix kar lijiye aur 15 minutes ke liye chehre par laga lijiye. Baad me chehre ko sade pani se dho lijiye.

Dryness Khatam Kare

Yadi aapki skin dry hai to aap home face pack lagaye. Anda me shahad milaiye aur 20 minutes ke liye apne chehre par lagaiye. Fir apne face ko pani se dho lijiye.

 Gori Twacha Ke Liye

Iss pack ko lagane se aapki skin safed ho jayegi. Anda aur dahi ko ek saath mila lijiye. Usme kuch bunde shahad ki milaiye. Iss pack ko apne chehre aur gardan par lagaiye. Ise week me kam se kam 3 bar jarur kijiye.

Sun Tanning Hataye

Egg Face Pack ki baat kare to yeh bhaut hi accha pack hai jo ki doop se huye kali skin ko hamesha ke liye khatam kar deta hai. Sun tanning ko hatane ke liye ande aur shahad tatha thodi si malai ko mila lijiye. Fir ise apne chehre par lagaiye tatha sukhne par face ko dho lijiye. Acche result ke liye iss mask ko aap week mai kam se kam 2 bar laga sakte hai.

Egg Face Pack ki Adhik Jankari Janiye Iss Video Ke Jariye

Upar aapne jane ande se bane kuch bemisaal face pack to bas der kis baat ki aaj se inn face pack ka use kare  aur apni khubsoorti ko nikahriye aur hamesha sundar rahiye.

Egg Face Pack se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.

 

Loading...

You may also like...