Erectile Dysfunction: Stambhan Dosh ka Treatment aur Causes
Purusho ke liye Erectile Dysfunction hona ek tanav mai daal dene wali stithi hoti hai. Bedroom mai ghuste hi agar aap iss baat ko soch kar tanav mai aa jate hai ki kya aaj aap apni partner ko khushi de payege to samajhiye ki jaldi hi aapko kisi doctor ki salah leni chahiye.
Santosh janak sambhog ke liye lagatar paryapt erection na hone ko ed (erectile dysfunction) kaha jata hai. Agar yeh ek ya do baar ho to chintajanak baat nahi hai, lekin agar yeh roj hi hone lage to aapko sachet ho jana chahiye.
Iss bimari ke bai karan ho sakte hai. Jese mansik dabav aur avasad, sharab/drugs ka nasha, smoking, Motapa, madhumeha, heart disease, penis mai rakt ka pravah kam hona ya ucch rakt chap aadi.
Isliye ed ka karan janana bahut jaruri hai, tabhi aap khud ko bed par puri tarah se atmavishvaas se bhara payege. To aaiye aaj jante hai Erectile Dysfunction Treatment in Hindi aur iske causes.
Erectile Dysfunction Causes: Janiye Iski Khaas Wajah
-
Smoking:
Smoking, iska sabse bada karan hai. Isse sharir mai thik tarah se blood circulation nahi hota hai. Jiski wajah se aap bed par thik tarah se perform nahi kar pate hai.
-
Accident:
Yadi aapke saath kisi prakar ki durghatna ho gayi hai jisse aapki dhamniyo ya naso ko nuksaan pahucha hai aur aapke private part tak khoon ka pravah sahi tarika se na huya ho to bhi aap ed se bahut prabhavit ho sakte hai.
-
Medicine:
Aisi dawaiya jo high BP ya tanav dur karne ke liye khai jati hai, wah aapki bed life ke liye acchi nahi mani jati hai.
-
Tanav:
Depression, anxiety ya stress aadi purusho ke liye khatarnak mane jate hai. Yeh dhire-dhire bimari failate hai, isliye inhe dur karne ke liye vyayam aur meditation karna chahiye.
-
Sharab:
Jyada sharab pine ki wajah se khoon ki dhamniyo mai khoon ka doura kam hota hai jisse ling tak khoon ki supply utni nahi ho pati jitni honi jaruri hai. Aise mai insaan napunsak ho jata hai.
You may also like:- Benefits of Quitting Alcohol: Sharab Chodne ke Gharelu Nuskhe
-
Motapa:
Isse direct asar ling par padta hai aur male hormone ka production dhima pad jata hai. Isliye din mai kariban 45 minutes jarur vyayam kare aur motapa ghata kar blood circulation badhaye.
-
High Cholestrol:
Jab dhamniya puri tarah se block ho jayegi to khoon ki supply dhimi pad jayegi. Jisse private part par asar padne lagega.
-
Umra Badna Bhi Ek Karan:
Age badne ke saath hi youn iccha mai kami hone lagti hai. Jo purush sahawas karne ki iccha nahi rakhte ya phir jinhe uttejana hi nahi hoti, wah napunsak hote hai. Wahi dusri aur jo purush uttejit hote hai lekin ghabrahat ke karan jaldi hi shant ho jate hai, wah anshik napunsak hote hai.
-
Madhumeha:
Swasth khoon ki dhamniya, testosterone ka level, swasth tantikaye aur acche mood ke hone se hi youn such prapt hota hai. Lekin madhumeha ke karn se khoon ki dhamniya aur tantrikaye par bura asar padta hai, jisse yeh samasya paida hoti hai.
-
Atherosclerosis:
Jab dhamniya block ho jati hai aur khoon ki supply sharir ke jaruri bhaago mai thik tarah se nahi pahuch pati hai to kaam band hone lagte hai. Yeh chiz private part ke liye bhi lagu hota hai.
Erectile Dysfunction Treatment in Hindi: Stambhan Dosh ka Gharelu Ilaj
Inn dino purusho mai stambhan dosh ki samasya aam hoti ja rahi hai. Ise dur karne ke liye log Viagra aadi goliyo ka sahar lete hai. Iss bare mai experts ka kehna hai ki iss prakar ki dawaiyo se aapko stronger aur lasting erection prapt ho jata hai lekin iske alawa bhi kai anya tarika hai jinse aap ed ke dosh ko dur kar sakta hai.
Aaiye jante hai Erectile Dysfunction Treatment in Hindi aur karte hai iss samasya ko dur, taki aap apne jivan saathi ko khushi de sake.
You may also like:- Sex Tips in Hindi: Happy Sexually Relationship ka Raaj
-
Black Berry:
Black berry ek prakar ka dark fruit hota hai jise bhaari matra mai anthocyanins aur ultra power anti-oxidants hote hai, isse Napunsakta ka dosh dur hota hai. Har raat ko sone se pehle ejk cup black berry khakar sona chahiye, isse aapki sex life swasth hogi.
-
Dark Chocolate:
Dark chocolate ek aphrodisiac food mana jata hai jisme bharpur urja hoti hai. Intercourse se ke ghante phele dark chocolate khane se jyada urja milti hai.
-
Anar:
Anar ke juice mai bahut takat hoti hai, jo purusho mai erection ki kshamta ko badata hai aur unke ed ke dosh ko dur karta hai. Ek cup juice se hi purush mai bahut shakti aa sakti hai.
-
Acupuncture:
Aisa kaha jata hai ki purusho mai stambhan dosh ki samasya, unki psychology par nirbhar hoti hai jise acupuncture treatment se dur kiya ja sakta hai. Yeh vidhi sakaratmak roop se kaam karti hai aur isse erection mai laabh hota hai.
-
Lahsun:
Lahsun mai allicin namak compound hota hai jo sharir mai purusho ke jannango tak rakt ka pravah karta hai. Pratidin iska sevan karne se purush ki kshamta mai sakaratmak vraddhi hoti hai aur isse unhe swasth laabh milta hai.
-
Vyayam:
Har purush ho har din vyayam avashya karna chahiye. Isse unki erection ki kshamta mai vraddhi hoti hai aur iss samasya se chutakara milta hai.
-
Khan-Paan Par Dhayn De:
Agar kisi purush ko erectile dysfunction ki samasya hai to use apne khan paan par vishesh dhyan dena chahiye. Aise foods khane chahiye, jo sharir ko takat de aur usme urja bhar de, taki unhe reproductive orgon mai blood ka flow acchi tarah se ho sake.
Upar aapne jane Erectile Dysfunction Treatment in Hindi aur uske causes. To agar aap bhi aisi koi samasya se pareshan hai to apnaiye inn upchar ko aur kijiye iss samasya ko khatam. Isse aapko kafi had tak aaram milega.