Exercise During Period, Masik Dharm mai Vyayam
Vese to mahila ke jivan mai vyayam ko bahut aham bhumika di jati hai. Expert ka kahna hai ki, mahila chahe ghar par rahe ya kaam kazi ho, unhe exercise ko apni dincharya ka mukhaye hissa banana chahiye.
Par mahilao ke saath ek sabse badhi pareshani hai , vo hai masik dharm. Jisme uhe bahut si preshaniyo ka samna karna hota hai. Par aise mai unhe exercise karna bhi bahut jaruri hota hai. Jis ke liye chahiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Exercise During Period.
Bahut se study se yeh baat samne aai hai ki period ke dino mai workout karne se dard aur anye samsaya mai kami aati hai. Jab ki kuch log mante hai ki, period ke dino mai aaram karna chahiye.
Vese kisi –kisi mahila ko inn dino bahut jyada problem ka samna karna hota hai. Saath hi dard body ke kisi bhi part mai hona bahut samanaye hota hai. Bas har mahila ko in dino samasya ka samna alag alag tarike se karna padta hai.
Bahut se expert ka kahna hota hai ki, period ke dino mai aaram karna chahiye, kyoki inn dino mai sharir ko bahut jaldi nuksaan pahuchane hai.Vahi expert kahte hai ki, iss douran aapne sharir ki isthiti ke according aap vyayam kar sakte hai.
Jintne log utni baate. Lekin period ke dino mai pue time bathe nahi rahne chahiye, balki har dino halka-halka workout karna chahiye. Isse sharir ko aaram milta hai. Bas dhyan rahe ki, inn dino mai kiye jane vala halka workoutbahut halk hona chahiye. To chaliye janiye, Period ke dino mai kiye jane vale workout ke baare ke baar mai.
Exercise During Period, Masik Dharm mai Sahi Vyayam ke Dwara Paiye Acchi Sehat
Yoga
Period ke dino mai yoga sabse accha option hota hai. Isse aapka pet sahi rahta hai. Medical field mai bhi yoga ko inn dino mai sahi mana jata hai. Lekin inn dino kuch khas prakaar ke hi yoga karne chahiye, taki aapke pet par jyada bal na pade. Yoga ki sahi position karne se relax milta hai.
You may also like:- Baba Ramdev Yoga Tips se Rakhe Apni Health ka Khayal
Tahlna
Exercise During Period ki baat kare to walk karna ek sabse accha vyayam mai se ek hai. Expert bhi mante hai ki period ke dino mai bahut heavy workout karna khatrnak hota hai. Inn dino mai sharir aur khaskar pet ke hisse ka vishesh khayal rakhan hota hai. Lekin in dino aap walk karke apni extra calorie burn kar sakte. Isse sharir mai isfhurti bhi aa jaygi aur aapko behtar lagega.
Jogging
Agar aap menstrual period ke dino mai comfortable rahti hai, to subah ke samay jogging par ja rahe hai. Isse aapko in dino mai hone vale dard mai aaram milega. Lekin inn dino mai jyaad tezi se na dore. Saath jogging ke douran thoda-thoda pani pite rahe. Isse aapki body mai name bani rahegi.
Aerobics
Jab ap period mai ho, to thoda paglpan bhi jaruri hai. Inn cary hone se mazaa aata hai. Aerobics karne se body mai jan aati hai aur mazaa aata hai.
You may also like:- Aerobic Exercise, Jo De Healthy Life aur Good Personality
Exercise During Period, Masik Dharm ki Pareshani se Bachne ke Samadhan
Dancing
Peride ke douran tradition dance nahi, par thoda halka fulka dance karna shuru kar do.Isse body mai movement aayege. Aapka heart rate accha hoga aur calories bhi burn ho jayegi. Dance ek acchi exercise hoti hai. Dance karne se period ke dino mai thoda motivation bhi milta hai. Sham ke samay aisa karne se aapko hone vali uljhan bhi dur hogi aur aap swsath rahenge.
Planking
Jab aapki date chal rahi hai, to aap sabhi ladkiya movie dekhna chahti hai. Aise mai aap commercial aane par kuch special position mai beth sakte hai. Isse aapko dard mai aarma milega.
Floor Par Bethe
Apni bhujaye upar le jaye aur apna seena upar ki aur kare. Apni body ko pairo ke panjo ke sahare uthaye aur khud ko balance kare. Yeh workout karne se aapko period ke dino mai bahut aaram aur rahat milegi.
Upar aapne jana, Exercise During Period. To bas aaj se hi pne jivan ke inn kathin dino mai in exercise ko apniye aur hamesha swasth rahiye. Saath hi inn dino mai hone vale sabhi praakar ke samasya se bhi chutkara paiye.
Bas dhyan rahe ki inn vyayam ko sahi tarike se kare. Jarurat se jyada vyayam na kare aur apne aahar mai poshak tatav ki bharpur matra lijiye. Saath ho sake to kisi expert ki salah jarur lijiye aur apne pareshani bhare dino ka acche se samna kijiye.
Menstruation Period se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.