Face Hair Removal Tips in Hindi, Unchahe Baalo Ko Hataiye
Mahilao ki sundarta par koi daag aaye unhe yeh bilkul bhi pasand nahi hai. Khass kar agar chehre par baal ho to unhe chinta ho jati hai. Unke samne yeh bahut badi problem hoti hai. Lekin aap pareshan na ho, hum aapko batate hai, Face Hair Removal Tips.
Mahilae sochti hai ki agar chehre se baal hatane hai to unke pass bleach hi ek option hai. Par har samay bleach karne se chehre aur tawcha par galat asar padta hai. Sundar aur daag rahit twacha aur chehre se baal hatane ke liye padiye Gharelu Upchar.
Face Hair Removal Tips, In Gharelu Upchar se Hataiye Chehre ke Baal
You may also like:- Makeup Allergy se Bachne ke Aasan Tarike
Sugar aur Lemon
Sugar pani aur lemon juice se bana scrub face par apply kijiye. Isse aapki skin ka color bhi saaf hoga aur aapke chehre par moujud unchahe baal nikal jayenge. Is scrub ko aap body ke dusre part par bhi apply kar sakte hai.
Samagri
- 2 Chammach sugar
- 10 Chammach pani
- 2 Chammach nimbu ka ras
- 1 Chhota katori
Vidhi
- Sugar aur pani ko bowl me le lijiye
- Ab isme lemon juice daal kar mix kijiye.
- Is paste ko apne chehre par lagaiye. Bas dhyan rahe ki is paste ko chehre par baal ki direction me hi lagaye.
- Phir 15 se 20 minutes ke liye is laga rahne de.
- Ise sukhne par rub karke chehre se hataye aur thande pani se muh dhole.
- Is process ko week me teen baar jarur kare.
Sugar, Honey aur Nimbu Ka Ras
Sugar, honey aur nimbu Ka ras yeh ek bahut acchi home remedy hai jo ki aapke chehre se jald hi unchahe baalo ko hatata hai. Yeh aapke haatho aur pairo ke baalo ko hatane ke liye bhi bahut effective process hai.
Samagri
- 1 Chammach sugar
- 1 Chammch nimbu ka ras
- 1 Chammach honey
- 2 Chammach Pani
- Kapde ka tukda aur waxing strip
- Waxing ka chaku
Vidhi
- Bowl me sugar, lemon tatha honey ko mix kar le.
- Phir is mishran ko garam kijiye aur jab yeh paste thick ho jaye tab tak ise garam kijiye.
- Ab is paste ko apne chehre par lagaiye, phir iss par waxing strip ko rakh kar acche se chipka lijiye aur 2 minutes ke baad ise khich lijiye.
- Jab bhi aap ko chehre par baal dikhe aap is process ko kar sakte hai.
Besan , Dudh, Haldi aur Malai
Besan , dudh, haldi and malai se bana hair removal paste bahut hi asardaar hota hai jo ki aapko bahut acche result deta hai. Isse aapka color bhi fair hota hai. Saath hi skin smooth bhi ban jati hai.
Samagri
- 1/2 Cup besan
- 1/2 cup Dudh
- 1 chammach haldi powder
- 1 chammach malai
Vidhi
- Ek bowl me besan aur dudh ko mix kijiye. Jab yeh aache se mix ho jaye to isme haldi powder milaiye.
- Phir fresh malai mix kijiye. Ab is paste ko apne pure chehre par lagaiye
- 5 minute ke liye is mask ko sukhane de phir isko ragad ke chehre se chuda le. Bas dhyan rahe ki jab aap rubbing kare to baalo ke opposite direction me kare.
Aalu, Peeli Dal, Lemon Juice aur Honey
Aalu, peeli Dal, lemon Juice aur honey bahut acche Face Hair Removal me aate hai. Isse aapke chehre ke baal jad se khatam ho jate hai. Saath hi aapke face par ronak bani rahti hai.
Samagri
- 4 Chammach lemon juice
- 1 Chammcah honey
- 4 Chammch patato juice
- 5 Chammch peeli dal(gali huye)
Vidhi
- Ek katori le usme aalu ka ras aur lemon juice aur honey ko mila lijiye.
- Phir gali huye dal ko aache se pis kar is paste me mix kar lijiye.
- Jab yeh ek accha thick paste ban jaye to ise apne chehre par lagaiye iske sukhne par rub kar ke hata dijiye.
Besan Haldi aur Sarso ka Tel
Besan aur haldi tatha sarso se bana face mask aapko skin infection se bhi bachata hai. Yeh bahut hi effective aur natural tarika hai unchahe baalo ko hatane ka.
Samagri
- 1 Badi chammach besan
- 1 Chammach haldi
- 1 Chammach sarso ka tel
Vidhi
- Ek bowl lijiye issme haldi aur besan ko le kar mix kijiye.
- Jab yeh dono powder acche se mix ho jaye to isme sarso ka tel mix kijiye.
- Is paste ko apne chehre par lagaiye aur 15 minuet ke baad ise hata dijiye.
- Is mask ko week me 2 bar jarur lagaiye. Isse aapko bahut jaldi result milenge.
Haldi Powder, Namak aur Nimbu
Haldi powder namak aur nimbu ka ras ye teeno samagri se bana paste aapke chehre ke baalo ko hatane ke saath-saath aapke chehre se daag dhabbe bhi khatam kar deta hai.
Samagri
- 1 Chammach haldi powder
- 1/2 Chammcah namak
- 1/2 Chammach nimbu ka ras
Vidhi
- Ek bowl me haldi powder aur namak ko acche se mila le.
- Phir isme nimbu ka ras daal kar kuch samay ke liye rakh dijiye.
- Ab is paste ko apne chehre par laga kar 5 minutes tak massage kijiye.
- Isse aapke chehre ke baal gayab ho jayenge aur apaka face fair aur clean ho jayega.
Sugar Aur Pani
Face Hair Removal Tips ki baat kare to sugar ek mukhye bhumika nibhata hai. Sugar chehre se dead skin ko nikalti hai. Yeh aapke face ke liye har prakaar se faydemnad hoti hai.
Samagri
- 2 Chammach Sugar
- Pani (aapke anusaar)
Vidhi
- Apne chehre ko pani se gila kar lijiye.
- Phir face par chini laga kar ragdiye. Isse aapke chehre ke pure baal khatam ho jaynge.
- Ise aap week me teen bar kar sakte hai.
Ande ka Safed Bhag
Anda aapko na sirf swasth laabh deta hai, balki yeh aapke skin ke liye bhi bahut faydemand hota hai.
Samagri
- 1 Katori Ande ka Safed bhag
- 1 Chammach chini
- Chammach Cornflour
Vidhi
- Ande ke safed bhag ko lekar use aache se fait lijiye.
- Ab is me chini aur cornflour ko milaiye.
- Is paste se apne chehre par 15 minute ke liye massage kijiye uske baad kuch minutes ke liye is paste ko face par laga rahne dijiye.
- Phir thande pani se muh dho lijiye. Is process ko aap week me teen bar kar sakte hai.
Upar aapne jane Face Hair Removal Tips. To bas der kis baat ki.Iin tariko se aap assani se apne chehre ko unchahe baalo se bacha kar sundar dikh sakte hai.
Get more details about Face Hair Removal from Beauty Tips in Hindi.