Face Pack for Oily Skin: Teliya Twacha Se Paye Nijat
Har ladki chahti hai ki wo din bhar fresh dikhe. Lekin jin ladkiyo ki twacha teliya hoti hai unke liye jyada der fresh dikhna possible nahi ho pata hai. Unn logo ki twacha hamesha sust aur chipchipi dikhne lagti hai. Jin logo ki twacha teliya hoti hai unhe pimples ki bhi bahut samasya hoti hai.
Darahsal hamari twacha mai tel granthiya hoti hai, jo twacha ko nami dene ke liye tel ka nirman karti hai. Parantu jab yeh granthi jayda sakriya ho jati hai tab tel chehre par dikhne lagta hai aur humari twacha bahut teliya ho jati hai.
Garmiyo mai yeh pareshani jyada badh jati hai kyoki garmiyo mai sebaceous granthiya jayda sakriya ho jati hai. Jiske karan bar bar muh dhone ke bad bhi teliya twacha najar aati hai. Teliya twacha hone ke piche ka ek karan hormonal badlav bhi hai.
Aaj hum aapko Face Pack for Oily Skin ke bare mai bata rahe hai. Inn mask ko lagane se aapko teliya twacha se chutkara mil jayega aur aapka chehra hamesha khila khila rahega.
Face Pack for Oily Skin: Chipchipi Twacha Ko Kahe Gudbye
Teliya twacha par badti umra ke lakshan jaldi dikhai dete hai. Aesi twacha par muhase bhi jaldi hote hai. Darahsal jin logo ki twacha teliye hoti hai unke rom chhidra bade aur khule hote hai jinke karan unme dhul mitti jati hai. Natijan twacha par blackheads aur muhase najar aane lagte hai. Isse nijat pane ke liye aaiye jante hai kuch Face Pack in Hindi.
Sabse Faydemand Nimbu
Kai sare face pack ko banane ke liye nimbu ka istemal kiya jata hai kyuki nimbu mai citric acid paya jata hai jisse chehre ki gandgi, dead skin, aur tel ko aasani se hataya ja sakta hai.
Iska face pack banane ke liye nimbu ke ras mai gulab jal aur pudina ko piskar mila de tatha iss paste ko 1 ghante ke liye rakh de aur fir chehre par laga ke 20 minute bad chehra dho le. Isse facepack se aapke chehre ka chipchipan dur ho jayega. Acche parinam ke liye aap ise rojana laga sakte hai.
Santre Ka Mask
Santre ke chhilke ya fir santre ke ras se bhi aap face pack bana sakte hai. Iske liye sabse pehle to aap santre ke chhilke ko sukha le aur fir mixer mai peeskar powder bana le.
Santre mai bhi Vitamin C ki bharpur matra hoti hai. Yeh aapki twacha ki rangat nikharne ke liye chehre se tel hatane mai madad karta hai. Iska face pack banane ke liye santre ke ras ya powder mai ek chammach shahad aur gulabjal milakar paste bana le aur ise chehre aur gardan par lagaye. Sukhne ke bad gungune pani se chehra aur gardan dho le.
You may also like:- Beauty Tips for Oily Skin: Aese Kare Teliya Twacha Ki Dekhbal
Kela Se Bana Hua Face Mask
Kela aapki twacha se tel hatane ke liye bahut asardar hota hai. Iska prayog karne ke liye pake huye kele ko mash kar le aur usme 1 chammach shahad aur 1 chammach nimbu ka ras milaye. Ab tino mishran ko acche se mash karke paste bana le.
Iss paste ko twacha par lagakar sukhne de aur gungune pani se chehre aur gardan ko dho le. Aesa karne se teliya twacha se nijat mil jayega.
Twacha Mai Kasawat Lane Ke Liye Multani Mitti
Multani mitti chehre ke liye bahut acchi hoti hai. Isko lagane se twacha mai kasawat aati hai. Multani mitti mai besan aur dahi sabhi ko milakar paste taiyar kar le aur ise chehre aur gardan par acche se laga le.
Kuch der rakhne ke baad chehra dho le. Isse aapko teliya twacha se chutkara mil jayega. Multani mitti se twacha chikni bhi hoti hai.
Strawberry aur Blueberry
Strawberry aur blueberry teliya twacha ko hatane ke liye bahut faydemand upchar hai. Kuch strawberry aur blueberry ko lekar ek sath mash kar le aur usme 1 chammach nimbu ka ras milaye.
Ab iss paste ko chehre par 20 minute tak laga kar rakhe. Iske bad chehre ko thande pani se dho le. Iss pack se teliya twacha se to chutkara milaga sath hi chehre ki jhurriya aur badti hui umra tham si jayegi.
Kheera Kakdi
Teliya twacha se nijat pane ke liye kheera kakdi bhi aacha viklap hai. Iske istemal se aankho ke niche ke kale ghere, chehre ke dag dhabbe aur teliya twacha nahi rehti.
- Iska prayog karne ke liye kheera kakdi ke ras mai thoda sa nimbu ka ras aur ek chutkibhar haldi sab kuch acche se mila le, tatha chehre par laga kar 15 minute bad thande pani se dho le.
- Iske alawa isme tarbuj ka ras, dahi, ya fir milk powder bhi mila sakte hai. Tarbuj aapke chehre ki twacha se tel hatata hai aur dahi chehre ki twacha mai kasawat lata hai.
Gunkari Chandan Powder
Chandan powder mai healing aur soothing ke pramukh gun hote hai. Yeh Fair Skin pane ke liye bhi bahut faydemand hai. Chandan powder mai gulabjal milakar paste bana le aur chehre par lagaye. Isse aapke chere ke kil muhase hat jayenge aur teliya twacha se nijat mil jayegi.
Chawal Ka Aata aur Dahi Ka Mishran
Dahi ka bana pack har tarah ki twacha ke liye faydemand hota hai. Iska mask chehre par lagane se kil muhase dur hote hai aur twacha ki khoi chamak wapis aa jati hai. Iss paste ko banane ke liye chawal ke aate mai dahi milakar acche se mila le aur sukhne ke bad hath se malte huye nikale fir thande pani se chehre ko dho le. Aap khubsurat chamkdar chehra payege.
Tulsi aur Pudina
Jaisa ki aap jante hai tulsi ke kai fayde hai iska sevan karne se kai rog dur hote hai. Usi prakar isse bana hua mask bhi aapki twacha ke liye bahut labhkari hota hai. Tulsi aur pudina ki kuch pattiya lekar ise dahi mai milakar paste taiyar kar le tatha ise chehre aur gardan par lagaye aur kuch der bad thande pani se dho le. Iss pack ko lagane se oily skin se chutkara mil jayega.
You may also like:- Face Scrub for Oily Skin Se Nikhare Roop-Rang
Aloevera Se Bana Pack
Aloevera balo aur chehre ki twacha dono ke liye bahut accha hota hai. Iske gel ko chehre ki twacha par lagane se chehre ki sabhi smasyao se chutkara mil jayega. Yeh sabhi tarah ki twacha ke liye accha hota hai. Yadi aapko tanning ki samsaya hai to isse lagane se wo bhi hat jati hai. Aloevera for Oily Skin bhi bahut faydemand hai.
Besan aur Dahi Twacha Ko Nikhare
Besan aur dahi aapko aasani se aapke ghar mai mil jata hai. Iske liye aapko jyada mashkkat karne ki jarurat nahi padegi aur na hi isme koi mehnat karni padegi. Iss pack ko banane ke liye besan mai dahi milakar paste bana le tatha iss mishran ko chehre par lagaye. Sukhne ke bad ek gile kapde se chehre ko saaf kar le.
Oatmeal aur Shahad
Oatmeal aur shahad se bana hua mask teliya twacha ke liye bahut labhprad hota hai. Isliye oatmeal, shahad aur nimbu ka ras milakar iska paste taiyar kar le aur chehre par 10 minute tak lagaye rakhne ke bad chehra dho le.
Dhyan rakhe ki yeh aapke aankhon ke samprak mai na aaye. Chehre ko halke gungune pani se dhoye. Iss bane huye mishran ke paste ko din mai ek bar lagaye jisse aapko jaldi teliya twacha se nijat mil jaye.
Upar aapne jana Face Pack for Oily Skin. Yadi aap bhi teliya twacha ko lekar pareshan hai to uprokt mask ko try kijiye aur paye fresh nikhar.