बालो को झड़ने से रोके और उन्हें मुलायम बनाये मेथी दाना

Baal jhadan ek aam samasya hai, par fir bhi isko rokane ke liye hum kuch nahi karte hai.Yadi aap apne baalo ki sahi dekhbhal karnege to aap baalo ki iss pareshani se hamesha ke liye aaram pa sakte hai.

To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Fenugreek Seeds for Hair. Vese to aapne baalo ki care ke liye bahut cheezo ka naam suna hoga, lekin in sab me se methi dana bahut faydemand hota hai.

Methi dane mai protein, vitamin C, niacin, potassium, lysine, troyptopan and saponins paya jat hai. Jisse aapke baalo ki complete care hoti hai.

Hume se jane kitne hi log baal jhadne ki samasya se pidit hai. Vese to baal jhadne se rokne ke liye aap ne na jane kitne product ka use kiye hai, lekin sab ke sab ke sab chemical vali product hote hai. Kitne hi tarike hai, jo dava karte hai ki ve aapke baalo ka jhadna band kar denge. Par umne se koi bhi asart nahi karta hai.

Lekin kya aap jante hai ki aap ghar par hi rah kar baal jhanne ki pareshani ko rok sakte hai. Jis mai hum bol sakte hai ki, methi dana bahut fayda karat hai. Agar rusi hai to methi lagane se sar ki khushki kam ho jati hai, Yeh baalo ko mulayam banane aur baalo ke jhadne se rokati hai.

Methi mai ek prakaar ka acid aur protein paya jata  hai, jo baalo ke liye laabhdayak hota hai. Yeh baalo mai majbuti pradaan karta hai aur baalo ko jhadne se rokta hai. Aap chahe to methi ki madad se ghar par hi hair pack bana kar prayog kar sakte hai.

Methi dane ke hair mask banane ke liye koi bhari-bhari samagri lene ki jarurat nahi hai. Bas nimbu , haldi ya dudh ka paryog bhi kar sakte hai.

Bas dhyan rahe ki agar aapke ghar mai kisi ke bhi baal jhad rahe hai ya unhe rusi ki shikayat rahti hai to, aaj se hi methi dana ka use shuru karne ki  salah dijiye.

Fenugreek Seeds for Hair, Baalo ki Asali Khubsoorati Nikharne ke Liye

Fenugreek Seeds for Hair

 Bigi Huye Methi Dana

 Fenugreek Seeds for Hair ki baat kare to iss mask ko bahut aham bhumika di gai hai. Methi ko raat bhar ke liye pani mai bhigo kar rakah de aur subah utkar paste taiyar kar le.Iss paste ko geele baalo mai lagaiye aur 30 minutes ke baad thande pani se apne baalo ko dho lijiye.

 Methi ke Pani se Sar Dhoiye

Methi ko ubale kar thande kar Llijiye. Ab iss pani se apne sar ko dhoiye aur 10 minutes tak iss pani ko apne baalo mai rahne de. Fir sade pani se baalo dho lijiye.

 Nariyal Ka Tel

Aap fenugreek seed ke powder ko nariyal ke tel ke saath mix kar ke sar mai acchi tarah se massage kijiye. Isse rusi gayab ho jayegi aur baal jhadna bhi band ho jayega.

You may also like:- Janiye Benefits of Coconut Oil for Skin in Hindi

Methi Patti aut Dahi

Methi ki patti ko ubale aur use piskar paste taiyar kar lijiye. Iss paste mai dahi mila kar ise apne baalo ki jhad me lagaye. Ise 45 minutes tak aisa hi rahne de aur baad mai thande pani se apne baalo ko dho lijiye. Agar methi ki patti na mile to methi dana ka bhi prayog kar sakte hai.

Methi aur Nimbu

Fenugreek Seeds for Hair mai iss mask naam sabse pahle aata hai. Rusi se mukti pane ke liye aap nimbu aur dahi ko milkar usme methi powder daal kar pste bna lijiye. Ab iss paste ko apne baalo mai lagaiye aur 20 minutes ke baad aapne baalo ko thande pani se dho lijiye isse aapke baalo ki majbhuti ke saath unme chamka bhi aayegi.

You may also like:- Health Benefits of Lemon – Janiye Nimbu ke Anmol Fayde

Methi aur Dudh

Methi ko pis kar uska powder bana le aur isme dudh mila kar acche se paste bana lijiye. Ab is mishran ko baalo par lagaiye aur baalo ke jhadne  ki problem se hamesha ke liye mukti paiye. Agar aapke baal bahut jayad jhad rahe hai, to aap iss parayog  ka week mai kam se kam 2 baar jarur kijiye. Jisse aapko bahut acch result milenge.

Janiye Fenugreek Seeds for Hair Dwara Baalo ki Samasya se Chutkara

Methi for HairMethi Dana aur Amla

Aap chahe to sukha ya pisa huya taza amla pis kar  powder bana kar rakh sakte hai. Is mask ko banane ke liye amla aur methi dana ka powder dono ko aache se mila kar paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne baalo mai lagiye tatha 30 minutes ke baad apne baalo ko dho lijiye. Ise aapke baal bahut khubsoorat ban jayege. Saath hi aapke baalo har parkaae ki samasya bhi khatam ho jayegi.

You may also like:- Amla Benefits in Hindi: Is Fhal Me Chupe Hai Dhero Laabh

Olive Oil

Raat bhar ke liye methi dana ko garm pani mai bhigo dijiye, fir subah utkar ise pis lijiye. Ab iss paste mai olive oil mila kar aache se mix karne ke baad iss apne baalo mai lagaiye. Tatha aadha ghante ke baad apne baalo ko dho lijiye. Yeh bahut hi aacha upaye hai, jo aapke baalo ko natural tarike se sundarta pradaan karta hai.

Upar aapne jana Fenugreek Seeds for Hair. To bas der kis baat ki aaj se hi inn hair mask ko laga kar apne baalo ki har prakaar ki pareshani se chutakar paiye aur hamesha ke liye sundar dikhiye.

Methi for Hair se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Beauty Tips in Hindi

Loading...

You may also like...