Health Benefits of Lemon – Janiye Nimbu ke Anmol Fayde

Lemon ek versatile fruit hai, kyuki iske dhero laabh hai. Ye sirf health ke liye hi nahi balki ghar ki saaf safai me bhi bahut important role play karta hai, ye kai tarah ki chizo ki care karne me help karta hai.

Lemon ka use kai tarah ki dishes ka taste badane ke liye bhi kiya jata hai. Ye salad me bhi sabse important hota hai. Aaiye aaj hum jante hai kuch aise Health Benefits of Lemon jo shayad aapne kabhi sune nahi honge.

Nimbu se Swasthya ko Milne Wale Bemisal Fayde

Lemon trees pure world me cultivate kiye jate hai, kyuki swasthya ke liye iske laabh anmol hai.

You may also like:- Benefits of Coconut Water – Nariyal Pani ke Swastyavardhak Fayde

Weight Loss

Agar aap roz subah khali pet ek gilas gunguna nimbu pani piyenge, to ye aapke extra fats ko release karne me madad karega. Aap chahe to nimbu pani me taste badane ke liye shahad bhi mila sakte hai.

Acidity

Nimbu me mojud poshak tatwa paye jate hai. Isse acidity ki samasya ke liye behatreen banate hai. Agar acidity ke karan aapke pet me dard hai, to half gilas nimbu pani banaye aur usme half spoon baking soda milaye. Ye turant aapko aaram dega.

Immune System

Lemon ka Antioxidant Vitamin C sharir ko kai germs se ladne ki shakti deta hai. Especially thand ke dino me iska sevan aapko cold aur flu jesi bimariyo se dur rakhega aur aapke immune system ko strong banayega.

Cancer

Lemon juice body me free radical form nahi hone deta, jo cancer ki cause ka sabse bada karan hai. Isiliye har age group ke logo ko ise apni diet me include jarur karna chahiye.

Health Benefits of Lemon

Teeth

Aapke teeth ki acche se safai karne ke liye lemon bahut important hai. Ye daato ko naturally white rakhta hai aur gums ko bhi strong banata hai. Agar aap nimbu pani se gargling karte hai to ye muh ki badabu ko bhi dur karta hai.

Skin

Lemons me vitamin C ki bharpur matra hoti hai, jo skin ke liye bahut hi jaruri hai. Ye Vitamin C skin ko glowing aur younger banaye rakhne me madad karta hai.

Isme natural bleaching agent hota hai isliye iska regular use aapki skin ko aur bhi fair bana sakta hai.

Acne

Lemon me mojud anti bacterial goon ise sabse accha cleanser banate hai. Agar aap pimples se pareshan hai to apne face pe roz 5 minute tak lemon juice lagakar rakhe, ye aapki pimples ki samasya dur kar sakta hai.

Hair

Baalo ke liye nimbu ke istemal se kai fayde hai. Sabse pehle to ye dandruff ki samasya ko khatam karta hai, jiske karan aapki hair loss ki pareshani bhi khatam ho jati hai. Ye baalo ko nayi shine deta hai aur unko majbut bhi banata hai.

Ye to sirf Health Benefits of Lemon hi the, inke alawa bhi lemon ke kai fayde hai. To ab se nimbu ko apni diet me jarur shamil kare aur apne sharir ko hamesha swasthya rakhe.

Get more update about Health Benefits of Lemon from Food.

Loading...

You may also like...