Fertility Treatments: Prajann Kshamta se Judi Khaas Baate

Kai bar acche swasth hone ke baad bhi garbh dharan karne me dhero mushkil hoti hai. Agar aap bhi aisi hi problem se grasit hai to chaliye aaj hum aapko is artical ke jariye Fertility Treatments ke bare me sahi jankari dete hai.

Ek Swasth bacche ki chah har kisi couple ko hoti hai. Aaj kal dekha gaya hai ki bahut si mahilaye aur purush dono hi infertility ka shikar hote ja rahe hai. Bahut si bar to dekha gaya hai ki sahi jankari na hone ke karan ve log iss problem me ghir jate hai.

Swasth bacche ko janm dene ke liye mahila aur purush dono ka swasth rahna bahut jaruri hai. Lekin kabhi bhi acche swasth hone ke baujud bhi sahi samay par garbhdharan karna thoda kathin ho jata hai. Aapki soch ke bahar bhut se aise causes hai, jo ki aapki prajann kshamta ko prabhavit karte hai.

Isliye agar aap bhi garbhvati hone ki koshish me nakamyab ho rahi hai, to yaha diye karako ki help se aap jaan sakti hai ki aapki jivanshaili se privartan aapki hone karan hi prajann Kkhamta weak banati hai.

Fertility Treatments ke Liye Bache in 10 Baato se

Artificial Night Time Light

• Raat me Smartphone ya tablet par taktaki lagana bura hai, lekin yeh aadat sirf aapki neend chakra ko hi prabhit nahi karti balki isse aapki health par bhi bahut se nuksaan hai.
• Journal of Fertility and sterility me published ek study ke anusar, artificial night time light garbh dharn ki kshamta aur embryo ke vikaas dono ko nuksaan pahuchati hai.
• Yeh light “sleep hormone” Melatonin ke utpadan ko daba deti hai, jo ki ovulation ke douran prajann padarth ko aur ando ko hanikarak kandho se block kar deta hai.
• Apryapt melatonin utpadan vikaas sheel embryo ko bandhit kar sakta hai.

You may also like: Male Infertility: Napunsak Hone ke Karan aur Lakshan

Jack fruit

Fertility Treatments me sabse pahli baat aati hai ki aap kesa aahar kha rahe hai. To Agar aap sahi poshak tatva (Monounsaturated fat, zinc, Vitamin D, and B6) ka sevan nahi karte hai. To aapka sharir progesterone, insulin, and testosterone jese mahavpurna prajann harmone ke regulation me badha pahucha sakte hai. Isliye apne aahar me in sab cheezo ko shamil kare.
• Clinical Science me published researcher ke anusar daily calories me se aadhi calories prajann kshamta ki vraddhi kar sakte hai.

Aapka aur Apke Partner ka Cholesterol

Journal of Endocrinology aur Metabolism ke anusar, high cholesterol dil ke saath-saath garbh dharan ki kshamta par bhi negative asar dalte hai. Researcher ke according, purush aur mahilao me high cholesterol, general cholesterol ke istar ke saath jodo kit tulna me, prajann kshamta ko adhik prabhavit karte hai.
• Isliye agar aapne ghar me teesre vyakti ki aane ki umeed kar rahe hai to dono ke cholesterol ke istar ka checkup karvana chahiye.

Fertility Treatments

Fertility: Prajann Kshamta ko Badana Hai to Dur Rahe inn Cheezo se

Lubricant

• Ji ha, yeh tarika aapke sex ko adhik majedar aur aaramdayak bana sakta hai. Lekin yeh lubricant
grabh dharan ko chunoti de sakte hai.
• Kuch lubricant vastav me sperm ko prabhavit karte hai. Isliye agar aap sambhog ke time dry mahsoos karte hai to sperm ke anukul lubriucant ka istemal kare lekin in ka use limit me hi kare.

You may also like: Female Infertility: Banjh Pan ke Causes, Signs aur Treatment

Uterine Polyps or Fibroids

• Uterine polyps aamtor par chhote round ya oval aakar ke hote hai, jo ki adhik badne vala endometrial tissue hai, jo ki garbhashaya ki deewar se attached rahta hai
• Iski growth vastav me causes of Infertility hai. Lekin Uterine polyps or fibroids se judi pareshani ko surgery ke dwara theek kiya ja sakta hai.

Folic Acid Deficiency

• Garbh dharan me folic acid bahut helpful hota hai. Aapka sharir lalrakt koshikao ko banane ke liye b complex vitamins ka use karta hai. Folic acid deficiency ke karan infertility ki problem hoti hai.
• Maa banane ki iccha rakhane vali mahilao tatha pahli timahi vali garbhvati mahilao ke liye pratidin 4 kilogram folic acid ke sevan ki salah di jati hai. Saath hi unhe aur folate se paripunrna aahar khana chahiye.

Tanav

Journal Human Reproduction me published ek study ke anusar high level ke tanav ko Infertility ke ucch istar ke saath juda hua paya gaya hai.
• Researcher ne paya hai ki mahilao me uchh istar par alpha-amylase garbhavastha ke avsar ko lagbhag 29% tak kam kar deti hai. Isliye aapka tanav ko dur karne ke upyog ko apnana chahiye.

Oral Health me Disturbances

Journal of Periodontology me ek study me paya hai, ki kisi bhi vyakti ka oral swasth uski prajann safalta se sambandhit hota hai. American Academy of Periodontology ke DDS Susan Karabin ke anusar, jin mahilao ke masude se khoon aane aur sujan ki problem jyada hoti hai. Unko Fertility Treatment ki avshaykat anye mahilao ki comparison me jyada hoti hai.
• Isliye apne danto ke swasth ke liye har 6 month me ek bar doctor ke paas jarur jaye.

Smoking

American Society for Reproductive Medicine me smoking infertility ke lagbhag 13 % mamalo ke saath juda huya paya hai.
• Iske alava, tambako control par hue ek research according, jo mahilaye ek din me lagbhag 6 ya usse adhik ghante tak dhuye me rahti hai, unme dusri mahilao ki comparison me infertility ki sambhavna 36% adhik hoti hai.
• Isliye swasth garbh ki chah rakhne vale logo ko smoking chod dena chahiye.

Hormone Imbalance

• Yeh to hum sabhi jante hai ki thyroid ka unbalance hone se aapki prajann kshamta prabhavit hoti hai.
• Kyoki thyroid hormone me changes jisme se ek hyper aur dusra hypothyroid- ovulation me intervention karta hai. Lekin is problem ko dawa ke use karke theek kiya ja sakta hai.

Upar aapne jana ki Fertility Treatments ke liye hume kin-kin cheezo se dur rahna chahiye. To bas agar aap bhi garbh dharan ka soch rahi hai to upar diye gaye karano se bache aur tatha swasth garbh dharan karke swasth rahe.

Get more updates about Fertility from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...