Jane Benefits of Green Vegetables in Hindi aur Rahiye Swasth
Hari sabjiyo ko khane ke kai fayde hote hai. Ise khane se sharir ka uchit vikas hota hai aur acche swasth ke liye bhi yeh bahut faydemand hoti hai. Hari sabjiyo ke sevan se sharir mai chusti furti aati hai aur bimariyo se ladne mai bhi sharir ko madad milti hai.
Hari sabjiyo mai bharpur matra mai protein, vitamin aur mineral hota hai, jisse sharir ki rog pratirodhak kshamta badhti hai. Lekin aajkal ke modern diet chart mai hari sabjiyo ko itna mahatva nahi reh gaya jaisa pehle hua karta tha.
Aajkal ke baccho ko fast food jyada accha lagta hai. Fast food ke accha roop aur swad ke karan bacche hari sabjiyo ko nahi khate hai. Lekin tana bhuna khane ki wajeh se unke sharir mai poshak tatvo ki kami ho jati hai jisse kai prakar ki bimariya aur rog unhe gher lete hai.
Hari sabjiyo mai aese kai tatv mojud hote hai jo ki hamare swasth ke liye faydemand hote hai. Yeh hamare sharir aur swasth ka acche tarah se khayal rakhti hai. Isse sharir ka viaks sahi hota hai, chehre par chamak aati hai, aankho ki roshni badti hai. Isliye ham aapko Benefits of Green Vegetables in Hindi ke bare mai bata rahe hai, jisse aap inhe apne aahar mai shamil kar bahut sare fayde paa sakte hai.
Green Vegetables Benefits: Hari Sabjiya Khane Ke Swasth Labh
Sabjiyo mai chlorophyll namak rasaynik tatva upasthit hota hai, isi wajah se unka rang hara hota hai. Chloro ka arth hota hai ‘Hara’ aur phyl ka arth hota hai ‘Patti’. Suraj ki karne jab bhi pattiyo par padti hai tab chlorophyll, carbondioxide mai badal jata hai. Aur isi prakriya se ped podho ka vikash hota hai. Aur carbon dioxide gas ka nirman hota hai.
Iss prakriya ke douran oxyzen bhi utpanna hoti hai jo ki hamare sharir ke liye bahut hi upyogi hota hai. Hari sabjiyo mai palak, methi, gobhi aur bhi kai sabjiya shamil hai, jise khane se kai swasth labh milte hai, janiye yaha.
Haddiya Majbut Banaye
Hari sabjiyo mai prachut matra mai calcium hota hai jo ki haddiyo aur daanto ki majbuti ke liye bahut upyogi hota hai. Hari sabjiyo ke niyamit sevan se se 1000 mg calcium ki purti ki ja sakti hai. Isliye chikitsak bhi garbhavati mahilao ko prasav ke baad hari sabjiyo ka sevan karne ke liye kehte hai. Sath hi yeh badhte umra ke sath hone wale osteoporosis ke khatre ko bhi kam karti hai.
Cancer Se Bachaye
Sabjiyo mai Fiber, Calcium aur Iron bharpur matra mai paya jata hai. Jisse bhojan ka pachan sahi tarah se hota hai aur pet se sambandhit bahut si samasya bhi dur hoti hai. Hari sabjiyo mai kai prakar ke minerals paye jate hai jo ki pet ke cancer aur blood cancer jaisi samasyao ko dur karne mai madad karte hai.
You may also like:- Ginger Bear se Paiye Behtar Swasth aur Dur Kare Bimari
Motapa Kam Kare
Motape ko kam karne mai bhi hari sabjiya mahatvapurna hoti hai. Inme mojud protein, fiber aur fight-o-chemicals bhook ko control karte hai. Fiber sharir ke atirikt charbi ko kam kar motape ko kam karne mai madad karta hai. Aur vajan ghatane mai bhi sahayak hota hai.
Sundarta Badhaye
Hari sabjiyo mai Vitamin C, Lutein, Zeaxanthin namak tatva paye jate hai. Jo twacha ke bicho bich pahuchkar use chamakdar banane mai sahayak hota hai. Yeh tatva Arthritis jaisi bimariyo ko dur karne mai bhi madad karte hai. Sath hi hari sabjiya baalo ko lambe aur ghane banati hai.
Madhumeh Mai Labhdayak
Aajkal adhiktar log madhumeh ke shikar ho rahe hai. Madhumeh se bachne ke liye pattedar sabjiya bahut hi faydemand hoti hai. Iske sath hi yeh hriday sambandhi bimariyo ko thik karne mai bhi madad karti hai. Diabetes ke patients ke liye methi ki sabji behad faydemand hoti hai. Yeh rakt mai moujud sharkara ki matra ko kam kar madhumeh ko thik karti hai.
Green Vegetables in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Jane
- Green Leafy Vegetables anemia ke khatre ko rokane mai sahayak hoti hai.
- Hari sabjiyo mai carotenoid, lutein, Zeaxanthin namak tatva paye jate hai jo ki aankho ki roshani ko badhane mai sahayak hote hai.
- Hari sabjiya Carbohydrate ko glucose mai badalne mai madad karti hai. Sath hi inme Vitamin B5 bharpur matra mai paya jata hai. Jisse sharir mai energy bani rehati hai aur hath- pair ki mashpeshiyo mai hone wale dard kam hota hai.
- Hari sabjiyo mai carotene namak poshak tatva paya jata hai jo ki sharir mai jakar Vitamin A mai parivartit ho jata hai. Isliya inka sevan karne se ratondhi namak bimari aur andhepan ko dur kiya ja sakta hai.
- Sharir mai Khoon ki matra ko pura karne mai bhi hari sabjiya madad kari hai. Green Vegetable List mai palak, methi, pyaz aur muli ki pattiya aadi shamil hai. Inme bharpur matra mai Iron paya jata hai. Isliye garbhavati mahilao ko hari pattiya khane ki salah dee jati hai. Jisse wo apne aane wale bacche ko swasth rakh sake.
Aaj hamne Green Vegetables Benefits in hindi ke bare mai jana. Aap chahe kitne bhi busy kyu na ho fastfood ka sevan ko kam kare aur hari sabjiyo ko apne aahar mai shamil karne ki koshis kare. Hari sabjiyo ko kisi bhi roop mai lena faydemand hai jaise ki pakar, kacchi, salad ke roop mai ya fir inka juice bhi banakar pina labhdayak hai.