Grooming Tips For Men-Gentlemen Dikhne Ke Tarike

Purusho ki personality ki baat kare to shaving karna unke liye khaas baat hai. Acha shave purusho me self-confidence jagata hai. Aap chahe dating par ja rahe ho ya fir kisi meeting me, khud ko gentlemen ka look dene ke liye acche se shaving karana bhut jaruri hai .

Sari ladies chehre par darhi pasand nahi karti. Kai to aapke bina shaving kiye dating par aane se naraj bhi ho jayegi . Jyadatar ladies ko bina darhi wale chikne chehre hi jayda pasand aate hai. To chaliye hum aapko batate hai, Grooming Tips For Men.

Grooming Tips For Men:-Gentlemen Dikhna Accha lagta Hai Har Purush Ko

To agar aap shaving ke baad gentlemen look pana chahte hai, to shaving se pahale aapko kuch preparations karni padegi . Shaving karne se pehale darhi ko aachi tarah se nm karna bahut jaruri hota hai. Agar balo me nami jyada hogi tu wah cream ko acche se absorb karega, jisse jhag jyada banega . Dusari baat yah ki shaving ke liye acchi se acchi wali cream ka istemal kare.

Aise cream ko le jin me lubricants jyada matra me ho. Sath hi shaving se pehale yah bhi dekh le ki aapke razor ki dhar sahi ho. Shaving ke baad apni twacha par after shave aur moisturizer bhi jarur lagaye . Grooming tips for men isse ki aap sahi tarike se shave kar apne aap ko gentlemen look de sakte hai.

Grooming Tips For Men

You may also like:-Fashion Tips for Men: Purusho ke Attractive Dikhne ke Tarike

Grooming Tips For Men-Gentlemen Baniye In Aasan Tariko Se

1.Dahri banana se phale balo ko acchi tarah se gila karna bahut jaruri hai. Bal jab ache se bhigte hai to yah narm aur mulayam ho jate hai. Isse shaving karna kafi aasan ho jata hai. Shaving se pehale chehre ko acchi tarah se dhoye ya fir garm pani se face wash kare.

2. hamesha aachi wali cream aur gel ka hi upyog kare. Mediocare cream se jyada jhag nahi hota hai, jo ki acchi shaving ke liye bahut jaruri hai. Jab cream me paryapt matra me lubricant hota hai, to jhag kafi mulayam hote hai. Isse barik shave karne me madad milti hai.

3. Baat agar shaving brush ki kare to brush me lachilapan hona chahiye aur yah mulayam ho. Jhag paida karne ke liye ek acche brush ki jarurat padti hai. Isliye brush kharidte samay ye jarur dekh le ki yah kitna mulayam hai.

4. Grooming Tips for Men ki baat kare to, shaving ke liye razer sabse important hai. Mulayam shaving ke liye aapko accha se accha razor chaiye hoga. Jiski dhar kafi tej ho. Kabhi bhi kam dhar wale blade ka istamal na kare. Kyuki isse twacha ko nuksan phuch sakta hai.

5.Razor ko thik dhang se istemal karna practice se aayega. Iske istemal ka koi taysuda niyam nahi hai. Aap apni suvidha ki hisab se razor ko chlaiye . Ha ek bar me 1-2 inch hi razor chlaiye. Sath hi blade ko dhone ke liye garm pani ka istemal kare. Isse shaving aaram dayak hogi.

6.Ek baar jab aap shaving kar le to fir aapni tawcha par dhyan de. Bhale hi aapne kitni hi savdhaniya kyu na barti ho. Par shaving ke dauran kuch aise kharoch aa hi jate hai. Jo nangi aakho se dikhaye nahi dete. Shaving ke baad tea tree oil aur antiseptic ka istemal jarur kare.

7.Shaving ke baad aapni twacha ke dekhbhal kafi aham hoti hai. Aamtur par hum shaving karke twacha ki ek ya do parat hatate hai. Aise me hume nai twacha ka acche se dhyan rakna padta hai. Isliye shaving ke baad hamesha moisturizer aur aftershave balm ka istemal kare

Upar aapne jane Grooming Tips for Men. To aaj se hi sare purush in tips ko yaad rakh kar shave kare aur apne aapka self-confidence badaye.

Get more details about Grooming Tips from Beauty tips in Hindi.

Loading...

You may also like...