Hair Myths-Baalo ki Samasya ki Kuch Unsuljhi Guththiya
Baalo ke girne se jude kai mithak pahlu hote hai. Jin par log vishvaash karte hai. Jiske chalte unko baal girne ki pareshani se rahat to nahi milti hai, balki unki yeh samasya aur badh jati hai.
Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Hair Myths. Jisse ki aap inn mithak baato par vishavaash na karke. Apne hair fall ki problem ko rokne ke liye sahi tariko ke baare mai jankari hasil karenge.
Hamare baal hamari personality ka aham hissa hote hai. Isliye log baalo ko lekar kafi sajag hote hai. Kamjor tatha patle baal, baalo ka jhadan, baalo ko grey hona, rusi hona aadi baalo see judi kuch aam samasya hai.
Inn samasya ki agar aap kisi se charcha kare to aapko koi na koi nuskha bata diya jayega. Aisi isthiti mai log kai baar galat tarike se apne baalo ka khayal rakhne lagte hai. Yadi aap apne baalo ko swasth rakhna chahte hai to unse jude mithakon ko janan bhi jaruri hai.
Hair Myths, Baalo se Jude Mithakon Par na Kare Vishvaash
Shampoo ka Jyada Istemaal Nuksaan Dayak
Aksar log sochte hai bar-bar shampoo karne se baal kharab ho jate hai. Shampoo se baal saaf hote hai aur rusi jesi dikkat nahi hoti hai. Shampoo se baal saaf hote hai aur safaai baalo ki sehat ke liye bahut acchi hoti hai. Isliye hum bol sakte hai ki, yeh baat bilkul galat hai ki bar-bar shampoo karne se aapke baal jhdte hai.
You may also like:- Tresemme Keratin Smooth Shampoo – Ab Aapke Baal bhi Muskurayenge
Coloring se Safed Baal Aur Safed ho Jate Hai
Safed baal par color karne se unki safedi bhi bdhati hai. Yeh ek mithak hai. Baalo ki safedi ke kai karan ho sakte hai. Jinme anuvanshik karan mukhaye hai. Kuch tanav ke karan bhi baalo ki safedi ko badhate hai. Baal agar safed ho rahe to iske liye bahari karan jimmedar nahi hoti hai.
Rusi Hai Hamesha Ke Liye
Hair Myths ki baat kare to yhe sabse badha mithak hai ki, rusi se nijaat pana aasan nahi hota hai. Kuch log sochte hai ki rusi hona ek bimari hai. Jisse kabhi ubara nahi ja sakta hai. Hum sirf kuch samay ke liye isse rahat pa sakte hai. Yeh sahi nahi hai balki medical shampoo, santulit aahar aur thodi se dekhbhal se baalo se rusi hamesha ke liye khatam ho sakti hai.
Dryness ke Karan Rusi
Yeh aam dharna hai ki dryness ke karan rusi hoti hai. Lekin ek yeh bhi ek mithak hi hai. Rusi yeast ki vajah se hoti hai. Yeast sar ki dead skin aur baalo mai jama oil ko kha kar jiti hai.
Roz Baal Girne se Aap Ganje ho Jayenge
Har roz 100 baal girne samanye baat hai. Aamtor par jitney anupat mai baal girte hai. Unki bharpai dheere-dheere apne aap ho jati hai. Agar baal bahut jyada gir rahe ho, tabhi doctor ki salah le. Thode bahut baal jhadna samnye hai, isse aap ganjepan ka shikar nahi ho sakte hai.
Malish Se Ganjepan Nahi
Aksar dekha gaya hai ki kisi ko ganjepan ki samasya ho to samne vala fouran malish karne ki salah deta hai. Vese to baal ke swaath ke liye malish acchi cheez hai, lekin sar ki malish se sahrir ka rakt sanchar badha hai. Rakt sanchar se baal girne ka bahut adhik sambandh nahi hota hai. Par sirf malish faydemand nahi hoti hai. Ganjepan ke liye doctor se salah lena bahut jaruri hota hai.
You may also like:- Baldness Treatment in Hindi, Ganjepan ka Ilaj
Trimming ya Cutting Se Badhte Hai Baal
Yeh bahut aam dharna hai ki, hair katne se bal ghane ho jate hai. Asal mai iss baat ka koi bhi scientific aadhar nahi hai ki. Baalo ki trimming se vah ghane isliye dikhai dete hai, kyoki baal apne base se mote hote hai. Saat hi patale aur bejan baal cutting se nikal diye jate hai.
Baal Jhadne ka Sambandh Nahi Hai Hormone Se
Baalo ka jhadna kisi hormone ke asantulan ka sanket ho sakta hai. Exapmle ke liye thyroid ya pregnancy ke douran kai baar mahilao ke baal adhik jhadte hai. Yeh ganjepan ki isthai vajah nahi hai. Yeh hormone ke badlav se hota hai.
Hair Dryer Agar Halka ho to Nuksaan Nahi
Dryer ka seedh asar baalo ki jado par padta hai. Aapka hair dryer kesa bhi ho, vo baalo ki jado ko sukhata hai. Isse sar ki twacha dry hi rahegi, aur baalo kamjor ho kar tutenge. Isliye koshish kare ki dryer ka istemaal na kare.
Baalo Mai Tel Lagaye Rakhna
Hair Myths se judi baato mai yeh baat samne aai hai ki, dinbhar tel lagakar rakhane se aapko baalo nuksaan hota hai. Baalo mai tel se massage karne se unhe khubsoorati aur majbuti milati hai, lekin iska matlab yeh nahi ki aap dinbhar apne baalo mai tel lagakar chhod de. Isse baalo aur sar ki twacha mai dhul tatha gangadi chipak jati hai. Saath hi sar ki twacha ke rom chidra band ho jate hai, jisse sankramand hone ka dar rahta hai. Baalo mai tel laga kar ise raat bhar rahne se aur subah utkar kisi aache shampoo se apne baalo ko dho lijiye.
Hair Myths, Dur Rahe Baalo ke Girne se Judi Mithak Baato se
Dawa Ka Prayog Karke Badh Sakte Baal
Sach agar aap yeh sochte hai ki baal ko badhane ke liye bazaar mai kai dawa hai to aap galat soachte hai. Abhi tak aisi koi dawa nahi bani hai, jo baalo lo badha sake. Baalo ka badhna sar mai moujud follicles par nirbhar karta hai.
You may also like:- Homemade Hair Care Tips in Hindi Dwara Paiye Sundar Baal
Umra Badhane ke Saath Baal Nahi Girte Hai
Logo ko ko lagta hai ki ek nishchit umar tak pahuchne ke baad baalo ke girne ki samasya nahi hoti hai, jabki aisa nahi hota hai. Ek baar baal gine ki problem start ho jaye to vo jivan bhar chalti rahti hai. Saath hi yeh samasya har vyakti mai alag-alag hoti hai.
Mata Pita ke Baal Udne Par Aapke Baal Bhi Udenge
Parivarik Itihaas se aap apne baalo ke girne ka sahi andaja nahi laga sakte hai. Kai anye baat ke karan bhi baal jhadna ho sakt hai. Iske liye hum ek vajah bol sakte hai, polio genetic. Yani yeh gunsutra ke tangled classification ke aadhar par tay hota hai. Yeh gunsutra aapke maat –pita sibling jese kareebi rishtedaar ke alawa dur ke rishtedaar bhi shamil ho sakte hai aur agar baal ka jhadna anuvanshik tor aapke parivaar mai chala aa rah hai, to isse rahat pane mai bhi aapke saksham hone ki sambhavna bahut adhik hogi.
Rozmara ke Tanav Se Tutte Hai Baal
Hair Myths par huye ek study mai yhe kaha gaya hai ki, tanav ko baal gine ki samasya ke liye jyada ahmiyat dena sahi nahi hai. Agar aapko bahut adhik bhavnatamak tanav ho to aapke baal jhad sakte hai. Lekin rozana ke chhote mote tension ka koi asar nahi hota hai.
Jara sochiye agar rozmarah ka tanav aapke baal girne ka karan ho to ab tak to hum sab ganje ho chuke hote hai. Kahane ka matlab hai ki, normal tension se aapke baal nahi jhadte hai. Mahilaye par bacche ke janm ke samay tanav ka asar sabse jyad hota hai. Iske saath hi lambi bimariya ke karan baal jhad sakte hai.
Upar aapne jane baal girne ki samasya se jude kuch mithak tathaye. To bas aaj se hi inn baato par vishvaash na kare aur sahi tarike se pane baalo ki dekhbhal kare hamesha khubsoorat dikhe.
Hair Care se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.