Hairstyles for Curly Hair in Hindi: Ghungrale Baalo Ke Liye
Ladkiya apne baalo ko lekar bahut jyada chintit rehti hai. Kyoki acche baal unki khubsurti mai char chand laga sakte hai, wahi yadi baal acche nahi ho to unka look bigad bhi sakte hai.
Jinke baal sidhe hote hai unhe to baalo ko set karne mai jyada samay nahi lagta. Parantu jinke baal curly hote hai unhe baalo ko suljhane mai bahut samay lag jata hai kyoki ghungrale baal uljhate bahut hai. Curly baal wali ladkiya hamesha apne look ko lekar nirash rehti hai, kyoki we hamesha ek saman hi dikhti hai.
Lekin aesa nahi hai kuch hairstyles ki madad se aap apne ghungrale baalo ke sath bhi aakarshak aur bheed mai alag dikh sakti hai. Yaha dekhiye Hairstyles for Curly Hair in Hindi. Inn di gayi styles mai aap apne face ke anurup baalo ki nayi style chhun sakti hai.
Ham aapko batana chahte hai ki ghungrale baalo ka fashion kabhi purana nahi hota baalki inse aap hamesha aakarshit aur khubsurat lag sakti hai. Curly baalo mai bhi kai tarah ki hairstyle ka chunav karke aap har din ek aakarshak aur naya look pa sakti hai.
Hairstyles for Curly Hair in Hindi: Dikhe Khubsurat aur Aakarshak
Hippi Choti
Aapke sukhe aur ghungrale baalo ko naya look dene ke liye sabse pehle baalo mai moisturizer lagaye. Ab baalo ko kanghi ki madad se suljha le tatha ek taraf se mang nikal kar choti bana le. Iske bad sar ke piche ke sare baalo ke teen hisse kar baal alag alag karke unki dhili choti bana le. Choti banate samay iss baat ka jarur dhyan rakhe ki kuch baal nikle huye ho, taki aapko ek alag look mile.
You may also like:- Hair Tattoo Designs- Banaiye Apna Alag Style Statement
Sabse Lokpriya – Princess Hairstyle
Yadi aapke lambe ghungrale baal hai to to yeh look aapke upar bahut accha lagega aur sabki najare aap par aakar thahar jayegi. Sabse pehle ghungrale baalo mai cream lagaye aur dryer ki madad se baalo ko faila le. Ab baalo ke bich mai se hisse karke unhe guth le tatha unn par hair pin laga le. Dhyan rakhe aage ke kuch baalo ko khula chhod de, unhe finishing dene ke liye finishing sprey ka istemaal kare. Curly Hairstyles for Women mai ise kaafi pasand kiya jata hai.
Partiyo Ke Liye Khas Fancy Hairstyle
Iss look ko pane ke liye sabse pehle baalo ko dryer lagakar unhe do hisse mai baat le. Iss hairstyle ko karne ke liye dryer ki sahayata se baalo ko gol gol ghumaye tahta silky ho jane de. Ab kanghi lekar sare baalo ko aage se piche ki taraf le jaye taaki unme volume bana rahe.
Ab baalo ke dono hisso ki choti banale aur unhe bobby pin ki sahayata se bandh le. Ab saare baalo ko ek sath lekar sar ki taraf laye aur juda bana kar waha bhi bobby pin ki sahaytaa se baalo ko fix kar de. Dhyan rakhe baalo ko jyada tight na bandhe aur aakhir mai saare baalo par hairspray lagaye.
Yeh hair unn logo par accha lagega jinke baal ki lambai jyada nahi hai tatha ghungrale baal kam hai. Iske alawa gol chehre walo ke chehre par bhi yeh style kaafi accha lagega.
Side Classy Look
Side Parted Sweetheart Look curly baalo ke liye Easy Hairstyles mai se ek hai. Aapke ghungrale baalo ko ek tarah se side maang nikal le tatha inn par halke halke hatho se smoothing serum laga le. Yadi aap iska perfect look chahte hai to baalo ko curling iron ki sahayata se baalo ke aas pass kuch hisse ko curl kar le tatha bich ke hisse mai bhi thoda curl kar le. Iske bad baalo par hair spray chhitkar kar baalo ko acche se set kar le.
Yeh hairstyle chhote baalo par khub fabti hai aur jin logo ka chehra thoda bada hota hai unka look aur jyada aakarshit dikhai deta hai.
Parivarik Samaroh Ke Liye Traditional Hairstyle
Yadi aapke curly baal hai to Iska matlab yeh bilkul nahi hai ki aap stylish choti nahi bana sakti. Aap kisi bhi tarah ki choti bana sakti hai chahe wo fishtail ho ya tradition choti, curly baal bhi aapke liye faydemand ho sakte hai.
Iss choti ko banane ke liye baal mai tel na lagaye aap baalo ko rukha rehne de bus baalo par thoda hair spray lagaye. Ab sare baalo ek sath lekar unki gardan ke yaha se baalo ko bandh de. Iske bad baalo ki side choti bana kar guth le. Aapke baalo mai iss naye look ko jarur try kar sakti hai.
Yeh choti unn logo ke liye jinke baal jyada lambe nahi hai aur jo chahte hai ki unke curly baal unke face par aaye. Wese to iss choti ko koi bhi kar sakta hai, yeh sabke chehre par acchi lagti hai.
You may also like:- Home Remedies for White Hair in Hindi: Safed Baal Kale Kare
Hair Bunned
Hair bunned kisi bhi avsar mai aapko ek anokha look dega. Jab aap iss hairstyle ka chunav karengi to sabki najre aapko hi dekhti reh jayegi. Ise shadi, party ya kisi bhi utsah mai bana sakti hai.
Iss hairstyle ke liye bhi aapko baalo mai tel na dale tatha rukhe baalo mai dryer lagakar unhe ek jaisa kar le. Ab saare baalo ko ek sath lekar sar ke taraf se kano ki taraf le aur upar baalo mai ponytail bana le. Ab baalo ke kuch hisse ka bun banakar unhe pin laga de taha kuch baalo ko khule chhod de tatha ungliyo se unhe suljhate huye curls ko chehre ki taraf aane de. Jab aapki hairstyle ban jaye unhe hairspray se finishing de yeh hairstyle puri rat tak tiki rahegi.
Upar aapne jana Hairstyles for Curly Hair in Hindi. Yadi aapke baal bhi ghungrale hai to aap upar di gayi hairstyles ko jarur try kijiyega.